Home Remedies for Boils: Gharelu Tariko se Paye Fode se Nijad

Foda ek prakar ka twacha mai hone wala sankraman hota hai jo ki sharir ke kisi bhi bhag mai ho sakta hai. Jab yeh chehre, hath aur gardan par ho jaye to log kahi aane jane mai bhi katrane lagte hai. Yaha tak ki iske  thik hone ke bad bhi yeh twacha mai daag chhod dete hai. Foda chota ho ya bada bahut hi takleefdey hota hai.

Shuruat mai yeh foda laal rang ka aur chota hota hai. Baad mai yeh sankraman fode ke aakar ko bada karta hai aur fode ka rang bhi safed ho jata hai. Jab fode ka rang safed ho jata hai to samajh lijiye ki isme peep bhar gayi hai. Iske baad yeh bahut takleefdeh ho jata hai.

Fode hone ke kai karan hote hai jaise sharir ke rakt ka dushit hona, gande pani ke istemal se aadi. Yeh dehydration ya fir kisi bhi tarah ke twacha ke infection ke karan bhi ho sakta hai. Fode ke ilaj ke liye kai prakar ki dawaiya moujud hai lekin kabhi kabhi inn dawaiyo ke side effects bhi pad sakte hai. Iske alava fode hone par inhe hath se dabakar nahi nikalna chahiye isse inke badhne aur twacha par daag chhodane ka khatra rehta ha.

Lekin aapko parshan hone ki jarurat nahi hai, gharelu tariko ke dwara bhi fode se nijad paya ja sakta hai iske liye yaha padhiye Home Remedies for Boils.

Home Remedies for Boils: Fode Ko Dur Karne Ke Aasan Tarike

Home Remedies for Boils

Twacha mai fode hone ka sabse bada karan staphylococcal namak bacteria hota hai. Yeh bacteria twacha mai kisi prakar ke katne par rom chhidra ke madhyam se twacha mai pravahit hota rehta hai. Iske alava jo vyakti kuposhan, madhumeh, immunity system mai pareshani ya fir kisi aur swasthya samasya se pareshan rehte hai unki twacha mai yeh foda jald hi jagah le leta hai.

Inn fodo ko dur karne ke liye aaiye pade home remedy for Boils

Karela

Fode se nijad pane ke liye karela sabse accha home remedy hai. Iske istemal ke liye subah khali pet nimbu ke ras ke sath karele ke juice ya ras ka sevan kare. Iska sevan karne se fode ke sath-sath twacha sambandhi anya samasyaye jaise madhumeh, bavasir (hemorrhoids), khansi ya fir kisi bhi prakar ka twacha sankraman ko thik karne mai faydemand hota hai.

Karele mai kai prakar ke vitamins jaise Vitamin B1, B2, A aur iron ki acchi matra hoti hai jo ki immunity system ko badhane aur sharir ko hone wale kai prakar ke twacha sankraman se bhi rahat dilane mai madad karta hai.

Epsom Salt (Namak) Ke Istemaal Se

Epsom namak ke pani se nahane se bhi fode ko thik kiya ja sakta hai. Isse sharir ki twacha mai mojud sabhi mrit twacha hat jati hai aur sharir ki nayi koshikao ke vikas ko bhi badhava milta hai. Fode hone par chikitsak bhi Epsom salt ke pani se nahane ki salah dete hai. Iss pani se nahane ke aur bhi kai fayde hote hai jaise twacha ki sujan kam hona, dard mai aaram milna, baalo ko accha banana aur sharir se badbu dur karna aadi.

Neem Ke Patte

Fode se nijad pane ke liye neems sabse accha antiseptic hota hai. Isme mojud antibacterial aur anti-microbial gun fode ke upchar ke liye bahut faydemand hota hai. Iske alava kai kisi bhi prakar ke twacha sankraman ke ilaj ke liye bhi iska upyog kiya jata hai.

Iske istemal ke liye neem ki pattiyo ko piskar use ghav mai laga le ya fir patiiyo ko ubalkar aur uska paste banakar bhi ghav mai lagaya ja sakta hai. Neem ki patti ko ghav mai lagane ke kuch der bad thande pani se twacha ko dho le. Iske alava twacha ko dhone ke bad usme arandi ka tel bhi lagaya ja sakta hai isse twacha ko jald hi aaram milta hai.

You May Also Like:- Face Makeup Tips in Hindi: Chehre Ki Sundarta Badhaye

 

Haldi Ka Prayog Kare

Haldi ek accha natural remedy for boils hai. Haldi ka prayog fode ko thik karne ke sath-sath kai prkar ke swasth sambandhi pareshaniyo ko thik karne mai kiya jata hai.

Haldi mai mojud antiseptic gun twacha sambandhi samasyao ke ilaj aur twacha ki nayi koshikao ke nirman mai madad karta hai. Iske alava yeh khun ko saaf karne aur twacha ko healthy, sundar aur chamakdar banane mai bhi madad karte hai. Ise kai prakar se istemal kiya jata hai. Jaise

Haldi ko seedhe fode par lagakar, haldi ke sath adrak ke paste ko milakar lagakar ya fir haldi ko dudh ke sath milakar pine se foda funsi mai jaldi aaram milta hai.

Pyaj Bhi Hai Faydemand

Pyaj bhi fode ke upchar ke liye acchi home remedy hai. Pyaj mai mojud anti septic gun fode ke sthan mai garmi paida kar dete hai jisse foda jald hi thik ho jata hai. Iske istemal ke liye pyaj ke tukde ko fode ke upar laga le aur fir ise kapde se bandhkar rakh de isse fode ke sthan mai garmi paida hogi jo ki fode ko thik hone mai madad karega.

Tea Tree Oil Ka Prayog Kare

Tea tree oil ka prayog bhi fode ko thik karne mai kiya jata hai. Isme mojud antibacterial aur antiseptic gun fode ko jald hi thik kar dete hai aur bhavishya mai kabhi bhi foda hone ki shikayat bhi dur ho jati hai. Iske istemal ke liye tel ko rui ki sahayta se fode par lagaye. Aap chahe to ise din mai 5 se 6 bar bhi laga sakte hai.

Home Remedies for Boils: Fode Thik Karne Ke Anya Upay

  1. Neem ki pattiyo ko ubalkar pees le ab isme haldi powder ko milaye aur fode par laga le.
  2. Kale beej ka prayog bhi faydemand hota hai. Ise lagane ke liye kale beej ko piskar paste bana le aur fode par lagaye.
  3. Ande ko ubal kar usme se safed bhag ko alag kar de aur fir bache bhag ko masal le. Ab ise fode par lagaye aapko jald hi aaram milega.
  4. Fode ko thik karne ke liye bread ke tukade ko dudh ya fir pani mai bhigo de fir ise fode par lagaye. Aesa karne se fode ke dard mai rahat milegi aur foda jald hi thik ho jayega.

Upar aapne jana Home Remedies for Boils. Yadi aap bhi fode ki samasya se pareshan hai to diye gaye gharelu tariko ko apnaye aur fode se paye chutkara.

Loading...

You may also like...