Home Remedies for Sore Throat: Janiye Easy Gharelu Nuskhe

Sardiyo me Gale ki Kharash ho jana ek aam baat hai. Gale ki Kharash hone par kafi taklif bhi hoti hai, isme na to kuch khane ka man karta hai aur na hi kuch pine ka. Gale ki Kharash bukhar hone ka bhi lakshan hota hai. Janiye isse bachne ke aasan gharelu nuskhe.

Jab bhi aap bahar nikle to humesha gale me muffler baandh kar rakhe aur kaano ko cover kar ke chale. Gale me hone wali kharash anya bimariyo ki tarah lambe samay tak nahi rehti lekin kuch hi dino me yeh aapko puri tarah se prabhavit kar bimar kar deti  hai.

Sore Throat mool roop se tab hoti hai jab gale ki najuk andruni parat virus/bacteria se infected hoti hai, jiske result swelling, secretion cough, aur sharir ke samanya transition ke prabhav ke lakshan hote hai. Iss doran rukha bhojan, supari, khatai, inn chizo se parhej kare. Aaiye hum jane hai behtar Home Remedies for Sore Throat aur rahiye tension free.

You may also like: Throat Pain Home Remedies: Gale me Dard ke Gharelu Nuskhe

Home Remedies for Sore Throat: Gale ki Kharash ke Aasan Ilaaj

  • Har 2 ghante me garm paani me namak dalkar garara kare kyuki garm paani aur namak antiseptic hone ke naate transition ko kam karne me madad karta hai.
  • Bhojan ke baad chutki bhar kaali mirch ko ek chamach ghee me milakar khane se baitha hua gala aur ruki hui aawaz saaf ho jati hai.
  • 1 cup paani me 4-5 kaali mirch aur tulsi ki 5 pattiya ko ubalkar kadha bana le aur isse dhire-dhire chuski lekar piye.

Home Remedies for Sore Throat

  • Pyas lagne par kewal gunguna paani hi piye.
  • Kaali mirch ko 2 badam ke saath piskar sevan karne se gale ke rog dur ho sakte hai.
  • Adrak ki chai bhi gale ki kharash me bahut laabhdayak hai.
  • Milk me thodi si haldi dalkar isse ubaal le aur bistar par jaane se pehle isse piye.

Aaj aapne jaane kese aap apne gale ki kharash se bach sakte hai wo bhi aasan gharelu nuskhe se. To apnaiye humare ye Home Remedies for Sore Throat aur rahiye Swastha.

Get more details about Sore Throat from Home Remedies.

Loading...

You may also like...