Home Remedies for Depression: Tanav se Paaye Chutkara

Depression (Mood) ke gharelu nuskho se aap hamesha shant aur tarotaaza mahsoos karenge. Agar aap depression se pidit hai, to aapko thakan, laachari aur anindra ka ahsaas hoga. Anek shodho ke anusaar depression se sambandhit bimariya mastishk ke vikaar hai, jo ki aage jaakar bahut ghatak sidhh ho sakti hai.

Depression ki samasya mai aapko khud ki madad karna atyant mushkil sa lag sakta hai. Lekin yeh janana behad jaruri hai ki ye saari manodashay depression ka hissa hai aur ye sahi stithi ko theek dhang se nahi darshata hai.

Jaise jaise aap apni ye samasyaa ko janane lag jayenge, saath hi Home Remedies for Depression ki shuruvaat kar denge, aap apne aapme bahut accha mahsoos karenge. Inn remedies se aapke nakaratmak vichaar gayab hote chale jayenge.

What is Depression: Hum Iss Rog ka Shikaar Kyo Hote Hai??

You may also like: Home Remedies for Headaches- Natural Ways to Treat Afflicted Heads

Har insaan ke jivan mai sukh aur dukh aata jaata rehata hai. Lekin aksar yah ahsaas shanik hota hai aur kuch hi dino mai vah iss ahsaas se ubar aata hai. Depression se ubar aana acchi baat hai, lekin yadi aap jald hi isse nijat nahi paate hai to aage chalkar yah bahut si gambhir bimariyo ka roop le leti hai.

Jab koi vyakti depression se pidit rehata hai, to yeh samasya uss vyakti ke rozmarra ke jivan aur uske samanya kamkaaj ke jivan mai baadha dalta hai tatha vah vyakti uske parivar jano ke dukh ka karan ban jata hai. Aise vyakti jo depression se pidit rehte hai wah aksar ise nazar andaaz karte hai aur apna ilaj nahi karate hai. Depression(mood) ka puri tarah sahi roop se ilaj karana behad jaroori hai.

Iske alawa mastishk ki koshikaye jinn avashyak neuro transmitter chemical ka upyog samwad ke liya karti hai, ve asantulit paye jate hai. Inn sabhi samasyao ko dur karne ke liye aaiye jaane Home Remedies for Depression.

Treatment for Depression: Tanav ko Kare Apne se Dur

Prarthana Kare

Prarthana karne se mann isthir or shaant rehta hai. Isse mann mai sakaratmak urja ka vikaas hota hai, jisse mann nirogi banta hai. Samuhik taur se prarthana karne par vyakti ke mann mai ekta ka bhav badhta hai aur akelapan dur ho jata hai.

Nirantar Karya Karte Rahe

Niranatar karya karte rehne se aap par depression ka prabhav kam rahega. Khud ko halke, fhulke karyo mai ya vyayam mai vyast rakhe. Jisse aapko anand mile aur iska kram ghatata rahe.

Samay Bitaye

Anya logo ke saath samay bitaaye aur kisi bharosemand mitra ya rishtedar ke saath apni gupt baato ko khulkar bataye. Apne aapko alag karne ki koshish na kare aur dusro ko aapki madad karne de.

Chote Hisse Mai Baate

Bahut jyada karya ho, ya bada karya ho to isse chote chote hisso mai baate. Kuch kaam ki prathmiktaye nirdharit kare. Aisa karne se aapka tanav kaam rahega saath hi depression se door rahoge.

Nakaratmak Vichaar

Nakaratmak vichaaro ko apne upar kabhi bhi bhari na padne de. Ilaj ke douran jaise jaise aapki stithi mai sudhar hone lagega, wese wese aapke mann mai sakaratmak vichaar aane lagenge.

Home-Remedies-for-Depression

Types of Depression: Tanav ke Kuch Aam Lakshan

Mood Badalna

Kisi bhi kam mai mann na lagna, koi ruchi na hona, kisi baat se koi khushi na hona, yaha tak ki gam ka ahsaas bhi na hona. Yah sab Depression and Anxiety ke lakshan hai.

Heen Bhavna

Har samay nakaratmak soch hona. Hamesha heen bhavna se grasit hona, yeh depression ka mukhya karan hai.

Sharirik Badlaav

Neend na aana ya atyadhik neend aana. Raat ko 2-3 baje neend ka khulna aur agar yah 2 saptaah se adhik chale to depression ki nishaani hai.

Get more about Depression from Home Remedies.

Loading...

You may also like...