Horse Gram Benefits, Kulthi ke Swasth Varadhak Laabh
Ayurveda ke anusaar kulthi gram tasir aur halke theekhe swaad wali hoti hai. Yeh pachne mai aasan, sharir mai pitt aur rakt badati hai.
Ayurveda mai yeh dal manav sharir ke liye faydemand mani jati hai. Yeh kai tarah ki swasth samasya ke ilaj mai istemaal hoti hai. To chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Horse Gram Benefits.
Kulthi ko South India mai kafi jyada khai jane wali pulses hai. South India mai iske ankurit dane tatha iske pakvaan banaye jate hai. Expert ke anusaar isme anekho swasth laabh hote hai. Iske dano mai kafhi sara protein, vitamin, calcium aur iron paya jata hai.
Ayurveda ke ansaar yeh ek bahut acchi aushadhi mani jati hai, jiska use bahut si dawa banana mai hota hai. Iska use se kai bimari bahut jaldi aur jad se khatam ho jati hai. Lekin logo ko iske faydo ke baare mai sahi jankari nahi hoti hai.
Lekin agar aapko bhi iske baare mai sahi jankari nahi to koi baat nahi iss laikh mai aap kulthi se jude sare mahatvapurna tathayo ki jankari aasani se pa sakte hai.
Regional Name of Horse Gram (Kulthi)
Ise hindi mai kulthi, Bengali mai kulthikalai, Tamil mai kollu, Telgu mai ulavalu aur guggillu, Kannada mai hurule, oriya mai kolatha, Gujarat mai kadthi ni dal kaha jata hai.
Padiye Horse Gram (Kulthi) ki Nutritional Facts
Kulthi mai Energy- 321 Ecals, Moisture- 12 gm, Protein- 22 gm, Fat- 0 gm, Mineral- 3 gm, Fiber- 5 gm, Carbohydrates- 57 gm, Calcium- 287 mg, Phosphorous 311 mg, Iron- 7 mg paya jata hai.
Horse Gram Benefits, Kulthi ke Bemisaal Fayde Aapke Swasth ke Liye
Masik Dharm Mai Gadbadi
Jin mahilao ko masik dharm ke douran jyada bleeding hoti hai ya fir aniyamit mahavari hoti hai unke liye iska sevan bahut laabhkari hota hai. Isme moujud iron sharir mai hemoglobin badata hai.
Diabetes Control Karta Hai
Iske niyamit sevan se aapka bada huya gulocose level samanya ho jata hai. To yadi aapko diabetes se sambandhit koi bhi pareshani hai to aaj se hi iska sevan shuru kar de aur madhumeh ki bimari se bachiye.
Pet ki Samasya Dur Kare
Pet mai kide hone, kisi prakaar ka infection ya fir pet se sambandhit kisi bhi tarah ki pareshani ko khatam karne ke liye yeh ek bahut accha upay hai. Jinn logo ko acidity se bahut adhik pareshani hoti hai, unke liye to kulthi ek bemisaal upay hai.
Sperm Count Badaye
Horse Gram Benefits ki baat kare to yeh iska bahut bada fayda hai. Iske niyamit sevan karne se sperm count mai vradhhi hoti hai. Kulthi mai calcium, phosphorus, iron and amino acid hota hai, jo ki sperm badne mai bahut madadgar hota hai. Iss liye jinn vyakti ko sex sambhandhit koi bhi pareshani ho unko iska sevan jarur karna chahiye, jisse ki vo log apni sex life aaram se jee sake.
You may also like:- Increase Sperm Count: Shukranu Badane ke Gharelu Nuskhe
Motapa Kam Kare
Horse Gram sharir ki charbi ko ghatata hai. Hamare sharir mai moujud aise hanikarak tatva jo ki hamare weight ko badane ka karan hote hai. Yeh unhe bhi kam karta hai. Isliye jo vyakti vajan kam karna chahte hai, unhe iska sevan niyamit aur rozana karna chahiye. Jisse unko jaldi hi accha result milenge.
Horse Gram Benefits, Kulthi Mai Chupe Hai Swasth Sehat Ka Raaz
Bukhar aur Sardi Jukham
Kulthi asthma, bukhar, sardi jukham ya sharir ki jakdan se nijaat dilvaati hai. Aksar logo ko sardi khansi ho jati hai, jo aasani se nahi jati ya ek baar hone ke baad bar-bar hoti hai. Iss sab pareshani se bachne ke liye aap thodi si kulthi ko pani mai ubal le. Fir iska sevan kare isse aapko bukhar par kabu pane mai bahut madada milengi.
Constipation se Rahat
Isme moujud der sara fiber kabj se aaram dilvata hai. Agar aapko bar-bar constipation ho raha hai. To aap iska sevan rozana kare, Isse aapko adbhut laabh milenge aur pet mai bhi rahat milengi.
Kidney Stone se Chutkara
Kulthi se kidney stone theek ho jata hai. iske sevan se pathri chhote chhote tukdo mai tut jati hai aur saath hi peshab ke dwara sharir se bahar nikal jati hai. To jin logo ko stone ki problem ho unhe isko apne aahar mai jarur shamil karna chahiye.
Janiye Kulthi ke Prayog ki Aasan Vidhi
Kulthi ko raat bhar pani mai bhigo kar rakh de. Subah ise saaf pani se dho kar kukar mai pakaa le. Jisse iski sabji ya soop aasani se bana sake. Fir apni suvidha ke anusaar iska prayog sabji ya sup ke roop mai kijiye. Agar aap isko sprout ke roop mai khayenge to iski poshan kshamta jyada bad jayegi.
Kulthi ke Khane mai Barte Yeh Savdhaniya
Pregnant mahila ko iska sevan nahi karna chahiye. Saath hi jo log weight badana chahte ya jo log TB ke marij hai unhe bhi iska sevan nahi karna chahiye.
Dekhiye Iss Video
Upar apne jane, Horse Gram Benefits. To bas der kis baat aaj se iss kulthi ka use karke swasth sehat paiye.
Horse Gram se sambhandhit jankari ke liye yaha jaye Food.