Drug Side Effects: Sex Life Par Dawao ka Bura Asar
Har vyakti ko jivan me kabhi na kabhi dawa ka sevan karna hota hai. Lekin kya aap jante hai ki, in dawa ko khane se aapki sex life par dush prabhav padta hai. Shayad aap nahi jante hoge. To chaliye aaj hum aapko batate hai Drug Side Effects.
Kisi vyakti par dawa ke side effect hone par unki sex karne ki power bhi kam ho jati hai. Itna hi nahi balki dawao ke adhik sevan se pati patni ke rishte ki gehrai bhi kam hoti jati hai. Kuch medicine to aisi bhi hoti hai, jo ki aapki sex karne ki puri iccha ko hi mar dalti hai.
Bahut si aisi medicine hoti hai, jinke dush prabhav kisi par bhi pad sakte hai. Inke side effect ke chalte aapki sex karne ki capacity kam ho jati hai. Halaki doctors in baato ke bare me aapko nahi batate hai. Lekin yadi aap thodi si savdhani rakhege to aap khud ko in dawa ke side effect se khud ko bacha sakte hai.
You may also like: Homosexuality: Samalaingikata se Sambhandit Tathya
Drug Side Effects: Sambhog Par Dawao ka Dush Prabhav
• Sex life par dawa ke sevan ka aasar tabhi hota hai jab kisi medicine ko lambe samay tak lete hai.
• Yadi aapko mahsus hota hai ki, dawa ke sevan ke douran aapki sex ke prati ruchi kam ho rahi hai. Ya phir aap sahi tarike se sambhog nahi kar pa rahe hai. Ya aapke youn ango me kai problem aa raha hai. To turant doctor se sampark kare.
• Yadi mahilao ki youni me itching ho rahi hai aur purusho ko sex ke doran ling me tanav kam lag raha hai ya shighrapatan ho raha hai aur agar dono hi dawao ka sevan kar rahe hai to is bare me doctor se is bare me bejhijhak ho kar baat karni chahiye
• Vese bahut se cases me dekha gaya hai ki kuch logo ka immune system itna strong hota hai ki Drug Side Effects ka unki body par koi asar nahi hota hai.
• Aisa jaruri bhi nahi hota ki agar kisi ek insaan par dawao ka galat effect pad raha ho to, dusre insaan par bhi isaka dush prabhav pade.
Drug Side Effects: Medicine Jo ki Sex Life ko Khatam Kar De
High Blood Pressure Sambandhit Medicine
High Blood Pressure ki dawaye sex life ko kharab karti hai. Ve dawa jese Clonidine, Alpha-methylDopa, Guanethidine ka sevan karne se sex power puri tarah se khatam ho jata hai.
Hormone se Sambhandhit Dawa
Hormone sambhandhit dawa se bhi sex par bura asar pdata hai. Anti Androgen dawa jese Testosterone Cyproterone and Ketoconazole sharir me testosterone hormone ke level ko kam kar deta hai. Jiske karan purush napunsak ho jate hai.
Pain Killer Medicine
Dard nivaarak dawa (Painkillers) ka adhik sevan karne se bhi sex ki iccha kam ho jati hai. Isliye doctor ke salah ke bina is pain killer medicine ka sevan na kare. Morphine and Codeine jesi painkiller dawa sambhog se dur le jati hai.
Alsar ki Dawa
Alsar ke upchar ke liye use ki jane vali medicine jese Cimetidine, Ranitidine, Altec aadhi ka regural sevan karne se bhi sambhog ke prati udaseenta aa jati hai.
Anti Depression Medicine
Anti depression medicine jese Wlliam, Diazepam, Compose ka bhi sevan karne se aapki sexually life kharab ho jati hai.
Upar aapne jane Drugs Side Effect jo ki aapki sex life ko khatam kar deta hai. Vese koi bhi dawa ka niyamit roop se sevan karne par hi uska side effect hota hai. Normal sardi, khasi, jukham, bukhar ki dawa ko lene se kuch nahi hota hai.
To bas dhyan rahe ki kisi bhi dawa ke niyamit roop se sevan karne se pahle ek baar doctor se salah jarur le. Taki aap ek healthy sexually life enjoy kar sake.
Get more details of Drug Side Effects from Sex & Love.