Home Remedies for Dry Throat: Sukhe Gale ke Liye Upchar
Barish ke dino mai aksar gala sukhne ki samasya hoti jati hai. Gale ka sukhna, ek prakar ki chikitsakiya samasya hai, jisme kharash, khichkich hoti hai aur mann karta hai ki andar khujali kar li jaye.
Yaha tak ki jibh ke nichle hisse mai bhi sarsarahat hoti hai. Aise samay par bhojan ka swad nahi aata hai. Aaiye iss samsaya ko dur karne ke liye jane Home Remedies for Dry Throat ke bare mai puri jaankari.
Yeh samasya sabhi ko kabhi na kabhi hoti hai, lekin itni samasya ke liye har baar doctor ke paas jakar dawai lene ki jarurat nahi hoti hai. Dadi Maa ke nuskhe aisi dikkato mai achuk sabit hote hai.
Aur agar haa, aapko khoon aa rha ho ya kisi anya prakar ki gambhir samasya ho to aap doctor ke paas jarur jaye, taki wo aapko iss samasya ka sahi aur aasan upchar denge.
Home Remedies for Dry Throat: Sukhe Gale ko Thik Karne ke Behatrin Upchar
Aaiye jante hai dry Throat ke aasan gharelu upchar, jiski madad se aap apni iss pareshani ko dur kar sakte hai:
-
Shahad:
Jab gale mai khichkich ho, to shahad ka seva kare. Ek spoon shahad pine se iss samasya se kafi had tak aaram milta hai. Shahad ke baad thoda sa pani ka sevan kar le. Cough ki samasya hone par bhi isse aaram milta hai. Aap chahe to nimbu aur shahad milakar bhi pii sakte hai.
-
Candy:
Gale mai kharash hone par aap candy ka bhi sevan kar sakte hai. Market mai khichkhich dur karne ke liye kai prakar ki candy aati hai. Yeh aapko kafi rahat deti hai aur gale ki sujan ko bhi kam kar deti hai. Lekin din mai sirf 5 candy ja hi sevan kiya ja sakta hai.
You may also like:- Throat Pain Home Remedies: Gale me Dard ke Gharelu Nuskhe
-
Herbal Tea Piye:
Gale mai kafi kharash hone par aapko herbal tea kafi rahat dila sakti hai. Isse gale ki saari samasya dur ho jayegi aur iska koi side effect bhi nahi hoga. Garm pani mai bani herbal tea ka sevan din mai 2 se 3 baar karne par ek din mai kafi rahat miltegi.
-
Sugar Eliksir:
Yeh ek prakar ka drink hota hai. Yeh muh ka swad badal deta hai aur gale ka taravat deta hai jisse kharash dur ho jati hai. Aap chahe to iski jagah nimbu pani ya santre ka juice bhi le sakte hai. Wese kafi matra mai pani pina bhi aapko sahi kar sakta hai.
-
Soup Piye:
Garma-garam soup pine se gale ko taravat milti hai. Gale mai kharash dikhata hai ki aapka sharir dehydrate hai aur aapko liquid ki jarurat hai. Soup piye, isse gale mai gungunapan aayega. Saath hi pani ki jyada matra se sharir hydrate ho jayega.
Upar aapne jane Home Remedies for Dry Throat ke bare mai jaruri jaankari. Agar aap bhi aisi koi samasya se grasit hai to apnaiye yeh gharelu upchar aur rahiye swasth.
Panic Attack se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Home Remedies.