Chicken Pox Symptoms in Hindi: Jane Lakshan aur Upchar
Chicken pox ek samanya sankraman hai jise hum choti mata bhi kahte hai. Yeh varicella vishanu ke karan hota hai. Yeh bimari chhune, saans lene se jayada failti hai. Swastha baccho aur vayasko mai yeh bimari bahut kam hoti hai. Iss sankraman ke karan sharir par choti-choti funsiya ya dadode ho jate hai. Aksar ise khasre ki bimari bhi samjh liya jata hai, kyonki iss bimari mai ruk-ruk kar khujli hoti hai. Kabhi-kabhi yeh bimari kafi dardnak bhi hoti hai. Jis wajah se bukhar, sardi, khansi aur sar dard jaisi samsya bhi rehti hai. Iske alawa twacha mai bacterial sankraman, nimoniya, aur mastishk mai sujan bhi iske samanya lakshan hai. Ayurveda mai iss bimari ko laghu masurika bhi kaha jata hai. Yeh ek choot ki bimari hoti hai. Jo jyadatar 1-10 ki umra ke baccho mai hoti hai.
Chikitsako ke anusar 12 se 15 saal ki umar ke baccho ko chicken pox ka pahla tika aur 4 se 6 saal ki aayu mai dusra tika lagwana chaiye, jisse bacche iss bimari se bach sake). Yeh tika chicken pox ke halke sankraman ko rokne mai 70-80 fisadi labhkari hota hai, aur gambhir roop se sankraman rokne me 90 fisadi asardar hota hai.
Chicken Pox Symptoms in Hindi: Chicken Pox ke Lakshan
Aaiye jante hai Chicken Pox Symptoms in Hindi ke mukhya lakshan
- Chicken pox ki shuruwat se pahle halka bhukhar, khansi, sar dard, ultiya, bhook mai kami aur pith mai dard jaise lakshan dikhai daite hai aur agle 24 ghanto mai pet, pith aur chehre par funsiyo ke saman lal khujlidar dane uth jate hai. Jo baad mai pure sharir par ho jate hai.
- Pahle to yeh funsiya dano ya kide ke dank ke saman lagti hai magar baad mai yeh taral padarth yukt fhafole ka roop le leti hai.
- Iss bimari mai 250 se 500 lal dane pure sharir par fail jate hai.
- Baccho mai yeh bimari karib 2-3 hafto tak rahti hai.
- Iss avastha mai sankramit vyakti ko ghar se bahar nahi jane dena chahiye.
- Vaise to yeh bimari 1-10 aayu ke baccho mai jyada hoti hai magar jab yeh kisi vyask vyakti ko hoti hai to bahut hi dard-dayak or taklif-dayak hoti hai.
- Aise vyakti jinke sharir ka Immune system kamjor ho jaise HIV sankramit vyakti un logo mai yeh bimari kafi kastdayak hoti hai.
You May Also Like: Urinary Tract Infection in Hindi: Iske Lakshan, Karan aur Upchar