Hairstyle for Thin Hair in Hindi: Patle Baalo Ke Liye Khas
Lambe ghane sundar baal har mahila ki khubsurati ki pehchaan hai. Jitne baal khubsurat aur acche hote hai aap utne hi alag aur sundar dikhai dete hai. Har ladki kisi na kisi party ya shadi mai aksar jati hai aur ek hi hairstyle ko hamesha bananaye rakhna use sadharan sa dikha deta hai.
Baalo ki hamesha wali style se aap chahe kitna bhi tayir kyu na ho jaye aap bheed mai alag nahi dikhai deti hai. Isliye humesha naya aur stylish look pane ke liye har bar koi nayi hairstyle karte rehna chahiye taaki aapko aakrshit look mile.
Lekin kai ladkiyo ke baal lambe aur ghane nahi hone ke karan unhe apne patle baalo ke sath kuch alag karne ka samjh nahi aata hai. Lekin aisa jaruri nahi hai sirf lambe aur ghane baal hi aapki khubsurati badate hai.
Baalki aap patle baalo ke sath bhi nai nai hairstyle kar sakti hai aur khubsurat lag sakti hai. Tatha kuch style ke sath aap aapke patle baalo ko volume de sakti hai. Aaj hum aapko patle baalo ke liye aakarshak hairstyle ko batane ja rahe hai. To aaiye jane Hairstyle for Thin Hair in Hindi.
Hairstyle for Thin Hair in Hindi: Aakarshak Look Ke Liye
Layers Hairstyle
Agar aapke baal kaafi patle hai to layers hair cut aapke baalo ko volume dega aur isme aapke baal lambe bhi dikhai denge kyuki isme aapke baal kandho se niche tak jate hai. Iss hairstyle mai aap bahut hi khubsurat lagegi.
Slight Bangs
Kabhi kabhi bikhre huye baal bhi acche lagte hai. Parantu bhikhre huye baalo ka bhi ek style hona chaiye. Yadi aap slight bangs cut legi to aap isme thoda messy look payengi agar aapka chehra gol hai to yeh look aap par bahut jachega. Isme baalo ko aage ki taraf se kata jata hai aur baalo ko aakhon tak rakha jata hai. Iss hairstyle ko karne ke bad apne baalo ko khula rehne de.
You may also like:- Hairstyles for Long Hair in Hindi: Apne Baalo Ko De Naya Andaj
Front Bangs
Patle aur halke baalo mai baal kan ke yaha se kafi patle dikhai dete hai. Front bang hairstyle aapko naya look dene ke sath patle baalo ko volume dekar unhe bahut acche se chipa leta hai. Yeh look aapko change kar dega.
Blunt Hairstyle
Kuch baalo ko samne se lekar ek jaisa cut kar le aur baalo se mathe ko dhak jane de . Yeh bahut accha tarika hai choude mathe ko chupane ka. Baalo ko halka sa aankhon tak aane de. Aur piche ke baalo ko lamba aur sidha rehne de. Blunt Hairstyle ko aap jeans ya one-piece ke sath carry kar sakti hai.
Messy Waves Ke Sath Highlighting
Yadi aapke baal thode se faile huye hai aur unme waves hai to yeh style aapke patle baalo ko bahut acche se chupa leta hai. Sath hi inn baalo ko thoda highlight karne par ek naya look aapko dikhai dega.
Rakhe Ghungarale Baal
Ghunghrale baal aapke patle baalo ko ghana dikhane mai madad karte hai. Sath hi yeh style hamesha fashion mai bani rahti hai. Dhyan rakhe ki jab kabhi bhi baalo ko curl karwane ka soche jado se na karwaye kyuki isse baalo ki jado ko nuksaan hota hai.
Updo Hairstyle
Updo hairstyle sabse accha tarika patle baalo ko chipane ka. Iss hairstyle mai baalo ko tight, dhila ya fir faila hua kisi bhi style ka rakh sakte hai taaki aapke baal ghane dikhai de. Updo hairstyle mai baalo ko do hisse mai bant le aur unhe twist karke mod le kuch baalo ko aage se faila hua rehne de.
Layered Side Ported Bob
Patle baal dikhne mai kam aache dikhte hai lekin layered side ported bob hairstyle aapke naya look dene mai madad karega. Agar aapke baal chhote hai to yeh hairstyle apne baalo ko de sakti hai.
Short Feather Cut with Textured End
Pixie hair cut or bob hair cut ke bich wala yeh cut chhote baalo ke liye bahut hi accha hair cut hai. Yeh aapke patle baalo ko fall flat nahi hone deta hai. Sath hi baalo ko ghana banaye rakhta hai.
You may also like:- School Mai Inn Hairstyle ko Ajmaye aur Dikhiye Classy
Forward Angle Bob Cut Hairstyle
Yah hairstyle har kisi ke chehre par accha lagta hai. Forward angle bob cut wala hairstyle aapke baalo ko ghana dikhane ke sath patle baalo ko ek aacha look deta hai.
Bang Ke Sath Lambe Waves Hairstyle
Agar aapke baal bahut patle hai to yeh hairstyle aapko ek alag look dega. Baalo ko samne ki taraf se cut karke aankho tak aane de. Tatha piche ke baalo ko lamba aur waves dekar layers mai cut kar le.
Long Layers Haircut
Sabse pehle baalo ko bich mai se baat le. Ab baalo ko bangs style dete huye chin tak cut kare. Tatha baaki bache huye baal ko kandho tak cut karke unhe waves look de.
Interesting Braid Hairstyle
Yeh sabse acchi syle hai patle baalo ko chupane ke liye aur yeh patle baalo ke liye bahut karagar hai. Baalo ko piche se do bhago mai baat le aur ek ek lat leke ghuth le. Aur uske kai sare jode bana le aur usse hairpin lagakar fix kar de.
Upar aapne jana Hairstyle for Thin Hair in Hindi. Inn hairstyles ko apnakar aap patle baalo ke sath bhi khubsurat lag sakti hai.