Home Remedies for Tanning: Twacha Ka Kalapan Dur Kare

Garmiyo ke mosam ki shuruwat ho chuki hai. Inn dino jyadatar log chutti manane jate hai. Trendy aur fashionable kapde pehnna, samudra kinare tree shade ke niche baithna, aadi sab aapko aanand to deta hai. lekin twacha ke lambe samay tak suraj ki kirano se sampark mai aane se twacha par tanning ho jati hai.

Garmiyo mai sabse jayda pareshani tanning ki wajah se hi hoti hai. Yeh hamari puri khubsurti ko kharab kar deti hai. Lekin tanning ki wajah se hum bahar jana to nahi chhod sakte hai. Darahsal dhup ki kirno aur pradushan ke chalte twacha ka kala padna hi tanning kehlata hai.

Dhup ke karan hone wale kalepan ko hatane ke liye aap kitna bhi makeup kyu nahi kar le, makeup hone ke bawjud bhi yeh kalapan najar aata hai. Kai log tanning ko hatane ke liye bleach aur kai sare chemical yukt product ka bhi istemal karte hai. Kintu isse twacha ko keval nuksaan hi pahuchta hai.

Yadi tanning wali twacha par dhyan nahi diya jaye to muhase, fine line, jhurriya, kale dhabbe aadi samasyae picha pakad leti hai. Tanning se bachne ke liye waise to kai prakar ki creams bajar mai uplabddha hoti hai. Lekin garmiyo mai chipchipi cream lagane se twacha aur bhi jayada kali aur teliya ho jati hai. Aur iss teliya twacha par dhul mitti baithti hai.

Yadi aap bhi tanning ki samasya se pareshan ho chuke hai to chinta chhodiye. Aaj ke lekh mai hum aapko Home Remedies for Tanning bata rahe hai. Isse aapki twacha par kisi tarah ke side effect ka khatra nahi rahega aur aapki twacha pehle ki tarah khil jayegi.

Home Remedies for Tanning: Kalapan Dur Karne Ke Gharelu Upay

Home Remedies for Tanning

Tanning ke gharelu upcharo ko janne se pehle kyu na pehle ham yeh jaan le ki tanning kaise hoti hai? Darahsal dhup mai rehne ke wajah se twacha mai melanin ki atyadhik matra mai utpatti hoti hai, jiske wajah se twacha ki rangat kali padne lagti hai. Iske atirikt kuch chemical padhartho ke sampark mai aane se bhi twacha mai tanning ki samasya hoti hai. Karan chahe jo bhi aaj ham aapko bata rahe hai Natural Way to Remove Tan.

Gunkari Nimbu

Nimbu se hame kai sondarya fayde milte hai. Unhi faydo mai se ek fayda twacha ka kalapan dur karna bhi hai. Nimbu sabhi ke ghar mai aasani se bhi mil jata hai. Nimbu ka prayog karne ke liye usko aadha katkar uska ras nikal le aur tanning wali twacha par lagaye. Kuch der rakhne ke bad thande pani se dho le. Kuch din tak rojana yeh prayog karne ase apki twacha firse sundar ho jayegi.

Iske atirikt nimbu ke ras mai thoda sa gulab jal dalakar rakh le aur jab bhi aap bahar se aaye use aapki twacha par laga le aur 10 minute bad dho le. Tanning ki samsya nahi aayegi.

Besan aur Haldi Se Nikhare Twacha

Tanning ke karan twacha kali padh jati hai. Besan aur haldi aapko wapis gora banane mai madad karti hai. 2 chammach besan mai thodi si haldi, santre ke chhilke ka powder, dudh aur thoda sa gulabjal dalkar paste bana le. Yeh paste aapki tanning wali jagah par lagaye. 20 minute tak sukhne de aur fir thande pani se dho le. Tanning ko hatane tatha behtar parinaam ke liye pratyek dusre din lagaye.

Tanning Dur Kare Kheera

Kheera garmiyo mai aapke liye bahut accha hota hai. Tanning hatane ke liye kheere ko kisle. Fir usme thoda sa nimbu ka ras aur gulab jal milakar paste bana le. Ise dhup se jhulsi hui twacha par lagaye. Kuch samay rakhne ke baad dho le. Tanning ki samasya khatam ho jayegi.

You may also like:- Natural Acne Treatment in Hindi: Muhanso Ka Prakratik Upchar

 

Papita aur Shahad

Thoda sa papita le aur use mesh kar le. Fir usme thoda sa shahad ko dalakar mishran taiyar kar le. Uske bad iss mishran ko aapki twacha par lagaye. Ise kam se kam 30 minute tak aapki twacha par laga kar rakhe. Tatpaschat twacha lo thande pani se dho le. Yeh ek behtarin Home Remedies for Tan Removal hai.

Aloe Vera Ke Sath Multani Mitti

Purane samay se mana jata hai ki multani mitti twacha ke liye bahut acchi hoti hai. Dhup se hui tanning se chhutkara pane ke liye multani mitti mai aloe vera aur thoda sa gulab jal milakar paste bana le. Ise tanning hui twacha par lagaye aur kuch der bad dho le. Dhup se jali hui twacha par iss paste ko lagane se rahat milegi.

