Home Remedies for Gallstones: Pitta Ki Pathri Ka Upchar
Pathri ek aam samasya hai jo kisi ko bhi sakti hai, lekin Pitta ki Pathri ki samasya mahilao mai jyada hoti hai. Pittashya hamare sharir ka chhota sa ang hai jo liver ke thik piche hota hai. Yeh ek theli ke rup mai paya jata hai.
Pitta ki theli mai cholesterol ke jamne par yeh kathor hone lagti hai jisse pathri kehte hai.
Jab yeh samasya hoti hai tab vyakti ko ashaniya dard hota hai. Waise to pittashya ki pathri ke banne ka sahi karan pata nahi chal paya hai. Lekin mana jata hai ki iski samasya motape, anuvanshik itihas, aur rakt sambandhi bimariyo hone ki wajah se hoti hai.
Sodh se pata chala hai ki karib 85% logo mai pathri ke lakshan najar nahi aate hai. Lekin jin logo ko pet ke daye bhag mai dard mehsus hota hai to ho sakta hai unhe pathri ki samasya ho. Iss samasya se puri tarah chutkara pane ke liye padhe Home Remedies for Gallstones.
Home Remedies for Gallstones: Pathri Ke Gharelu Ilaj
Khub Pani Piye
- Pathri se pidit vyakti ko din mai 8 se 10 glass pani pina chahiye kyonki jyada pani pine se pathri tatha vishkat padarth sharir se bahar nikal jate hai.
- Yeh prakratik tatha aasan Treatment for Gallstones hai
Vitamin C Ka Kare Sevan
- Vitamin C jami hui Pathri ko ghtane ka kaam karta hai. Yeh Pathri ke Dard ke liye uttam upchar hai.
- Pathri ki bimari mai vitamin C ka sevan karna chahiye kyonki yeh cholesterol lo pitta amal mai badal deta hai. jo pathri ko vighatit karta hai.
- Aaise phalo ka ras piye jisme vitamin C bharpur matra mai hota hai jaise nimbu pani, mosambi ka ras, santre ka ras aadi.
Nashpati Ka Ras Piye
- Nashpati ka ras pitta ki theli mai jami hui pathri ko dhire dhire khatam kar deta hai.
- Nashtpati mai mojud pectin cholesterol ko jamne se rokta hai jisse pathri ki samasya se rahat milti hai.
- Pathri ki samasya se nipatne ke liye 1 glass garam pani mai 1 glass nashpati ka ras aur 2 chammach shahad milakar iska sevan kare. Iss ras ko din mai 2 se 3 bar piye.
Pudina Dilaye Pathri Se Nijat
- Pudina mai moujud tarpin pathri ko puri tarah se gala deta hai aur aapko iss samasya se nijat mil jata hai.
- Pudina ki pattiyo ko ubalkar pine se gallbladder pathri mai bhi rahat milti hai. Yeh ek prabhavi gharelu upchar hai.
- Pudina ka sevan karne se pachan shakti badti hai tatha yeh pitta vahikao tatha pachan sambandhit dusre ras ko bhi badata hai.
Gajar Tatha Kakdi Ka Ras Piye
- Kakdi ka ras mai atyadhik matra mai pani hota hai jo liver tatha gallbladder ko detox kar acche se safai karti hai.
- Gajar mai vitamin C ki matra adhik hone par isme poshak tatva bhi adhik matra mai paye jate jo pathri ki samasya se nijat dilate hai.
Chukandar Ka Bana Juice
- Chukandar na sirf sharir ke liye majbuti banata hai balki pathri ki samasya se bhi chutkara dilate hai.
- Juice pina swasth ke liye bahut accha hota hai tatha pathri ke illaj ke liye kaafi faydemand hota hai.
Haldi Ka Kare Sevan
- Haldi pathri ke sabse accha gharelu upchar hai kyonki isme antioxidant tatva hone ke sath dard nivarak gun bhi hota hai.
- Haldi pitta ke ghatko tatha pathri ko aasani se khatam kar deti hai. Aesa mana jata hai ki 1 chammach haldi ka sevan karne se karib 80% pathri ghat jati hai.
Arandi Ka Tel
- Yeh pathri ke dard ka nivaran karta hai.
- Iske sevan se pratiraksha aur lasika pranali par sakaratmak prabhav padta hai.
- Jaha par aapko pathri ki samasya hai waha arandi ke tel se halke hatho se malish kare pathri kataham ho jayegi.
- Arandi ke tel ka sevan karne se pathri ki samasya se nijat mil jata hai thatha jinhe pathri nahi hai unhe kabhi yeh samasya nahi hoti hai.
Fiber Yukt Aahar Ka Sevan Kare
- Sabjiya, hari pattedar sabjiya, phal tatha anaj mai prachur marta mai fiber milta hai.
- Iss tarah ke aahar ka sevan karne se vasa kam banta hai jo pittashya mai cholesterol banne se rokta hai.
- Fiber khadya padharto ka khane se mal tayagne mai madad milti hai tatha pachan tantra sahi bana rehta hai.
- Abhi hal hi mai shodhkartao ne dava kiya hai fiber yukt aahar ka sevan karne se pathri ki samasya se rahat mil jati hai.
Aapne upar jana Home Remedies for Gallstones in Hindi. Yadi aap ya aapke aasapas mojud logo mai kisi ko pathri ki samasya hai to inn gharelu upcharo ki sahayata se pathri ki bimari se nijat pa sate hai.