Pregnancy Diet for Intelligent Baby: Hoshiyar Bacche Ke Liye

Garbhavastha ka samay har maa ke liye bahut hi mahatvapurn hota hai. Iss douran wo apna kaisa khayal rakhti hai uska pura asar uske bacche par bhi padhta hai. Yadi wo thik se aahar nahi legi to uska baccha bhi kamjor rahega.

Wahi yadi maa sare poshan yukt aur jaruri aahar legi. Apne khanpan mai laparwahi nahi bartegi to uska bachha swasth hoga. Uska sharirik aur mansik vikas acche se hoga. Isliye iss douran garbhavati ko apne khanpan par acche se dhyan dena chahiye.

Ek acchi lifestyle se aapka baccha tandurust aur bada to paida hota hi hai, sath hi sath wo smart bhi banta hai. Rojana thoda vyayam, khane mai poshan yukt aahar aadi chize aapke bacche ke mastishk ke vikas mai madad karti hai. Aaiye aaj ke lekh mai ham jante hai Pregnancy Diet for Intelligent Baby.

Pregnancy Diet for Intelligent Baby: Garbhavastha Ke Jaruri Aahar

Pregnancy Diet for Intelligent Baby

Yadi aap bhi internet par yahi Foods to Eat During Pregnancy to Make Baby Smart talash rahe hai to aapki search yahi khatam hui samajh lijiye:-

Phal aur Sabjiya

  1. Ham hamesha se yahi sunte aa rahe hai ki jo log apne khane mai fruits ko shamil karte hai, unhe swasth sambandhi pareshaniya jaise ki Alzheimer, vajan ka badhna jaisi samasya kam hoti hai.
  2. Par Canada mai kiye gaye ek shodh ke anusar yeh baat samne aayi hai jo aurte apni garbhavastha ke douran phalo ka sevan karti hai wo buddhiman bacche ko janm deti hai.
  3. Jin aurto ko dusri aurto ke tulna mai jyada phal khilaye gaye the, unhone aese baccho ko janm diya jinhone 12 mahine ke hone ke bad acche se vikasatmak parikshan dia.
  4. Phalo aur sabjiyo dono mai antioxidant moujud hota hai jo free radical se ladta hai. Yeh free radicals bacche ke dimag ki koshikao ko hani pahucha sakte hai.
  5. Antioxidant ke liye aap hari pattedar sabjiya, shakarkandi, tamatar, sevphal, angur, nashpati aadi kha sakte hai.

 

Iron Se Bharpur Khadya Padarth

  1. Jab bhi aap garbhavati hoti hai to aapko apne aahar mai loh tatvo ki matra ko doguna kar dena chahiye.
  2. Kyoki jab bhi aap garbhavati rehti hai to iron aapke baby ko oxygen dene ka kaam karta hai.
  3. Ham mai se kai logo ke sharir mai oxygen ki matra kam hoti hai, jiske chalte garbhashay mai oxygen ki kamu hoti hai aur iss kami ka asar bacche ke IQ aur vikas par padhta hai.
  4. Aap apne chikitsak se iron test karne ke liye keh sakte hai. Sath hi iron ki kami ko pura karne ke liye palak, sukhe meve aur oats kha sakte hai.
  5. Smart Baby ke liye yeh bahut jaruri hai.
  6. Palak folic acid ke acche stroto mai se bhi ek hai. Ham aapko bata de ki folic acid bacche ke dimag ke vikas ke liye faydemand hota hai.

 

Mercury Ki Matra Na Ho Jyada

  1. Yadi aap omega 3 ki purti ke liye fish ka sevan karte hai to iss baat ka khayal rakhe ki aap kiss tarah ki machhali ka sevan kar rahe hai.
  2. Aapko swordfish, tilefish, shark jaisi machhaliyo ko nahi khana chahiye kyoki inme mercury ka leval bahut jyada hota hai.
  3. Yadi aap fish ka sevan karna chahte hai to salmon aur catfish aapke liye safe hai. Lekin isko bhi aap hafte mai do bar se jyada na le.

 

Protein Bhi Hai Jaruri

  1. Garbhavastha ke douran aapko bahut jyada protein ki bhi aavyashakta hoti hai kyoki protein garbh mai pal rahe bacche ke vikas mai sahayak hai.
  2. Aap protein ki matra badhane ke liye aap rojana jitna protein lete hai usse 10 gram rojana jyada lena shuru kar de.
  3. Protein ke liye aap apne lunch mai dahi aur breakfast mai bread ke sath peanut butter ka istemal kar sakte hai.

 

Inn Baato Ka Bhi Rakhe Khayal:-

  • Hamesha taji sabji aur phalo ka hi istemal kare.
  • Juice pine se behtar pahlo ka sevan kare.
  • Yadi aapka juice pine ka man hai to taje phalo ka juice nikalkar piye, dibba band juice ko na le.
  • Blueberry mai adhik matra mai antioxidant hota hai. Iska sevan bhi dimag ke uttako ka vikas karta hai.
  • Vitamin d ki purti ke liye subah ki dhup mai baithe, sath hi ande ka sevan kare.

Upar aapne jana Pregnancy Diet for Intelligent Baby. Sehatmand khana sabhi ke liye faydemand hai, khaskar garbhavati mahilao ke liye. Aapki life mai laya gaya yeh chota sa difference aapki aur aapke bacche ke shararik aur mansik vikas mai kafi parivartan la sakta hai.

Loading...

You may also like...