Benefits of Night Cream: Janiye Isko Lagane ke Fayde

Kya aapne pehle kabhi Night Cream ka upyog kiya hai? Agar nahi kiya hai to ab se prayog karna shuru kar de kyuki aaj hum aapko Benefits of Night Cream batayge, jo aapke liye bahut hi faydemand sabit hoge.

Roz raat ko sone se pehle night cream ka istemaal kijiye, kyuki isko lagane se twacha humesha young bani rahegi aur aapki badti hui age ka bhi pata nahi chalega. Iske niyamit prayog se twacha swasth aur komal banti hai.

Benefits of Night Cream: Sone se Pehle Lagaye

1) Night Cream twacha ko name pahuchane ka kaam karti hai jisse twacha hydrate dikhti hai, aur aapke chehre ki khoi hui rangat wapas aa jati hai.
2) Cream lagane se subah aapki face par fine lines nahi dikhai padti hai, Skin tone ek jesa lagta hai.
3) Yeh cream sahi tarike se blood circulation badane me bhi madad karti hai.
4) Yeh twacha ke collagen banana me bhi madadgar hoti hai.
5) Yeh cream jhurriyo ko aane se rokti hai.
6) Janiye Benefits of Night Cream jo aapki rukhi hui twacha ko soft aur lachili banati hai.
7) Isko lagane se aapki badti age chehre se pata nahi chal pati hai.
8) Yeh twacha ko poshan pahuchahti hai.

Benefits of Night Cream

You may also like: Mulberries Benefits: Shahtoot se Nikhare Apni Twacha

Kese Choose Kare Sahi Night Cream?

Aapko apne liye apni twacha ke anusar wali cream chunani chaiye. Cream chunte time dekhna chaiye ki cream jyada thick nahi ho. Thick night cream twacha ke sabhi rome holes ko band kar deti hai, jisse twcha thik prakar se saans nahi le pati. Night cream jyada khusboodar nahi honi chaiye.

How to Apply Night Cream?: Chehre par Lagane ki Vidhi

Chehre ko pehle dho le, phir thodi si cream ungli me le kar chehre par lagaye. Cream lagate vakt twacha ko upar kin aur golai me le jate hue massage kare.

Ghar Par Banaye Night Cream

Night Cream ko banane ke liye aapko half apple, 1 cup jaitun tel aur rose water ki jarurat hoti hai. Apple ke chilke ko utar le, use bladder me jaitun tel ke saath piss le. Phir use ek katore me nikale aur use double boiler par tab tak garam kare tab tak ki vah garam na ho jaye. Jab mishran garam ho jaye tab use thanda hone ke liye rakhe. Iss paste me rose water mix kare. Aapki night cream ready hai. Aap isse freeze me bhi rakh sakti hai aur roz sone se pehle iss cream ka use kar sakti hai.

Aaj se hi iss cream ka use kare aur jane Benefits of Night Cream, jo aapki twacha ko banayega chamakdar.

Get more details about Night Cream from Beauty tips in Hindi.

Loading...

You may also like...