Punarnava in Hindi : Nav-Yovan aur Swasth Raksha Ek Sath
Aksar rah chalte huye kai poudho ko hum kuchalte huye nikal jate hai, lekin hum yah nahi jante hai ki inke aushdhiya gun humare liye kitne mahatvpurn hai. Jaha inn poudho ko hum kharpatwar ya faltu podha samjhkr ukhad dete hai. Vahi yadi in poudho ke aushdhiya gun ki jankari mil jaye to yeh podhe humare jivan rakshak sabit ho sakte hai.
Aaiye janne ki koshish karte hai, aise hi ek aushdhiya podhe ke bare mai jo aksar ghar-angan, bagiche ya medano mai humare pero tale kuchla jata hai. Is aushdhiya podhe ka vanaspatik naam hai boerhavia diffusa aamtor par ise punarnava ke naam se jana jata hai.
Punarnava in Hindi ka abhipray yeh hai ki phir se naya kar dene wala. Yeh ek aisa podha hai jo har varsh phir se navin ho jata hai, isliye ise punarnava kahta hai. Iska sukha podha varsha ritu aane par punah isme shakhaye foot padti hai aur yeh podha apni mrat avastha se wapas jin avastha mai aa jata hai. Iss vilakshanta ke karan hi rishigano ne ise punarnava naam diya hai.
“Punah Punarva Bhavti” jo phir se prativarsh navin ho jaye athva “Shariram Punarnavam Karoti” jo rasayan sharir ko punah naya bana de. Usse Punarnava kahte hai.
Bharat mai khaskar garm pradesho mai yeh bahutayat paya jata hai. Iski teen jatiya hoti hai. Safed phul wali ko vishakhpara, Lal phul wali ko sathi tatha nili phul wali ko punarnava kahta hai. Isse alag-alag bhashao mai alag-alag namo se jana jata hai. Sanskrit – Punarnava, Hindi – Punarnava, Gadpurna, Marathi – Ghetula, Bangali – Shwet Punarnava tatha gadapunya, Telegu – Galjeru, Tamil – Sharune, English – Spreading Hogweed aadi namo se jana jata hai.
Punarnava in Hindi: Janiye Iske Aushdhiya Guno ke Labh
Punarnava Benefits: Iske Labh
Punarnava swad mai kadvi, tikhi, kaseli aur khari hoti hai. Yeh vayu, cough, sujan, khasi, bavasir, pandurog, vishdodh avam shul ka nash karti hai. Punarnava ke prayog se punarvadi kwath, punarnava mandur, punarnavamul dhanbati, punarvachurn aadi aushdhiya banai jati hai.
Anek kushal vedya iski aushdhi jaise ki punarnava mandur, punarnava guggul, punarvarishth tatha punarnava rasayan banakar logo ko dhirghayu jivan, uttam swasth, sharirik dard aadi mai prayog karte hai. Punarnava keval rog nivarak aushdhi hi nahi shakti dayak aushdhi bhi hai. Ise koi vyakti lekar apne swasth aur dirgh jivan ke liye labh le sakta hai. Aaiye jante hai Punarnava Benefits in Hindi–
Jawan Banaye Rakhta Hai
- Ayurved ke anusar, iss podhe mai yeh shamta hai ki iske sevan se vyakti apne aap ko punah jawan bana sakta hai. Madhya Pradesh ke palatkot ke aadiwasi ise jawani badane wali dawa ke roop se istemal karte hai.
- Punarnava ki taji jad ka ras 2 chammach, 2-3 maah tak niymit sevan karne se vradha vyakti bhi yuva ki tarah mahsus karta hai.
Piliya Dur Kare
- Piliya ke rog mai aankhe tatha sharir ki twacha ka rang badal kar pila ho jata hai, mutra mai pilapan, jwar tatha kamjori jaise lakshan dikhai dete hai.
- Punarnava ka panchang jad, chaal, patti, phul aur beej ko shahad avam mishri ke sath istemal kare tatha iska ras ya kada piye.
- Punarnava ke sampurn podhe ke ras mai harad ke phalo ka churn milakar lene se piliya mai labh milta hai.
Hepatitis Rog
- Humare desh mai hepatitis ke A,B,C aur E virus paye jate hai. Yeh rog vishanuyo ke karan sharir mai failta hai. Vishanuo se hone ke karan hi ise viral hepatitis kaha jata hai.
- Lever mai sujan aa jane par, 3gm punarnava ki jad, sahgan athva muhgan ki chaal 4 gm lekar pani mai ubala jaye tatha rogi ko diya jaye to bahut jaldi aaram milta hai.
You may also like: Coriander Powder in Hindi – Swad, Khushbu aur Sehat ka Raaz
Netra Sambandhi Samasya
- Aankho ke phul jane par ya sujan aane par, punarnava ki jad ghee mai ghiskar aankho mai lagaye.
- Punarnava ki jad ko shahad athva doodh mai ghiskar lagane se aankho mai hone wali khujli dur hoti hai.
- Netro se pani aane par, punarnava ki jad ko shahd ke sath ghiskar lagane se yeh pareshani dur ho jati hai.
- Punarnava ki jad ko kanji mai ghiskar aankho mai lagane se ratondhi ki samasya mai labh milta hai.
Prostate ki Samasya
Prostate humare sharir mai ek choti si granthi hoti hai, jiska aakar akhrot ke saman hota hai. Purusho mai mutrashay ke niche tatha mutranali ke aaspas sthit hoti hai. 50 varsh ki aayu ke baad prostate ki samsya aam ho jati hai. Prostate granthiyo ki vradhi ho jane par, punarnava ki jado ke churn ka sevan labhkari hota hai.
Yaha bataye gaye sabhi rogo ke alawa sharir swastha bana rahe isliye bhi Punarnava in Hindi ki sabji ya patto ka ras kali mirch tatha shahad milakar sevan karna bhi hitkari hota hai.