Wrinkle Treatment in Hindi: Chehre Ki Jhurriyo Ke Liye Upay

Har mahila apne look ko lekar kafi fikarmand hoti hai. Apne look ko accha banaye rakhne ke liye wo kitni hi jaddojahat bhi karti hai. Aur aesa ho bhi kyu na khubsurat dikhne se chehre par sakaratmak aatmavishwas jo aa jata hai. Khubsurat dikhne par aap kisi bhi jagah apni ek alag hi chawi bana sakti hai.

Khubsurat dikhne ke liye aapke chehre ka rang gora hone ke sath sath aapki twacha mai kasavat hona bhi jaruri hai. Lekin umra ke badhne par twacha mai jhurriya aane lag jati hai. Jisse aapka chehre ka pura aakarshan chala jata hai.

Umra badhne ke alawa twacha ka thik tarah se khayal nahi rakhne, chemical utapado ke jyada istemal ke karan bhi jhurriya ho jati hai. Yadi aap aapki twacha ki dekhbhal nahi karengi to samay se pehle hi aapki twacha mai wrinkle pad jayegnge, aur aap budhi najar aane lagengi.

Agar kisi bhi karan se aapko jhurriya ho gayi hai to pareshan mat hoiye. Kuch upcharo ki madad se aap ise dur karke wapis apni khubsurti ko paa sakti hai. Aaiye jante hai Wrinkle Treatment in Hindi.
 

Wrinkle Treatment in Hindi: Jhurriyo Se Paye Nijat

 

 
Jyadatar mahilo ki yeh aadat hoti hai subah utthe hi wo sabse pehle aaiyne mai apna chehra dekhti hai. Jab aapko chehra itna priya hota hai ki subah uthne ke bad aur raat ko sone se pehle aap aapke chehre ko dekhna nahi bhulti, uske bawjud bhi aap aapki twacha ki dekhbhal ki najar andaj kaise kar deti hai.

Aapki twacha ko dekhbhal ki bahut jarurat hoti hai. Bina Skin Care acchi twacha pana naa munkin hai. Aaiye aaj jante hai ki twacha par jhurriya hone se kaise roke:-‘
 

Tanav Lene Se Bache

Umra badhne ke alawa adhik tanav lene se bhi aapko jhurriya hone lagti hai. Aapne dekha hoga jo log jyada tension lete hai unke mathe par jyada lakire banti hai.

Isliye naa keval jurriyo se bachne ke liye balki behtar swasthya ke liye tanav lene se bache. Iske sath hi din bhar mai khub pani piye. Aap chahe to din mai ek bar pani mai nimbu ka ras dalkar bhi pee sakte hai. Isse  aapke chehre par glow aayega aur jhurriya kam hone lagegi.
 

Dahi aur Besan Ka Pack Lagaye

Chehre par se dag dhabbe aur jhurriya hatane ke liye dahi aur besan ka pack lagana chahiye. Kyuki dahi mai lactic acid hota hai jo chehre ki elasticity maintain rakhta hai aur jhurriya hoine se bachata hai.

Iske atirikt aap dahi ke sath mosambi ras ko milakar chehre ki twacha par lagayenge to jhurriya se jald hi nijat pa lenge.
 

You may also like:- Home Remedies for Tanning: Twacha Ka Kalapan Dur Kare

 

Ankurit Aahar Ka Sevan

Chana, mung, methi dana, sabut masur ko bhigo kar ankurit kar le. Iss ankurit kiye huye aahar mai nimbu ka ras aur kala namak dalkar rojana sevan kare. Ankurit aahar ka lagatar sevan karne se aapko jhurriya nahi hogi.

Jhurriyo se nijat pane ke liye ankurit aahar ke sath, kacchi sabjiyo ka salad, aur phalo ka ras bhi sevan kar sakte hai.
 

Papita Kare Jhurriya Dur

Pake huye papite ke gude ko chehre par laga kar use ragad le. Kuch der rakhne ke baad thande pani se chehre ko saaf kar le. Papite mai papen tatva moujud hota hai jo chehre ki mari hui koshikao ko hatata hai aur nai koshikao ko viksit karne mai madad karta hai.

Ise kuch dino tak chehre par niyamit lagane se chehre ki jhurriya khatam ho jayegi. Yeh ek faydemand Remedy for Wrinkles hai.
 

Gunkari Haldi

Haldi mai aese kai gun hote hai jo aapki twacha ke liye bahut upyogi hote hai. Haldi ke powder mai ganne ka ras milakar face pack bana le aur chehre par lagaye, isse chhre par kasavat aayegi aur jhurriya bhi khatam ho jayegi. Iske atirikt haldi mai moujud anti bacterial gun twacha ke vikaro ko bhi dur karte hai.
 

Twacha Ke Liye Faydemand Aloevera

Aloevera chehre ke liye bahut faydemand hota hai. Umra ke badne ke sath sath chehre ki ronak khone lagti hai, chehre par kai sare daag dhabbe hone lagte hai. Inn sab samasyao se nijat dilane ke liye aloevera ek behtar vikalp hai iska istemal kai skin products mai bhi kiya jata hai.

