Pineapple Benefits in Hindi: Jane Ananas Ke Swasth Labh
Thand ke mousam mai kai phal aate hai. Lekin jyadatar log thandi me phal khana pasand nahi karte. Agar aap bhi aesa karte hai to ham aapko bata de ki aap apna hi nuksan kar rahe hai. Thandi ke dino mai vitamin C se bharpur phal khane se hamari rog pratirodhak kshamta badhti hai aur ham bimar nahi padte.
Kuch log sochte hai ki thandi ke mousam mai phal khane se unhe sardi ho jayegi. Lekin aesa kuch nahi hai balki iske viprit thandi ke dino mai phalo ke sevan se pratirodhak shakti badhti hai aur ham bimariyo se dur rehte hai.
Sardi ke mousam mai ananas (pineapple) ki bahut bahaar rehti hai. Iss khatte mithe phal ka upyog salad aur dessert mai kiya jata hai. Yeh calcium, fiber, aur vitamin C se bharpur hota hai. Isme bahut kam matra mai vasa paya jata hai. Shayad hi aap jante honge isliye aapko yeh bhi batade ki ananas sharir ki safai ke liye sabse shresth phal hai. Aaiye jante hai aese hi kuch Pineapple Benefits in Hindi, ananas se milne wale swasth labh.
Ananas Khane Se Milte Hai Yeh Fayde
Aankho Ki Roshni Badhaye
Ananas aankho ke liye behad hi faydemand hai. Kuch sodho mai yeh baat sabit ho chuki hai ki din mai teen bar iss phal ko khane se badhti umra mai aankho ki roshni kam hone ke khatra kam ho jata hai.
Haddiya Majbut Banaye
Isme prachur matra mai magnesium paya jata hai jo haddiyo ko majbut banana aur sharir ko urja pradan karne ka kaam karta hai. Aapko jankar yakin nahi hoga lekin sirf 1 cup Pineapple Juice pine se dinbhar ke liye 73% ki purti hoti hai. Badhte hue baccho ko ise jarur khilana chahiye. Yeh haddiyo se sambhandit osteoporosis ki samasya ko bhi dur karta hai.
Dil Ke Rogo Se Bachaye
Ananas mai Vitamin C bhi prachur matra mai paya jata hai. Isse sharir ki pratirodhak kshamta badhti hai aur sadharan thand se bhi suraksha milti hai. Iske ras mai moujud antioxidants hriday ki sehat banaye rakhta hai. Isse uccha raktchaap bhi kam hota hai.
You May Also Like:- Apple Benefits in Hindi: Seb Khane ke Behatrin Fayde
Twacha Ke liye labhdayak
Ananas mai moujud vitamin c, acne treatment ke liye bahut faydemand hota hai. Ananas ko sirf khana hi nahi hai balki aap iska istemal tonner ki tarah bhi kar sakte hai. Bus ananas ka ras chehre par lagae aur sukhne ke liye chhod de. Fir chehra dho le.
Anya Rogo Mai Bhi Faydemand
Ananas mai bromelain paya jata hai jo gale mai kharas, sardi, khansi aur gathiya mai faydemand hota hai. Yeh pachan tantra ko bhi sudharta hai. Niyamit roop se ananas ka ras pine se mutra marg ke sankraman dur hote hai.
Hamne bahut bar suna hai ki rojana ek apple khane se doctor ke pas nahi jana padta hai. Lekin agar aap apple se bore ho gaye hai, lekin iske swasth fadyde pana chahte hai. To aapko bata de ananas ke natural diuretic hai jo aapke kidni ke sahi rakhta hai.
Pineapple Benefits: Mahilao Ko Hai Iske Kai Labh
Mahilao ko Ananas ke sevan se kai fayde milte hai. Isme magnesium, tamba, potassium, phosphorus jaise khanij, vitamin aur bromelain jaise aavyashak enzyme mojud hote hai.
Mahavari Mai Dard Kam Kare
Mahavari ke douran yadi Ananas ka ras piya jaye to dard mai rahat milti hai. Isme bharpur matra mai antioxidant hota hai jo koshikao mai hone wali hani kam karta hai. Yeh dil ke doure se bhi bachav karta hai.
Garbhavastha Mai Faydemand
Ananas mai folic amla hota hai. Jo garbhavastha mai madad karta hai. folic amla garbh mai shisu ke dimag ke liye upyukt hota hai.
Stan Ke Cancer Mai Labhdayak
Ananas mai bromelain enzyme hota hai jo sharir ki pratirodhak shakti badhata hai. Yeh stan ka cancer hone ka khatra bhi kam karta hai. Cancer ke upchar se sharir ki hui hani ko bhi ananas kam karta hai.
Mashpesiyo Ki Ainthan Dur Kare
Ananas mai bahut matra mai potassium mojud hota hai. Iske niyamit sevan se mashpesiyo ke ainthan kam hoti hai. Yeh gude ko bhi swasthya banaye rakhta hai.
Jodo Ka Dard Kam kare
Ananas ke ras mai mojud bromelain enzyme jodo ke dard ko kam karne mai madad karta hai. Isse sharir ki pratirodhak kashamta badhti hai aur sujan bhi kam hoti hai.