Yeh baat to ham sabhi jante hai ki sundar kale baal mahilao ki khubsurati ko kai guna aur bada dete hai. Purane samay mai mahilao ke baal bahut acche hote the. Kyonki uss samay baalo ko accha rakhne ke liye prakratik tarike apnaye jate the Jisse ki baal kale aur lambe hote the.
Lekin aajkal alag alag tarah ke shampoo aur sabun ka istemal baalo ko dhone ke liye kiya jata hai. Natijan baalo ki natural khubsurati khoti ja rahi hai.
Iske atirikt aajakal logo ka khanpan bhi bigad gaya hai. Poshak tatv na milne ki wajah se asmay hi baalo ka safed hona aur tutne ki samasya shuru ho gai hai. Dhul mitti ki wajah se bhi baal rukhe aur bejan ho jate hai.
Yadi baalo ke jhadne aur safed hone ki samasya kishor avastha mai hi shuru ho gayi hai to Iske kai karan ho sakte hai jaise santulit aahar ka na lena, tanav lena, chemical yukt cosmetic ka upyog karna aadi. Baal aapki sundarta ko vyakt karne ka mukhya bhumika nibhate hai. Yadi aapke baal swasth aur acche honge to har koi aapki taraf aakarshit hoga. Iske viprit yadi aapke baal acche nahi hai to khubsurat chehra hone ke bawjud bhi aap sundar nahi dikhenge.
Isliye baalo ka swasth hone bahut jaruri hai. Aur baalo ko swasth karne ke liye use poshan ki jarurat hoti hai. Aapke baalo ki stihi chahe kitni bhi kharab ho hair pack aapke baalo ko fir se kala, ghana, lamba aur khubsurat banne mai madad karte hai. Sath hi yeh aapke baalo ki conditioning bhi karte hai. Yadi aapke baal safed ho rahe to bhi aapko baalo par mask lagana chahiye. Aaiye jante hai kuch behtarin Hair Pack in Hindi, jo aapke baalo ke liye kaafi faydemand hai.
Hair Pack in Hindi: Janiye Baalo Ke Liye Faydemand Mask
Gudhal aur Dahi Ke Sath Banaye Pack
Gudhal aur dahi se bana hua pack garmiyo ke liye bahut accha vikalp hai. Isse sar ko thandak bhi milti hai. Iska prayog karne ke liye 4 chammach dahi aur ¼ gudhal powder lekar dono ko mix kar le. Iss paste ko gile baalo mai lagakar 30 minute tak sukhne ke liye chhod de. Uske bad halke gungune pani se baalo ko acche se dho le. Aapke acche chamkdar aur swasth ho jayenge.
Sarso Ka Tel aur Kadi Patta
Ek kadhai mai thoda sa sarso ka tel dalkar garm kare tatha usme kadhi patte dale. Fir Isko kuch der thanda hone de. Ab gile baalo mai halke halke hatho se tel se malish kare. Malish karne se aapke sar mai rakt ka sanchaar badega. Isko raat bhar rehnde de aur fir subah gungune pani se sar dho le. Acche parinaam ke liye har teesre din iska istemal kare.
You may also like:- Curry Leaves for Hair Growth in Hindi: Balo Ke Liye Faydemand
Nariyal Tel Ka Mask Bhi Faydemand
Nariyal tel aur alovera ko milakar paste taiyar kar le. Iss paste ko gile baalo mai laga le. Aur baalo ko 30 minute ke liye sukhne ko chhod de. Uske bad baalo ko halke halke hatho so dho le. Isse aapke baalo ki growth acchi hoti hai. Ise aap har tin din mai prayog kar sakti hai.
Gunkari Neem Leaf Pack
Neem prakrati ki di hui aesi den hai, jiske anek fayde hai. Hair pack mai neem ka hair pack bahut accha mana jata hai. Yeh aapke baalo mai se rusi hatata hai aur rukhe baalo ko naram tatha suljha hua banata hai. Neem ke patto ko aadhe cup pani mai 2 se 3 minute tak ke liye ubaale. Tatha uska paste banakar usme 2 chammach shahad dal de. Iss paste ko aapke baalo par kam se kam 15 minute tak ke liye lagaye aur fir dho le. Neem ka pack aapke ghungarale baalo ko sidha karne mai bhi madad karta hai.
Mehndi powder mai 4 chammach neem ka powder, 2 bade chammach dahi, thoda sa coffee powder aur 1 chammach nimbu ka ras milakar paste bana le. Fir aapke baalo par laga kar kuch der bad aapke baalo ko dho le. Aapke baal swath aur naram ho jayenge. Iss mishran mai mehndi hone ki wajah se baalo ko accha rang bhi milta hai.