Aloevera ras ko chehre par lagane se twacha ko prakratik collagen milta hai jisse twacha mai lachilapan aata hai. Aloevera mai kai vitamin aur minerals bhi hote hai jo chehre ko prakratik rup se poshan dete hai, jisse twacha khil jati hai.

Aloevera ko vitamin E aur soya lectin ke sath milakar ek pan mai garam kare aur isme thoda sa jetun tel aur 1/3 B- wax ko bhi mila le. Jab mila hua mishran thanda ho jaye fir isme badam tel ki kuch bunde milakar lotion bana le. Iss lotion ko rojana chehre par lagane se chehre par chamak aayegi.

Aloevera mai vitamin A, B, C hota hai. Isko chehre par roj rat ko sone se pehle aankhon ke niche kale ghero par lagaye. Aloevera gel ko lagane par yeh astringent ka kaam karta hai, jisse chehra aur bhi jayada khubsurat banata hai.

Aloevera gel chehre ki twacha mai kasaav aur tonner ka kaam karta hai. Isko lagane se jhurriya to khatam hoti hi hai sath hi aapke chehre ki twacha komal banati hai. Iska istemal kai Beauty Products mai kiya jata hai.
 

 

Nimbu Se Paye Khubsurti

Nimbu aapke sharir ko kai tarah se fayda pahuchata hai. Iska prayog karne ke liye nimbu ke ras ko gulab jal ke sath milakar roj rat ko sone se pehle chehre par lagale aur raat bhar rakh kar subh uthakar thande pani se muh dho le. Aapke chehre ki jhurriya khatam ho jayegi.

Nimbu ke ras mai besan aur haldi milakar uska paste bana kar chehre par hafte mai 3 se 4 bar lagaye kuch dino mai jhurriya samapat ho jayegi aur chehra khubsurat ho jayega. Chehre par taja nimbu ko halke hatho se ragdne par bhi jhurriyo se nijat mil jayegi.
 

Kela Bhi Faydemand

Kele ko hafte mai ek bar chehre aur gardan par male. Kele mai shahad bhi milakar chehre aur gardan par laga sakte hai. Ya fir kele ke gude mai thoda sa jaitun ka tel milakar lagaye aur use 15 minute bad chehre ko saaf pani se dho le. Aisa karne se chehre ki jhurriyo se nijat milta hai.
 

You may also like:- Natural Acne Treatment in Hindi: Muhanso Ka Prakratik Upchar

 

Tel Se Massage

Aap shayad nahi jante honge lekin tel se massage karne par bhi twacha par jhurriya nahi padti hai. Iske liye jaitun ka tel, badam aur nariyal ka tel, teeno ko ek sath milakar rakh le aur roj rat isse chehre ki acche se malish kare. Iss tel ke mishran mai vitamin E hone ki wajah se chehre ki twacha chamak uthti hai aur mari hui koshikao se nijat milta hai.
 

  • Niriyal ke tel ko halka sa garam karke chehre par halke hatho se massage kare, chehre ki jhurriyo se nijat pane mai sahayata milti hai.
  • Kheere mai jaitun ke tel ki kuch bund milakar chehre par lagaye jhurriyo ko hatane mai madad milegi.

 

Treatment for Wrinkles: Anya Tarike Inhe Bhi Jane

  1. Bina masala wale ganne ka ras ka rojana ek glass pine se chehre ki jhurriya samapat ho jati hai. 
  2. Seb ka rojana sevan karne se ya fir seb ka guda chehre par lagane se bhi chehre ki jhurriyo se nijat milta hai.
  3. Aloo ko kat le aur chehre par halke hatho se ragde aapki jhurriya khatam ho jayegi.
  4. Jhurriyo wali twacha par kata hua tamatar masalne se bahut fine lines khatam ho jati hai.
  5. Bargad ka dudh bahut thanda hota hai aur isme bahut adhik shakti bhi hoti hai. Bargad ke dudh ko rojana chehre par malish karne se ek hafte mai jhurriya samapat ho jayegi.
  6. Shahad ki halki halki si parat ko chehre par laga le, aur kuch der bad thande pani se chehre ko dho le. Kuch dino tak lagatar aisa karne se chehre ki jhurriya samapat ho jayegi.
  7. Aadhi katori udad dal ke powder mai 2 chammach gulab jal, 1 chammach glycerin aur 2 chammach badam rogan milakar mishran bana le, aur iss pack ko chehre par laga kar kuch der tak ke liye rakhe. Fir gun gune pani se chehra dho le.
  8. Kharbuj ke beej aur chhilko ko thoda sa pani milakar uska paste bana le. Iss face pack ko chehre par lagakar 15 minute bad chehre ko thande pani se dho le, iska rojana istemal se chehre ki jhurriya samapt ho jayegi.

 
Upar aapne jana Wrinkle Treatment in Hindi. Upar diye gaye upcharo ko apnakar aap bhi apne chehre se jhurriyo ko dur kar sakte hai aur paa sakte hai aakarshak look.

Loading...

This website uses cookies.