Sunburn Home Remedies: Dhoop se Jhulsi Twacha Thik Kare

Sunburn Skin – Tej garmi ke mausam me aap kitni bhi savdhani kyu na rakhe sooraj ki kirne hamare sharir par to padti hi hai. Yeh sabse aam samasya hai jisse har koi grasit hai. Sooraj ki tej kirne hamare sharir par padne se hamari skin par red marks ho jate hai.

Agar aapka kaam bhi jyada der dhoop mai ghumne ka hai. To aapko bhi sunburn ho sakta hai. Tej dhoop ke prakop se twacha ki upari parat jal jati hai aur dead ho jati hai. Jise aam bolchal mai jhulsana kehte hai. Wah hissa gehra bhura aur kala pad jata hai.

Ise dur karne ke liye bajar mai kai tarah ki dawaiya aur cosmetics upladdha hai. Aur beshak hi aapne inhi dawaiyo ka bhi use kiya hoga. Par inse hame itna fayda nahi mil pata hai. Isliye sunburn ko dur karne ke liye gharelu nuskhe ka istemaal karna hi behtar hai.

To aaiye jante hai Sunburn Home Remedies jo ki istemal karne me bahut hi aasan hai, aur isse kisi tarah ka side effect hone ka khatra bhi nahi hai. Iske alawa khas baat yeh hai ki inn nushko ko apnane ke liye aapko apni jeb bhi dhili nahi karni padegi.

Sunburn Remedies – Labhdayak Aasan aur Gharelu Nuskhe
Sunburn Home Remedies

Sunburn ke upay janne se pehle ham aapko yeh bhi batade ki suburn ki samasya kisi ko bhi ho sakti hai. Agar aap swimming kar rahe ho, running kar rahe hai ya koi bhi outdoor activity kar rahe hai to tanning hone ki sambhavana jyada ho jati hai.

Tamatar Ka Ras aur Dudh Ki Malai

Tamatar ka ras aur dudh ki malai ko barabar matra mai le. Phir inhe mix karke ek paste taiyar kare. Ab iss paste ko apni tan hui skin par karib 10 se 15 min tak lagaye rakhe. Kareeb 15 minute tak rakhne ke bad is paste ko thande pani se dho le. Yeh Sunburn Home Remedy aapki tan hui skin ko smooth banati hai. Iss tip ko lag bhag 1 hafta continue rakhe , yeh aapki jhulsi hui twacha ke liye bahut faydemand hai.

Chandan Ka Powder aur Gulab Jal

Ek bowl me chandan ka powder le aur isme thoda sa gulab jal milaye. Ab iska ek gadha paste taiyar kar le. Kam se kam is gadhee paste ko 7 se 8 din tak roj apni jhulsi hui twacha par lagaye. Yeh to sab hi jaante hai gulabjal aur Chandan dono hi hamre sharir me thandak pahuchate hai. To iss paste ko lagane se humare sharirko bhi thandak milegi aur sath hi sath yeh humari skin ko bhi nami pahuchayega.

Nimbu Ka Ras aur Shahad

Nimbu ke ras aur shahad dono ko barabar matra mai ek bowl me lele. Ab inhe mix karke ek paste taiyar kare. Jaha Jaha bhi aapki skin par sooraj ki kirno se red marks hue hai ya itching ho rahi hai waha his paste ko kareeb 25 se 20 minute tak lagaye rakhe. Uske bad ise thande pani se dho le. Aapki skin smooth bhi ho jayegi aur sath hi aapki jhulsi hui skin ko aaram bhi pahuchega.

You May Also Like:- Swimming ke Douran Twacha Par Tanning Dur Karne ke Upay

Dudh aur Haldi

Dudh aur haldi ko mix karle, ab is lep ko un jagah par lagaye jaha aapko tanning hui hai. Kareeb 15 minute ise aese hi rehne de uske baad gungune pani se dho le. Aapko is Sunburn Home Remedy se bahut aaram milega.

Vinegar

Vinegar ko kisi soft kapde ki madad se ya fir cotton ki madad se apni jhulsi hui skin par halke haatho se lagaye. Vinegar twacha ko tan hone se bachata hai aur saath hi saaf bhi rakhta hai.

Aloe Vera Plant Ka Gel

Aloe vera plant aapki skin ke redness ko kam karta hai. Aloe vera plant ki koi bhi ek patti ka gel nikal kar aap seedhe aapki twacha par lagaye . Kam se Kam iss gel ko 6 se 7 din tak roj jhulsi hui skin par lagaye. Yeh aapki skin ko aur komal bhi banata hai.

Aalu Ke Chhilke

Jee haa aalu ke chhilke bhi oxy bleach ki tarah kaam karte hai aur apko rakhte hai sunburn jesi pareshaniyo se dur. Aalu ke chhilke ko aapki jali hui skin par lagaye, yeh aapki jhulsi hui twacha ko bahut aaram pahuchayega.

Upar aapne jane Sunburn Home Remedies jo aapki twacha ko sunburn se raahat pahuchaenge. Lekin haa sirf ek-do din koi bhi upay karne se uska fayda nahi milta hai. Isliye iska laabh pane ke liye niyamit roop se ise kuch din tak apnaye.

Loading...

You may also like...