Face Cleanup at Home in Hindi: Ghar Par Twacha Ki Safai

Chehre ko saaf karna matlab aapki chehre ki twacha ki andar tak safai hona chahiye taki aapka chehra murjhaya hua nahi lage. Ham rojana kisi na kisi karan se bahar jate hai aur bahari vatavaran ke sampark mai aate hai.

Jisse dhul mitti aur pradushan aadi ke karan hamari twacha kharab ho jati hai. Aur bahut kam log hote hai chehre ki twacha ko rojana acche se saaf kar pate hai, kai log sirf mahine mai ek bar jakar parlor mai clean up ya facial karwate hai jisse twacha kuch samay ke liye clean dikhti hai.

Parantu yadi aap chahte hai ki aapki twacha rojana ek jaisi aur chamakdar dikhe to uske liye rojana ghar par hi aap kuch samay nikal kar khubsurat aur damakti twacha pa sakti hai. Rojana cleanup karne se aapke muhase aur daag dhabbe bhi kam ho jayeng. To aaiye jante hai Face Cleanup at Home.
 

Face Cleanup at Home: Kare Chehre Ki Safai

 
Face Cleanup at Home in Hindi
 

Face Cleanup Kaise Kare?

 

Step 1: Cleansing

Face cleanup steps ki shuruwat aapko cleansing se karna chahiye, kyonki cleansing karne se chehre par chipki hui dhul mitti aasani se nikal jati hai. Iske alawa cleansing karne se twacha mai nami bani rehti hai.

  • Face Cleansing karne ke liye sabse pehle ek katore mai kaccha dudh le tatha usme thoda sa namak dale.
  • Ab iss mishran mai rui ko duboye aur ise pure chehre par laga le.
  • Cotton se chehre ko acche se saaf karle, ise lagane se chehre se saari gandagi saaf ho jayegi aur romchhidra khul jayenge.

 

Step 2: Steaming- Chehre Ko Bhap De

Chehre ko bhap dene se twacha ke sare band romchhidra khul jate hai aur aap twacha ke blackheads ko aasani se nikal sakte hai. Steaming karna teliya twacha ke liye bahut accha hoti hai.

  • Steaming karne ke liye ek bade bartan mai garam pani le chehre ko uski taraf jhuka de.
  • Iske bad chehre ko toliye ki sahayata se pura dhak le, taki bahar ki hawa aapke chehre par na lage.
  • Chehre ko karib 5 se 6 minute tak bhap lene de, isse aapke chehre ke romchhidra pure khulne ke sath chehre ki mrit koshikao ki parat bhi bahar nikal jayegi.

 

Step 3: Scrubbing- Dead Cells Hataye

Yeh chehre ki mrit koshikao ko aasani se chehre se hata deta hai kyonki mrit koshikao se aapka chehra murjhaya lagta hai. Scrub ko aasani se ghar par bana sakte hai isse aapki twacha ko koi nuksan nahi hoga.

  • Ghar par scrub banane ke liye 2 chhote chammach shakkar aur 2 chhoti chammach shahad ko lekar mila le.
  • Ab iss mishran ko acche se milaye aur halke hatho se 5 minute chehre par scrub kare.
  • Iske bad mishran ko kuch der tak chehre par laga rehne de aur karib 15 minute bad chehre ko acche se dho le.

 

Step 4: Face Mask- Twacha mai Kasav ke Liye

Face mask lagane ke liye aapko jyada sochna nahi padta hai ki kis tarah ka face pack aap chehre par lagaye kyoki yeh aapko twacha ko mulayam banata hai tatha rangat ko nikharne mai madad karta hai. Lekin aap chahe to aapki twacha ke anusar face pack ko lagana chahte hai to wo aapke liye jyada prabhavi hoga.
 

Sadhran Twacha Ke Liye Neem Face Pack

  1. Aap neem ki pattiyo ko pees le tatha uske powder mai gulab jal dalkar uska mishran taiyar kar le.
  2. Ab iss pack ko chehre tatha gardan par lagaye, yeh normal twacha ke liye accha hoga.

 

Rukhi Twacha Ke Liye Chandan Ka Face Mask

  1. Chandan ka powder le tatha usme gulabjal milakar paste taiyar kar le.
  2. Ab is paste ko chehre par lagaye tatha 20 minute tak rakhe aur thande pani se chehre ko dho le.

 

Teliya Twacha Ke Liye Multani Mitti Ka Face Mask

  1. Yadi aapki teliya twacha hai to multani mitti ke powder mai gulajal dale aur paste bana le.
  2. Bane huye paste ko pure chehre tatha gardan par lagaye tatha sukhne ke bad thande pani se dho le.

 

Step 5: Toning- Chehre Par Lagaye Toner

  1. Ghar par toner banane ke liye kheera kakadi ka ras nikale tatha usme thoda sa gulabjal milaye.
  2. Ab iss mishran ko chehre par lagaye, ise lagane se twacha ka pH maan niyantrit rehta hai.

 

Step 6: Moisturizer- Twacha Ko Nami De

Moisturizer twacha mai nami banaye rakhta hai isliye cleanup karne ke bad chehre par ise jarur lagaye.
 
Upar aapne jana Face Cleanup at Home. Diye gaye step ke dwara aap ghar par hi cleanup kar sakte hai tatha chamakdar aur khubsurat twacha pa sakte hai.

Loading...

You may also like...