Ayurvedic Treatment for Hair Loss: Baalo Ka Jhadna Roke

Aajkal baalo ke jhadne ki samasya kaafi aam hoti ja rahi hai, iss samasya ke badne ka karan dincharya ka sahi se na hona tatha khan pan par sahi se dhyan nahi dena hota hai. Kyoki samay ki kami ke karan hum fast food ko apne bhojan mai jyada shamil kar rahe hai. Jisse sharir mai protein aur minerals ki kami ho jati hai, aur baalo ko poshan nahi mil pata hai.

Iske alawa bahari pradushan bhi baalo ke jhadne ke liye jimmedar hai. Pehle ke jamane mai baalo ki dekhbhal ke liye ayurvedik tarike apnaye jate the jisse baal kale aur ghane bane rehte the. Wahi aajkal rasayanik shampoo aadi ke istemal se baal ulta aur kharab ho jate hai.

Baal jhadne ke to kai karan ho sakte hai, lekin inki prakartik rup se dekhbhal karke fir se unhe khubsurat ghana banaya ja sakta hai. To aaiye jante hai Ayurvedic Treatment for Hair Loss. Yaha diye gaye tariko se baalo ka jhadna kam ho jayega.
 

Ayurvedic Treatment for Hair Loss: Girte Baalo Ke Liye Upchar

 
Ayurvedic Treatment for Hair Loss
 

Shahad – Baalo mai Chamak Laye

Waise to shahad kai bimariyo ko dur karne mai faydemand hota hai parantu kya aap jante hai shahad baalo ke liye bhi bahut faydemand hota hai. Iska prayog karke baalo ko jhadne se bhi bachaya ja sakta hai. Iss prayog ko karne ke liye garam pani mai thoda shahad dal kar use ghol le aur uss pani se sar ko dho le. Aesa karne par baal kam jhadenge.
 

You may also like:- Home Remedies for Healthy Hair: Sundar Ghane Baalo Ke Liye

 

Gunkari Amla – Baalo Ko Jhadne Se Roke

Baalo ko jhadne ki samasya se chutkara dilane ke liye amla sabse purana aur prakratik illaj hai. Kyoki amla mai Vitamin C aur antioxidant tatva prachur matra mai paye jate hai. Iska niyamit sevan karne se baal jhadna band ho jate hai. Aap ise direct nahi khana chahte hai to iski supari bhi bana kar kha sakte hai. Hair fall control ke liye ise kaafi samay se upyog mai laya ja raha hai.
 

Baalo Ke Liye Faydemand Nariyal

Baalo ki dekhrekh ke liye nariyal ka tel sabse accha upay hai.  Kyoki nariyal mai protein, minerals, potassium aur iron jaise tatva moujud hote hai jo baalo ko majbooti pradan karte hai. Iske alawa nariyal ke dudh mai pani mila de aur isse malish kare tatha raat bhar laga rehne de aur subah uthkar sar ko acche se dho le. Kuch hi dino mai baalo ke jhadne ki samasya khatam ho jayegi.
 

Jaitun Ke Tel Ka Kare Istemal

Jaitun ka tel baalo ke liye bahut accha hota hai. Iska prayog karne ke liye jaitun ke tel mai 1 chammach shahad aur ek chammach dal chini powder dalkar inka paste bana le. Jab bhi aap sar dhone wali hai uske 15 minute pehle bane huye paste ko baalo mai laga le aur fir garam pani se sar dho le. Iss prayog ko kuch din tak karne se baalo ki jhadne ki samasya khatam ho jayegi.
 

Shikakai aur Aritha

Shikakai aur aritha se baal dhone par baalo ki sari gandagi saaf ho jati hai. Yeh baalo ko majbooti dene mai madad karte hai. Yadi aap baalo ki deep conditioning karna chahte hai to dahi mai aritha shikakai aur amla ka churn ko dahi mai milakar baalo mai acche se laga le. Isko lagane ke kuch der bad baalo ko dho le.
 

Kadva Neem

Neem prakrati ki di hui anuthi den hai. Isse baal dhone par baalo ki gandagi aur rusi samapt ho jati hai. Iske alawa neem baal ko jhadne se bhi rokta ha. Iska prayog karne ke liye neem aur bair ki pattiyo ko peeskar churan bana le aur isme nimbu ka ras dalkar baalo mai lagaye. Iske lagatar prayog se baalo ka jhadna band ho jata hai.
 

Kare Badam Tel Ki Malish 

Badam mai protein bharpur matra mai moujud hota hai, jo baalo ke liye bahut faydemand hota hai. Isliye badam ko khane se baalo ko bahut fayda milta hai. Iske alawa baalo ko jhadne se rokane ke liye badam tel se baalo ki jado mai acche malish karne se baal jhadna band ho jate hai.
 

Ande – Eggs

Ande mai protein hone ke sath yeh sulfer ka bhi accha strot hai. Iske alawa ande mai potassium, iodine, phosphors, iron, zinc bhi hota hai. Yeh sabhi baalo ke vikas mai bahut mahatvapurn hote hai. Ande ko olive oil ke sath milakar iska prayog baalo ke liye bahut prabhavkari sabit hota hai.
 

You may also like:- Home Remedies for White Hair in Hindi: Safed Baal Kale Kare

 

Lal Gajar

Gajar ka ras mixer mai pees kar ise baalo ki jado mai lagane par baalo ka jhadna ekdum band ho jayega. Iske alawa hare dhaniye ka ras bhi baalo mai laga sakte hai.
 

Pyaj Ka Ras – Baalo Ke Vikas mai Faydemand

Pyaj ke ras ko baalo ki jado mai malish karne par sar mai jaha par baal nahi hai waha baal aane lagte hai. Pyaj ke ras se tab tak malish karna chahiye jab tak wo hissa lal na ho jaye. Iske bad uss hisse par shahad laga de aur kuch der bad baalo ko dho le. Iss prayog se Hair Regrowth to hota hi hai sath hi baal jhadna bhi kam ho jate hai.
 

Sarso Ka Tel aur Mehndi Ki Patti

Baalo ko jhadne se bachane ke liye kai ayurvedik tarike ka aap istemaal kar sakte hai lekin jaldi se jaldi baalo ki samasya se nijat pane ke liye sarso ke tel mai mehndi ki patti dalkar use garam kar le. Ab ise thanda kar baalo mai lagaye kuch hi din mai baal jhadana band ho jayega.
 
Upar aapne jana Ayurvedic Treatment for Hair Loss. Yadi aapke baal bhi bahut gir rahe hai to inn upcharo ka upyog karke avashya dekhe.
 

Loading...

You may also like...