Home Remedies for Cold Sores: Fever Blister Se Nijad Paye

Cold sores ek sankramak rog hai. Ise fever blister bhi kaha jata hai. Yeh ek pidadayak bimari hai jisme hontho par ya naak ke thode niche fafola ho jata hai. Yeh samasya HSV, Herpes simplex virus ke karan hoti hai aur ise thik hone mai kam se kam 7-14 din lagte hai.

Yeh ek sansargik bimari hai jo khaste ya chikte wakt anya logo mai bhi failti hai. Vaise to iske ghav ek hafte ke andar thik ho jata hai. Par yeh bar bar ho jate hai. Aur yadi iska upchar na kiya jaye to yeh aapke chehre par hamesha ke liye daag chod deti hai.

Iss bimari ke hone par sankramit jagah par dard to hota hi hai aur sath hi hamare chehre ka look bhi kharab hota hai. Hame sab ke bich uthne baithne mai asahaj mehsus hota hai. Agar aapko bhi yeh pareshani hai to pareshan hone ki jarurat nahi hai. Gharelu upayo dwara ise thik kiya ja sakta hai.Yaha ham aapko Home Remedies for Cold Sores bata rahe hai, jiski madad se aap aasani se iss pareshani se chutkara paa sakte hai.
 

Home Remedies for Cold Sores- Fever Blister Ke Liye Gharelu Upay

 
Home Remedies for Cold Sores
 

Vanilla Extract

Vanilla Extract ek prakratik Cold Sore Home Remedies mai se ek hai. Yeh cold sore ke virus ko badhne se bhi rokta hai aur ise khatam kar deta hai. Iske liye rui ka ek tukda le fir ise acche se vanilla extract mai dale, jab tak yeh acche se liquid ko absorb naa karle. Fir iss cotton pad ko directly apne hontho ke upar lagaye. Iss upay ko coldsore ke thik ho jane tak din mai 3-4 bar prayog kare. Ho sakta hai ise lagane ke baad aapko grasit hisse par thodi si jhunjunahat mehsus ho.

Dudh Bhi Faydemand

Dudh se cold sore ki sikai karne par cold sore ke thik hone ki gati badh jati hai aur isse hone wale dard se chutkara milta hai. Dudh mai immunoglobulins naam ke protein aur aese antibiotics gun mojud hote hai jo herps virus se ladne mai madad karte hai. Dudh mai L-lysine namak tatva bhi mojud hota hai jo healing process ko majbut banane ka kaam karta hai. Isliye andruni taraf se cold sores ko thik karne ke liye dudh pina jaruri hai jisse ki aapko L-lysine ka dose mil jaye. Isse aapke dard ko thik hone mai bhi madad milegi aur aapka sharir iske virus se bhi lad payega.

Labhkari Aloevera

Aloevera mai kai gun hote hai. Yeh naa keval aapki twacha ki sundarta badhata hai balki yeh Treatment for Fever Blister mai bhi istemal kiya jata hai. Sore se jaldi nijad pane ke liye aloevera ka fresh jel nikal kar lagaye. Isse sore se hone wali irritation aur dard se to rahat milti hi hai, sath hi yeh jaldi thik bhi ho jata hai.
 

You May Also Like: Home Remedies for Ringworm- Daad ki Samasya se Duri Paye

 

Vitamins Ka Sevan

Vitamin hamare sharir ke liye behad jaruri hote hai. Jaise ki Vitamin C ka sevan karne se hamare sharir mai white blood cells ki sankhya badhti hai. Jab bhi hamare sharir mai koi infection aata hai to yeh blood cells usse ladne ka kaam karte hai aur hamare sharir ka khayal rakhte hai. Yeh herpes virus se hone wale infection se bhi ladte hai.

Iske alawa Vitamin E se cold sore se hone wale dard se nijad milti hai. Vitamins ka fayda pane ka sabse accha tarika hai ki uska sevan kiya jaye. Vitamin c ki purti ke liye santre, tamatar aur Vitamin E ke liye palak aur badam ka sevan kiya ja sakta hai.

Anya Gharelu Nuskhe Inhe Bhi Jane

  1. Kya aap jante hai ki Herpes Simplex Virus garmi mai jyada panapta hai. Isliye aapko jab bhi cold sore ki samasya ho tab grasit jagah par barf se sikai kare. Burf ke jariye aap is jahah ko thanda rakh sakte hai taki virus ko badne ka mouka naa mile. Burf lagane se cold sore bada nahi ho pata hai. Isliye iss samasya se pareshan log barf ka istemaal kare.
  2. Aapne hamesha namak ka upyog keval khane ka swad badhane ke liye kiya hoga. Lekin kya aap yeh baat jante hai ki namak ek behtarin Home Remedy for Cold Sores hai. Iske liye hatho ki ungaliyo mai sada namak le. Fir ise apne cold sore par 1 minute tak lagakar rakhe taki namak andar jaye. Iss upay ko karne se aapko cold sores se nijad milega.
  3. Cold Sores ko thik karne ke liye tea bag bhi ek ramban aushdhi hai. Iska labh uthane ke liye tea bags ko thodi der garam pani mai dale, fir nikalkar thanda hone ke liye rakh de. Thanda hone ke baad iss gile bag ko sankraman wale sthan par 15 minute ke liye lagakar rakhe. Jyada labh pane ke liye iss prakriya ko har do ghante mai doharae. Lekin iss bat ka khayal rahe ki taze tea bag ka hi istemal kiya jaye.

Aaj aapne jana Home Remedies for Cold Sores. Isliye jab bhi aapko iski samasya ho to upar diye gaye gharelu nushko ko try jarur kijiyega.
 

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

 

Loading...

You may also like...