Aloo Ka Paste
Yadi aapke baalo ka rang bahut halaka hai to aloo ka mask isme aapki madad kar sakta hai. Prayog karne ke liye aloo ko chil kar usse pani dalkar pisle aur paste banale. Kuch samay use sukhne ke liye chhod de. Tatha pani se baalo ko acche se dho le. Aapke baal chamakdar ho jayenge. Behtar parinaam ke liye hafte mai do bar iss paste ko baalo par lagaye
Pyaj Ka Pack: Baalo Ko Badhaye
Yadi aap Hair Pack for Hair Fall ki talash mai hai. To pyaj ka pack aapke liye faydemand hai. Darahsal pyaj mai sulfur paya jata hai, jo ki baalo ko fir se ugane mai madad karta hai. Yadi aapke baalo mai rusi hai to bhi pyaj ka ras aapke liye faydemand hai. Pyaj ke ras mai nariyal ka tel milakar uska paste bana le. Iss paste se sar mai dheere dheere se massage kare. Aap khushbu wala tel bhi laga sakti hai. Jisse baalo mai pyaaj ki badbu na aaye.
Iske atirikt ise lagane ka ek aur tarika hai. Pyaj ke ras mai shahad mila le aur jado mai lagaye. Iske 2 ghante baad pani mai nimbu milakar baalo ko acche se dho le. Isse pyaj ke pack se baalo mai acchi chamak aayegi. Iss paste ko hafte mai 3 bar jarur lagaye.
Baalo Ko Freezy Look Dene Ke Liye Anda
Anda baalo ke liye bahut faydemand hai. Ek katori mai 2 chammach dahi aur do ande milakar mishran bana le. Ise sukhe baalo mai lagaye aur 30 minute bad pani se dho le. Aapke baal bahut khubsurat ho jayenge.
Egg Hair Pack prayog karne ka ek aur tarika hai. Ande ke safed bhag ko lijye usme kuch bhi na dale. Sirf ande ke safed bhag ko acche se mesh kar le. Aur fir ise baalo mai lagaye. Sukhne ke bad baalo ko acche se dho le. Iss prakriya ko hafte mai do bar kare. Do mahine mai iske parinaam dikhne ko mil jayenge.
Aloevera aur Louki Ka Ras
2 chammach aloe vera aur louki ko mixer mai nikal kar pees le. Iss paste ko halke hatho se baalo mai lagaye. Aur karib aadhe ghante baad baalo ko saaf pani se dho le.
Chai Patti
Ek pan mai thodi si chai patti dale. Aur usme kuch pani dalkar acche se ubaal le. Uble huye pani ko chhan le. Fir thanda hone par ise baalo mai laga le. Karib aadhe ghante baad sar ko saade pani se dho le.
You may also like:- Home Remedies for White Hair in Hindi: Safed Baal Kale Kare
Amla Ka Pack
Iska pack banane ke liye kacche amle ko mesh karke paste bana le. Ab iske andar badam tel ki 10 se 12 bunde aur 2 chammach nimbu ke ras ko dalakar paste ko acche se mila le. Iss bane huye paste ko baalo ki jado se lagana shuru kare aur baalo ko 30 minute bad dho le.
Amla aur badam mai kai poshak tatva hote hai, jo hamare sharir ke sath sath baalo ke liye bhi bahut faydemand hote hai. Yeh ek bemisal Hair Pack for Oily Hair hai.
Kela, Shahad aur Nimbu
Sabse pehle kele ko acche se mesh kar le, usme thoda sa shahad aur nimbu ka ras dale. Iss paste ko acche se mila le. Iss bane huye paste ko jado se lagate huye pure baalo mai laga le. Karib ek ghante bad aapke baalo ko saade pani se dho le. Aapke baal soft aur silky ho jayenge.
Methi Ka Pack
Methi mai kai gun hote hai. Methi ko baalo mai lagane se wo ise poshan dekar usme chamak lati hai. Methi ka pack banane ke liye methi ke dano ko raat mai bhigo kar rakh de. Jab yeh dane naram ho jaye to inko acche se pees kar paste bana le. Iss paste ki matra ka aadhe ke barabar dahi mil le. Aur aapke baalo par laga le. Jab ye acche se sukh jaye to baalo ko acche se dho lijiye.
Red Wine
Thode se nariyal tel ko katori mai lekar usme thodi si red wine mila kar paste taiyar kar le. Ise halke halke hatho se baalo ki jado mai lagaye aur 10 minute tak baalo mai laga rehne de. Ab mild shampoo se sar dho le.
Upar aapne jana Hair Pack in Hindi. Baalo ko accha aur khubsurat dikhane ke liye baalo ki dekhbhal karna bahut jauri hai. Diye gaye hai pack ka istemal karke aap apne baalo ko majbut, kala aur ghana bana sakte hai.