Home Remedies for Nose Bleeding: Naak Se Khun Rokne ke liye

Hamare sharir mai naak ka ahem sthan hota hai. Naak ke dwara ham saans le pate hai aur hamara jivan chakra aage badhta hai. Isliye isme kisi bhi prakar ki samasya hone par savdhani bartana jaruri hai.

Kabhi-kabhi kuch logo ki naak se khun aane lagta hai. Yeh ek aam samasya hai aur yeh samasya aksar garmiyo ke dino mai hoti hai. Aamtour par naak se khun behne ki samasya baccho jyada dekhi jati hai. Naak se khun behne ki samasya ko nakseer ke naam se bhi jana jata hai.

Darahsal hamari naak mai bahut si choti-choti rakt vahikayen hoti hai. Inn rakt vahikao ke phat jane ko hi nakseer kaha jata hai. Iske alawa naak se khun behne ke aur bhi kai karan hote hai jaise mousam mai nami ka na hona(tej garmi hona), sardi-jhukam hona aadi. Kuch logo ko to adhik garm padarth ka sevan karne se bhi yeh samsya ho jati hai.

Agar aapko bhi isi tarah ki pareshaniya hoti hai to ham aapko batana chahte hai ki gharelu upcharo ko apnakar, naak se khun behne ki samasya ko khatam kiya ja sakta hai. To yaha padhiye Home Remedies for Nose Bleeding.

Home Remedies for Nose Bleeding: Jane Iske Karan aur Gharelu Upchar

Home Remedy for Nose Bleeding

Naak ke andar ka bhaag bahut hi najuk hota hai. Isse khun behne ke kai karan hote hai. To aaiye jante hai Causes of Nose Bleeding.

  1. Naak Se Khun Behne Ke Karan
  2. Naak ya sar mai chot lagna
  3. Adhik uchai par jana
  4. Naak ke andar kuch ghus jana
  5. Naak ki haddi mai chot lagna
  6. Bahaut adhik karya karna

Kabhi kabhi masik dharm khatam hone ke baad masikstrav ke sthan par naak se khun aane lagta hai.

Nose Bleeding Symptoms:-Naak se khun aana, Naak se hokar gale mai khun aana khun mila hua balgum aana ya naak band hona aadi iske lakshan hote hai.

Gharelu upcharo ke dwara nakseer ki samasya se nijad paya ja sakta hai iske liye aaiye jane Home Remedies for Nose Bleeding.

Anar Ke Ful Ka Prayog Kare

Anar ke fulo ka prayog naak se khun ko band karne ke liye kiya jata hai. Iska prayog karne ke liye sabse pehle anaar ke fulo ko dhup mai acchi tarah sukhakar pees le. Fir isme harad ke churn, lakka ke fulo ka churn aur kapas ke ped ki gaad ke sath mila le. Fir iss mishran ka shahad ya fir dudh ke sath sevan kare.

Aamla Bhi Hai Faydemand

Naak se khun band karne ke liye 20 gram aamle ko lekar raat bhar bhigne ke liye rakh de. Subah aamle ka pani nikal kar ise acchi tarah piskar paste taiyar kare. Fir maathe se lekar naak ke upar tak acchi tarah se lape kar le. Aesa karne se jald hi naak se khun aana band ho jata hai.

Pyaj Ka Prayog Kare

Naak se khun band karne ke liye pyaj sabse acchi home remedy hai. Pyaj mai bharpur matra mai Sulfur paya jata hai aur yeh anti-bacterial guno se bharpur hota hai. Naak se khun ko band karne ke liye pyaj ko katkar use sunghte rahiye. Aesa karne se aapko jald hi aaram mil jayega.

You May Also Like: Home Remedies for Mole Removal: Til Hatane ke Gharelu Upay

 

Barf(Ice)

Barf, naak se sujan dur karne, khun ko behne se rokne aur rakt vahikao ke nirman ke liye bahut hi accha hota hai. Iska prayog karne ke liye ek suti kapde mai barf ke tuko ko todkar rakh lijiye. Fir isse apni naak ke upar aur charo taraf acchi tarah se sikai kijiye. Aesa karne se dhire-dhire naak se khun behna band hone lagta hai.

Uchit Bhojan Ko apnaye

Naak se behte khun ko rokne ke liye apne aahar mai zinc se bharpur bhojan jaise gehu(wheat) ki bread, popcorn aur chaval(rice) ko shamil karna chahiye. Zinc ek aesa poshak tatv hota hai jo ki sharir ki sabhi rakt vahikao ko banaye rakhne mai madad karta hai.

Home Remedy for Nose Bleeding: Inn Gharelu Upayo Ko Bhi Apnaye

  1. Naak se khun band karne ke liye 2 gram kele ke patte, 20 gram shakkar aur 250 gram pani ko milakar paste banaye aur rojana ek chammach iska sevan kare.
  2. Neem ki patti ke ras ko naak mai dalne se jald hi naak se khun aana band ho jata hai.
  3. Kali mitti mai pani chidakkar khushbu lene se bhi naak se khun aana band ho jata hai.
  4. Nimbu bhi ek prabhavshali Home Remedy for Nose Bleeding mai se ek hai. Iske 2 bund ras ko naak mai dalne se naak se khun aana hamesha ke liye band ho jata hai.
  5. Naak se khun behne ka mukhya karan hota hai sharir mai pani ki kami hona. Isliye sukhe dino mai yeh samasya aksar dekhne ko milti hai. Isliye bahut pani peena chahiye jisse sharir mai pani ki kami na ho paye.
  6. Santara vitamin C ka bahut accha strot hota hai aur isme sharir mai name thandak banaye rakhne ka gun hota hai. Isliye santre ka prayog naak se khun band karne ke liye karna chahiye.
  7. Iske alava dhaniye ke patte ke ras ko naak mai dalne se bhi khun aana band ho jata hai. Iske sath hi papal ke patto ke ras ki bhi 4 se 5 bunde naak mai dalne se turant aaram mil jata hai.

Aaj aapne jana Home Remedies for Nose Bleeding. Yadi aap bhi apni naak se lagatar behte khun se pareshan hai to upar diye gaye gharelu upayo ki madad le sakte hai.

Loading...

You may also like...