Yoga for Beauty in Hindi: Sundar Twacha aur Baalo Ke Liye

Har koi khubsurat dikhna chahta hai iss baat mai koi shak nahi hai. Kuch logo ko khubsurat twacha anuvanshik roop se milti hai to kuch logo ko iske liye mehnat karna padhti hai. Bahut se aese log hai jinki twacha dull dikhai deti hai, iska matlab yeh nahi hai ki we kabhi acche nahi lag sakte.

Kya aap jante hai aapke chehre par iss dullness ke kya karan ho sakte hai? yadi ham sabse bade karan ki baat kare to wo hai tanav. Jin logo ko tanav rehta hai chahe wo kaam ka ho ya paiso ki kami ko lekar ho ya fir kisi aur chiz ka.

Tanav mai rehne wale vyakti ka chehra hamesha thaka aur bejaan lagta hai. Aur iske alawa yadi aapki dincharya bikul galat hai aur aap vyayam ko wakt nahi de pate hai to isse aapke sharir mai rakt ka sanchar thik se nahi ho pata.

Jab aapke har ang ko rakt ki purti sahi se nahi hoti to uska bejan dikhna nishchit hai. Aapko yadi tanav se nijat dilane aur behtar raktsanchar mai madad kar sakta hai to wo hai yog! Isliye aaj ke lekh mai ham aapko bata rahe hai Yoga for Beauty in Hindi, jisse aap aakarshak dikh sakte.

Yoga for Beauty in Hindi – Khubsurat Dikhane mai Sahayak

Bahut purane samay se hi yog ka abhyas swasth ko sudharne ke liye kiya ja raha hai. Iske faydo ko dekhte huye aapko bhi ise apni dincharya mai shamil karna chahiye. Aap khud bhi dekh sakte hai ki hamare desh ki famous actress Shilpa Shetty bhi ise karti hai.

Jab bhi aap yoga karte hai to aap andar se aur bahar se accha feel karne lagte hai. Aaiye jante hai unm yogasano ke bare mai jisse aapki twacha sundar banne lagti hai.
Yoga for Beauty in Hindi

Tadasana

  • Tadasana ko mountain pose ke naam se bhi jana jata hai. Bahut se log ise apne kad ko badhane ke liye iska abhyas karte hai.
  • Ise karte wakt bhi shwas par dhyan kendrit kiya jata hai jo ki swasth twacha pane mai madadgar hai.

 

Utkatasana

  • Utkatasana ko karte wakt aapka shair ek chair ke saman ho jata hai isliye ise utkatasana kaha jata hai.
  • Yeh asana ko sabhi aayu ke log kar sakte hai.
  • Iss asana ko karte wakt dil ki dhadkan tej chalti hai, rakt sanchar acche se hota hai aur aapki twacha sari impurities nikal deti hai.

 

Halasana

  • Halasana ko karte wakt sharir ka aakar kisan ke hal ke saman ho jata hai isliye ise halasana kaha jata hai.
  • Ise karne se kai tarah ki bimariya dur hoti hai. Sath hi yeh vajan ghatane ki chahat rakhne walo ke liye faydemand hai.
  • Ise karte wakt rakt ka bahav aapke chehre aur sar ki taraf hota hai, jisse aapke chehre par lalima aati hai.
  • Halasana karne se sharir tatha chehre ki twacha mai chamak aati hai. Yeh bahut hi prabhavi Yoga for Beautiful Skin hai.

 

Sarvangasana

  • Sarvangasana ko kai aasnao ki queen kaha jata hai. Ise karte wakt aapke pair niche aur sir upar hota hai.
  • Iss asana ko karne ke beauty benefits kai hai.
  • Ise karne se sharir ki atirikt charbi jalti hai aur motapa kam hota hai.
  • Ise karte wakt rakt ka flow pair se sar ki taraf aata hai isliye ise karne se aapki twacha saaf hoti hai aur jhurriya nahi padhti hai.
  • Ise karne se aapke baal jhadna band ho jate hai, aur aapke baalo mai volume aane lagta hai.
  • Sarvangasana ka abhyas karne par kil muhase dur hote hai aur twacha par daag dhabbe nahi hote hai.

 

Padmasana

  • Padmasana ka arth hota hai kamal ka asana. Ise karte wakt sharir ka aakar kamal ke saman dikhai deta hai isliye ise padmasana kaha jata hai.
  • Ise karne se chinta- tanav dur hoti hai. Dimag shant rehta hai aur man prasanna rehta hai.
  • Tanav ke kam rehne se aapka chehra hamesha fresh dikhai deta hai.
  • Jin ladkiyo ka masik dharm samay par nahi hote unhe bhi muhase ki samasya ka samna karna padhta hai. Isse masik dharm niyamit hota hai.

 


Tadasana Swasth Twacha Ke Liye
Utkatasana Twacha se impurities Hataye
Halasana Chehre mai Chamak aur lalima Laye
Sarvangasana Jhurriya Dur Kare, Baal Jhadne Se Roke
Padmasana Tanav Dur Kar Chehre Par Freshness Laye

Upar aapne jana Yoga for Beauty in Hindi. Jab bhi aap yog ka abhyas karte hai to aapke sharir mai rakt ka sanchar badh jata hai. Iska matlab aapko jyada se jyada oxygen milta hai. Taje rakt ke karan aapke galo par glow aane lagta hai. Iske alawa vishele padarth bahar nikal jate hai aur body toned ho jati hai, isse aapka sharir khubsurat lagta hai.

Loading...

You may also like...