Milk Benefits Jo De Aapko Sundar Twacha Aur Baal Ek-Saath

Dudh (Milk) ek esa drink hai, jo proteins aur calcium se bharpur hota hai. Sirf itna hi nahi dudh me mojud kai nutrients humari sehat ke liye bahut labhprad hote hai. Is drink ko hum kai tariko se apane diet plan me shamil kar sakte hai.

Milk Benefits sirf aapki sehat ke liye hi nahi balki aapki sundarta badhane ke liye bhi aap aajma sakte hai. Aaj is article me hum aapko milk se aapki skin aur hair ko hone wale faydo ke bare me discuss karenge.

Milk Benefits

Dudh – Aapki Twacha Ke Nikhar Ke Liye

Purane samay se striya dudh ka upyog apani twacha aur balo me chamak lane ke liye karti aa rahi hai. Ye bahut kum samay me daag dhabbo ko hatane ke sath sath nourish bhi karta hai. Janiye kuch basic fayde:

You may also like:- Effective Tips to Use Curry Leaves for Hair Growth

Dry Skin (Rukhi Twacha)
Agar aapki twacha rukhi aur bejan he to roz subah ya sham apani skin par sade dudh se massage kare. 30 minutes tak ise laga rehane de aur fir pani se twacha ko dho le. Ye aapki skin ko soft banakar usme nayi chamak dega.
Aap chahe to dudh me thoda sa honey (shahad) bhi mila sakti he, kyuki ye dono milkar ek bahut accha moisturizer banate hai.

Oily Skin (Tailiya Twacha)
Agar aapki twacha tailiya hai, to bhi aap us par milk laga sakte hai. Jinki twacha oily hoti hai, unhe pimples ki bhi bahut pareshani hoti hai aur kai bar pimples ke daag reh jate hao jo bahut pareshan karte hai.

Agar aapke sath bhi yahi samsya hai to aapko itna dhyan rakhena hai ki sada dudh lagane ki bajaya usme kuch bunde nimboo (lemon) ki mila le. Aur ise apani twacha pe halke se massage kare. Din me ek bar isko apanane se aap dekhege ke aapki twacha ke daag dhabbe kum ho gaye ho aur pimples aana bhi band ho gaye hai.

Dudh:- Jo De Aapke Baalo Ko Mazbuti

Hair (Baal)
Aapke baal chahe jese bhi ho lekin alag alag styling aur chemicals ka istemal karne se unki chamak kho jati hai aur wo bejan ho jate hai. Eseme dudh ko apane baalo pe lagane se aapke baalo me firse nayi jaan aa jayegi.

Nahane se pehale ek cup dudh le aur ise acche se apane baalo me lagaye, 20 minutes wait kare aur fir baalo me shampoo kar le. Ise week me ek bar kare, dhire-dhire aapke baal wapas shiny ho jayege.

Milk Benefits:Dudh Deta Hai Beautiful Skin Aur Healthy Hair

Twacha aur baalo ko hone wale ye Milk Benefits aapko pasand aaye ho to inhe zarur try kare jinse aur aap khud hi fark dekhe.

Get more details about Milk Benefits from Beauty.

Loading...

You may also like...