Sirka ek bahut mahatvpun taral padarth hota hai. Lekin bahut se logo iske upyog ke baare mai nahi jante hai. To chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Vinegar Uses. Jisse aap iss liquid padarth ka upyog aasani se kar sakte hai.
Shayad aapke rasoighar mai sirke ki botal hogi lekin aap abhi tak uska upyog shayad keval jayke ke roop mai karna chahte hai. Hajaro saal se pahle vardan ke roop mai iss taral ki khoj achanak huye thi, jab vine, seb ka ras apne aap hi khatte hone lage the. Tab iss liquid padarth ka janm huya tha.
Lekin kya aap jante hai ki, sirke ke khastor se avsarit safed aur seb ke sirke bahut se ghrelu upchar, sondharye, oushadhi aur horticulture sambhandhi upyog hai. Yaha par sirke 20 asamanye aur paryavarn ke anusaar upyog diye gaye hai, jinka baare mai shayad aapne nahi socha hoga.
Vese sirka ka use bahut si bimariyo se bachne ke liye kiya jata hai. Hippocrates ki research ke anusaar sirka ka use bhi bahut se bimariyo se bachne ke liye kiya jata hai. Isliye aap bhi kisi expert ke salah ke anusaar iss ka sevan kar sakte hai.
Bimariyo se bachne ke saath-saath iska use bahut si aur jagah bhi kiya jata hai. Jo ki humne niche article mai bataya hai. Isliye aap bhi aaj se hi iska upyog shuru kar dijiye aur iske faydo ka laabh uthaiye.
Vinegar Uses, Jo Aapko de Swasth Laabh ke Saath Saath Kai Aur Fayde
Baalo mai Conditioner
Vinegar Uses ki baat kare to hum bol sakte hai ki yeh baalo ke liye bahut accha hota hai. Iske liye aap ek cup pani mai aadha chammach sirka daliye fir isse apne baalo ko acchi tarah dhoiye. Isse aapke baal saaf ho jayenge. Isliye aaj se hi iss sirka ka upyog apne baalo ko dhone ke liye kijiye. Vese gar aapko baalo ki samasya hai to aap kuch Home Remedies for Hair ko bhi apna sakte hai.
You may also like:- Long Hair Tips in Hindi: Baalo ki Lambai Badhana Huya Aasan
Farsh aur Refrigerator ko Saaf Kare
Pani aur safed sirke ka ghol farsh, refrigerator aur rasoi ki alamriyo ko saaf karne mai madadgar hota hai. Lekin dhyan rahe ki farsh sangmarmar ya granite ki honi chahiye. Yeh refrigerator se bhojan ki drgandh ko bhi khatam karta hai.
Daag Hatane Mai
Paseene ke kharab daago ko hatane ke liye spray karne vali bottle se kapde ko ghulne se pahle srikaka spray kare. Isse daag gayab ho jayenge. Ssath hi iske upyog se sabun ke ansh bhi hat jayenge.
Phoolo ko Taro Taaza Rakhne Mai
Phool ko murjhane se bachne ke liye phuldan ke pani mai ek chammach safed sirka dale. Isse phul ko lambe samay tak tarotaz bane rahenge. Saath hi phoolo ki khubsoorati bhi bahi rahegi.
Ando ko Sabut Rakhne mai
Ando ko ubalte samay garam pani mai thoda sa sirka milaiye. Isse ande ka safed bhag failta nahi hai aur thos ban rahta hai. Isliye aap jab bhi egg ko banaye tab iska sirka use jarur kijuiye.
Hichki ka Ilaj
Halaki doctor iss baat se sahmat nahi hoge lekin sirke ko hichki ke upchar ke liye mana jata hai. Aisa kaha jata hai ki, hichki ko rokne ke liye ek chammach sirka nigal lijiye. Jisse aapko bahut jaldi aaram milega.
Durgandh Mitane ke Liye
Agar aap se koi bhojan padarth pakane ke douran jal gaya hai hai to, kamre mai ek chhote si katore mai pani aur sirka ko saathmai milakar rakh dijiye. Isse durgandh khatam ho jayegi.
Gale mai Kharash ke Liye
Kai log gale mai kharash ko dur karne ke liye ek cup garam pani mai ek chammach sirka ko pani mai daal kar garare karne ki salah dete hai. Isme aap chahe to kuch chammach shahad bhi daal sakte hai.
Cintiya Kam Kare
Kya aapke ghar mai idhar udhar cintiya dikhai deti hai. Isliye aap sirka ka use kijiye, jisse aap ko iss pareshani se aaram mil jayega. Iske liye safed sirke aur pani ko barabar bhag mai milkar chidkane se citiya bhag jati hai.
Dukhati Maspeshiyo mai Rahat
Parisharm ke baad maspeshiya mai lactic acid ke karan hone vale dard ko seb ka sirka khatam kar deta hai. Ek cup pani mai kuch chammach sirke ki milakr ek kapde dawra dard vale isthan par 20 minutes tak lagaiye. Jisse aapko bahut fayda milega.
Air Freshener
Sirke ka acidic amla badbu ko abshoshit karta hai Isliye kamre mai isse chidkane se badbu dur ho jati hai. Isliye aap isse badbudaar kamro ki farsh ko bhi poch sakte hai.
Motapa Kam Karne Ke Liye
Seb ke sirke vale sirke se rakt mai shakkar niyantrit hoti hai. Jisse vajan kam kam karnre mai sahayta milti hai. kyoki sharir mai mukt shaker hi vasa ke roop mai sancharit hokar vajan badhati hai. To hum bol sakte haiki, yeh ek accha Vinegar Uses hai.
You may also like:-Motapa Kam Karne ke Gharelu Nuskhe: Wazan Kam Karna
Stickers Hatane ke Liye
Thoda sa sirka stove ya microwave mai gram kar le. Fir use ek kapde ka tukda bhigo le aur use stickers par thodider ke liye chhod dijiye. Thodider baad aap dekhenge ki, stickers ko hatane par koi daag nahi rahega.
Bahari Naliyo ko Kholne
Apni jama huye naliyo ko sardarad utpan karne vale hinikarak rasayonse na saaf karke sirka ka use kijiye. Naliyo mai teen chothai cup backing soda ke dalne ke baad aadha cup safed sirka dale, isse nail saaf ho jayegi.
Twacha ke Infection
Athlete feet, apir ke nakhun, pair fatna, dandruff aadi hone koi majak nahi hai. Safed ya seb ke sirke ko prabhavi aang mai lagne se yeh sari pareshani khatam ho jati.
You may also like:-Home Remedies for Warts, Iss Skin Problem ke Liye Upay
Bhojan mai Masaale
Kabhi bhi jab aapke bhojan mirch ke adhik hone ke karan aapka bhojan kharab ho jata hai. tab aap sirka ki thodi se mtra apne bhojan mai milakar apne bhojan ko swadist bna sakte hai.
Upar aapne jane Vinegar Uses. To bas aaj se hi iss sirka ka use start kar do aur iske bemisaal laabh ka aasani se lufh uthaiye.