Purusho ke Naak ke Baal Katne ke Tarike

Purusho ke liye Nose Hair sabse badi samasya hoti hai, kyuki unke baalo ki tarah naak ke baal bhi jyada badhte hai aisa unke biological function ke karan hota hai.

Naak ke baal hone se naak ke raste se dhul aur anya gandagi sidhe faifde tak nahi pahuch pati hai. Lekin jab yeh baal naak se bahar nikalne lagte hai to yeh bahut gande lagte hai.

Par inn baalo ko katna thoda mushkil kaam hota hai. Aise mai hum iss article mai naak je baal katne ke kuch tariko ke bare mai batayege. Inn tariko ko apnane se aapko dikkat nahi hogi aur savdhanipurvak aap inh kaat bhi lege.

You may also like:- Skin Care Tips for Men: Purusho ki Twacha ki Dekhbhal

Ab Naak Mai Dam Nahi Karege Purusho ke Naak ke Baal

Nose Hair

1) Trimmer:-

Bazar mai kai prakar le trimmer uplabdh hai. Aise mai naak ke baalo ko katne wale battry free trimmer bhi aate hai. Isse aap aasani se baalo ko trim kar sakte hai.

2) Kaichi:-

Naak ke baalo ko choti kaichi se savdhanipurvak kata ja sakta hai. Yeh purusho ke dwara sabse jyada apnaya jane wala tarika hai. Adhik sundar ko janane ke liye dekhe Grooming Tips in Hindi.

3) Waxing:-

Spa aur men parlor mai inn dino nose waxing bahut prachlan mai hai. Iske liye experts hote hai jo naak ke baalo ko waxing karke nikal dete hai. Iske liye ek puri kit aati hai.

4) Electric Shaver Attachment:-

Haal hi mai naak ke baalo ko trim karne ke liye electric shaver attachment aate hai. Isse purush, shaving aur naak ke baal dono hi kaat sakte hai. Isse paise aur samau dono ki bachat hoti hai.

5) Tweezer:-

Kai log aajkal tweezer ka istemaal karte hai. Isse naak ke baalo ko acchi tarah istemaal kiya ja sakta hai. Isme light hoti hai jisse aap aasani se naak ke baalo ko kaat sakte hai.

You may also like:- Fashion Tips for Men: Purusho ke Attractive Dikhne ke Tarike

6) Nose Cream:-

Hair removal cream mai nose cream bhi aati hai ise lagakar 5 minutes ke liye chhod de. Bas naak ke baal apne aap saaf ho jayege. Baad mai ise ragadkar dho le.

7) Laser Treatment:-

Laser treatmnt se naak ke baalo ko permanent nikalwa sakte hai. Lekin ise sirf kisi expert ke dwara hi karwana chahiye. Taki aapko baad mai koi pareshani nahi ho aur aapka kaam aasani se ho jaye.

Upar aapne jane bahut se aise tarike jinki madad se aap apne naak ke baal ko hata sakte hai aur sundar dikh sakte hai. To aaj hi se inn upay ko shamil kare aur dur kijiye naak ke unchahe baal.

Loading...

You may also like...