Chandan Bhi Faydemand

Chandan ke powder mai gulab jal dalkar uska paste bana le. Ise twacha par laga kar aadha ghanta laga rehne de. Fir gungune pani se muh dho le. Isko rojana aapki twacha par lagaye. Aisa karne se aapki twacha ki tanning kam ho jayegi. Yeh ek accha Face Pack for Oily Skin bhi hai.

Dead Skin Hataye Scrub

Nimbu ke ras mai olive oil aur shahad ko dalkar paste bana le. Chehre ko saaf pani se dhone ke bad banaye huye scurb se 2 se 3 minute tak massage kare. Kuch der chehre par laga rehne de. Thande pani se dhone ke bad moisturizer laga le. Scrub aapki twacha se dead cell hatakar aapke chehre ko pehle ki tarah gora bana dega.

Home Remedies for Tan Removal

Masur aur Tamatar Ka Paste

Masur ki dal ko thode samay ke liye bhigo de. Fir usme aloe vera gel tatha tamatar ka paste mila le.  Iss paste ko 30 minute tak twacha par laga rehne de aur saaf pani se dho le. Dheere dheere tanning hat jayegi.

Tamatar aur Dahi

Dahi mai thoda sa tamatar ko mesh karke mila le. Aur tanning wali twacha par lagaye. Kuch der sukhne ke liye chho de fir dho le. Kuch hi samay mai aapki tanning khatam ho jayegi. Ho sake to ise rojana istemal kare. Ya fir do din mai bhi laga sakti hai.

Rang Nikhare Malai

Do chammach malai mai thodi si haldi mila le. Aur acche se uska paste bana le. Iss paste ko chehre par lagaye. Tanning ki samasya khatam ho jayegi.

Iske atirikt haldi aur dudh ke mishran se bhi aap tanning hata sakte hai. Choti si katori mai dudh le aur usme thoda sa haldi powder dale. Uska mishran bana kar twacha par acche se laga le. Use kuch der sukhne ke bad thande pani se dho le. Isse tanning hat jayegi aur aapka rang bhi nikhar jayega. Iss paste se aap damakti hui twacha ko payenge.

You may also like:- Home Remedies for Blemishes: Daag-Dhabbe Hatane ke Tarike

 

Aloo Ka Juice

Aloo ke juice mai thoda sa nimbu ka ras mila le. Ise tanning wali twacha par lagaye. Fir twacha ko dho le. Aloo ke juice ke atrikt aap ananas ki bhi madad le sakte hai. Ananas ke gude mai shahad ki kuch bunde dal de. Aur tanning hui twacha par lagaye aapki twhca nikhar jayegi.

Badam aur Oats

Badam aur chandan powder ko pees le. Chandan aapki kali twacha ko nikharne ka kaam karta hai. Aur tanning ko bhi kam karta hai.

Kacche dudh mai haldi aur thoda sa nimbu ka ras mila kar usme thoda si daliya milaye. Aur use tanning wali jagah par laga kar scrub kare aur thodi der ke liye chhod de. Fir thande pani se dho le. Aisa karne se aapki tanning thik ho jati hai.

Kamal Ka Hai Nariyal Pani

Nariyal pani mai thoda sa chandan powder ko mila de. Aur uska paste bana le. Jis bhi jagah aapko tanning ho rahi hai waha paste ko laga kar kuch samay bad thande pani se dho le. Kali twacha se chutkara mil jayega.

Pairo Se Tanning Hatane Ke Liye:-

Hum apne chehre aur hatho ka to dhyan rakhte hai. lekin ham apne pairo ko to bhul jate hai. Jab hum bahar nikalte hai to humare pairo par bhi dhup ki wajah se tanning ho jati hai. Jo hamare pairo ki khubsurati ko bigaad deti hai. Pairo ki tanning hatana thodi muskil hai siliye iss par khas dhyan dena jaruri hai. Aaiye pairo se Sun Tanning hatane ke gharelu nuskhe.

  1. Apne pairo ko acche se dho le. Uske bad olive oil mai nimbu ka ras ke mishran ko hatho mai lekar acche se malish kare. Aesa har do din mai kare. Dheere dheere parinaam aapko najar aane lagenge.
  2. Rat ko sone se pehle sukhe pairo par aleovera gel ko lagaye. Jab tak gel sukh na jaye pairo ko jamin par na rakhe.
  3. Pairo ki tanning hatane ke liye aap nimbu ko aadha kat kar usko pairo par ragad le. Pairo ki tanning khatam ho jayegi. Aur pair khubsurat ho jayenge.
  4. Halke se gungune pani ko tub me lekar usme nimbu ka ras, thodi si ilachi powder, 2 chammach olive oil aur aadha cup dhudh milakar pani mai ghol le. Ab aapke pairo ko usme dale tatha thodi der se kisi somya sabun se pairo ko dho le. Ab aap foot cream lekar pairo par laga le. Isse aapke pairo ka kalapan dur ho jayega aur aapke pair komal ho jayenge.

Upar aapne jana Home Remedies for Tanning. Upar diye gaye tariko ko apnakar aap apne sharir ke kisi bhi hisse jaise ki chehre, gardan, hatho aur pairo se tanning hata sakte hai.

Loading...

You may also like...