Home Remedies for Neck Pain: Gardan ke Dard se Rahat Paye

Gardan mai dard hona aajkal ek aam samasya ho gayi hai. Iske piche ke kai karan hai jaise galat posture, desk par ghanto tak kaam karna, galat tarike se sona, ya fir vyayam karte wakt gardan mai marod aa jana.

Vaise to gardan mai dard hona ek aam samasya hai lekin kai bar yeh kaafi pareshan kar deti hai. Iske karan kai bar log bimar bhi padh jate hai. Gardan mai dard hone par naa keval hame kam karne mai mushkil hoti hai balki iski wajah se gardan ke aaspas ki muscles mai bhi dard hone lagta hai.

Kai bar nutrients ki kami ke chalte bhi gardan dard ki samasya dekhne ko milti hai. Lekin jab prakrati ne hame itni sari chizo ke upchar khud diye hai to aakhir dard ko sahan kyu karna. Isliye aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai Home Remedies for Neck Pain.
 

Home Remedies for Neck Pain: Dard Dur Karne Ka Gharelu Upay

 
Home Remedies for Neck Pain
 
Yadi aapke gardan mai dard 7 dino se jyada din bane rehta hai to bina der kiye chikitsak se sampark karna chahiye. Ho sakta hai ki yeh kisi samasya ka sanket ho.
 

Burf Ke Tukdo Se Sek

Gharelu upchar ka naam sunte hi yadi aapko yeh lag raha hai ki aapko kuch kadwa khana peena hai to chinta mat kijiye. Keval ice pack ki madad se bhi aap apni gardan ka dard dur kar sakte hai. Neck Pain Relief ke liye prayog ka tarika dekhe.

  • Kuch burf ke tukdo ko ek plastic ke bag mai le.
  • Ab plastic ke bag ko ek patle kapde mai lapet le.
  • Ab iss towel ki madad se apne gardan par sek kare.
  • Lekin 15 minute se jyada der sek na kare.
  • Aap 3 ghante baad wapis sek kar sakte hai.
  • Ek baat ka khayal rakhe ki burf ke tukdo se direct sek na kare.
  • Burf ke sek se thanda tapman milta hai jisse ki gardan ki sujan kam hoti hai aur dard dur hota hai.

 

Lavender Oil

Lavender ka tel bhi gardan ke dard se rahat dilane mai madad karta hai. Iska istemal massage therapy mai bhi kiya jata hai. Yeh tel mashpesiyo ke tanav ko dur kar ise aaram pahuchata hai. Isse malish karne par aapko acchi nind bhi aati hai.

  • Apne gardan ki mashpesiyo ko relax karne ke liye garam pani se nahaye.
  • Thoda sa lavender ka tel apni gardan aur kandho par massage kare.
  • Prabhavit kshetra par 10 minute tak golakar disha mai hath ghumate huye malish kare.
  • Aap roj bhi iss tel se malish kar sakte hai.

 

Yog Ka Abhyas

Jo log niyamit yog ka abhyas karte hai unhe gardan ke dard ki samasya kam hoti hai. Kyoki yog sharirik aur mansik tanav dono ko dur karta hai.

  • Balasana
  • Natarajasana
  • Viparita karani Asana
  • Savasana, aadi asana aapke liye faydemand hai.

 

Epsom Salt Bath

Pichle lekh mai hi hamne aapko bataya tha ki yadi aapko hatho mai dard ho to Epsom salt ko pani mai dubokar hatho ki sikai karni chahiye. Usi prakar gardan ke dard ke liye bhi yeh faydemand hai.

  • Sendha namak mashpeshiyo se tanav dur karta hai aur unhe aaram pahuchata hai.
  • Ek tub mai garam pani aur 2 cup sendha namak ke dale.
  • Apne body ko namak ke pani ke andar rakhe, khaskar gardan ko.
  • 15-20 minute ke liye aap iss bath ko le.
  • Jab tak aapka gardan ka dard thik nahi ho jata aap ise roj kar sakte hai.
  • Yadi aapko uccha raktchaap, madhumeh ya dil se judi koi samasya ho to aap ise na kare.

 

Anya Tips inhe Bhi Janiye:-

  1. Sone ke liye acche takiye ka istemal kare. Neck Muscle Pain ke liye galat takiya bhi jimmedar hai.
  2. 1 hi stithi mai jyada der na baithe rahe, bar bar apni position change kare.
  3. Rojana gardan ka vyayam kare.
  4. Gardan dard hone par sidhe let jane par bhi kai bar aaram milta hai.
  5. Gardan ke dukhne par yadi ek cup coffee ya adrak ki chai pee li jaye to gardan ka dard badhta nahi hai.
  6. Garm tel mai lehsun milakar usse malish karne par bhi dard se rahat milti hai.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Neck Pain in Hindi. Yadi aab bhi gardan mai hone wale dard se pareshan rehte hai to upar diye gaye upayo ko try jarur kijiye.

Loading...

You may also like...