Home Remedies for Younger Skin: Twacha ki Umra Ghataye

Aapne hamesha suna hoga ki wakt kisi ke liye nahi rukta. Wakt ki tarah hamari umra bhi aage badhti jaa rahi hai. Umra ke badne ke sath sath hamari twacha par bhi badlav najar aane lagte hai. Yeh badlav jyadatar tab najar aate hai jab hamari umra 25 ke upar jane lagti hai.

Dhire dhire chehre ki chamak fiki padne lagti hai. Twacha par jhuriya aane lagti hai. Vaise to chehre par jhuriya aane ke samay 30 saal ke baad hi hota hai. lekin aajkal ki bhagdod bhari jindagi mai ham apni twacha ka thik tarike se khayal nahi rakh pate hai. Jiss wajah se kam urma mai hi twacha par badhti hui umra ke lakshan dikahi dene lagte hai.

Chehre se umra ka pata chalna har mahilao ke liye dukhdai hota hai. Kyoki koi bhi mahila yeh nahi chahti hai ki wo uski umra se jyada ki najar aaye. Ham aapko batana chahte hai ki bhale hi aap aage badhte hue wakt ko nahi rok sakte ho lekin, apni twacha ko acchi tarah khayal rakhkar iski umra jarur badne se rok sakte ho. Aaiye jante hai Home Remedies for Younger Looking Skin, twacha ko java banaye rakhne ke tarike.
 

Home Remedies for Younger Looking Skin: Sundar Twacha ke Liye

 
Home Remedies for Younger Skin
 

Dhoop Se Bache

Gharelu upayo ke istemal se aap twacha ko khubsoorat to bana sakte hai. lekin agar aap apni twacha ka acche se khayal nahi rakhenge to aapki mehnat rang nahi layegi. Agar aap pehle ki tarah acchi twacha pana chahti hai to sabse pehle apni twacha ko dhoop ke hanikarak kirno se bachaye.

Twacha visheshagyo ki mane to dhoop ki tej kirne aapki twacha ko damage kar deti hai. Twacha ke jyada damage hone par umra badhte hi twacha par kale dhabbe padne lagte hai. Isliye kosis kare ki dhoop mai kam hi nikale aur jarurat padne par bade sunglasses aur scarf ka use karna naa bhule.

Nimbu Shahad ka Mask lagaye

Agar aapke chehre ki twacha rukhi hai to bhi aapki umra badti hui najar aayegi. Iske liye twacha mai nami ka hona bhi jaruri hai. Twacha mai nami banaye rakhne ke liye nimbu aur shahad se bane mask ka istemal sabse behatar Home Remedies for Skin hai. Iss mishran ko chehre aur hatho ki twacha par 10 minute lagakar dho le. Shahad aapki twacha ke liye faydemand hota hai. Isse twacha mulayam aur chamakdar banti hai. Iske alawa nimbu aapki twacha par bleach ki tarah kaam karta hai, jisse twacha ka rang nikharta hai.

Papita Khaye aur Lagaye

Twacha ko accha banane ke liye papita khana aur lagana dono accha hota hai. Papite mai bharpur matra mai vitamin A hota hai. Iske alawa isme moujud papain namak tatva mrit twacha ko nikal deta hai. Daag dhabbe hatane ke liye bhi papita ek accha upay hai. Papite ko masalkar 15-20 minute tak chehre par lagaye. Fir gungune pani se chehra dho le.
 

You May Also Like: Vitamin Benefits for Skin: Twacha Ko Banaye Khubsoorat

 

Salad Khana Bhi Faydemand

Twacha ka khayal rakhne ke liye sirf upar se mehnat karne se kaam nahi banta hai. Agar aapko acche tarah se Skin Care karna hai to bhitari roop se poshan dena bhi jaruri hai. Aajkal ke log fast food ka jyada sevan karne lage hai, jisse sharir ko micronutrient nahi mil pate hai. Isliye jitna ho sake salad khana shuru kare. Salad ke liye kakdi, tamatar, patta gobhi aur gajar ka upyog kare.

Bharpur Pani Piye

Kya aap jante hai ki ageing ki samasya ko rokne mai pani pina bhi aapke liye faydemand hai. Jab aapke sharir mai pani ki kami ho jati hai to detoxification nahi ho pata hai. Jisse twacha ka saans lena band ho jata hai.

Isliye twacha ko java banaye rakhne ke liye bharpur matra mai pani pina jaruri hai. Pani ki kami ko pura karne ke liye aap phalo ka ras, green tea aadi pee sakte hai.

Skin Care Tips: Anya Upay Inhe Bhi Jane

  1. Green tea mai flavonoids paya jata hai. Ise behatarin antioxidant mana jata hai. Yeh ek natural antibiotic ki tarah kaam karta hai. Ise pine se body se toxin kam hota hai, aur twacha ke dag, dhabbe aur jhuriya bhi kam hoti hai.
  2. Apne aahar mai vitamin C ka prayog karne se bhi twacha younger banti hai. Iske liye sabhi tarah ke Dried Fruit aur citrus fruit jaise ki santre, mosambi jaise pahlo ka sevan kare.
  3. Twacha ko acchi tarah saaf karne aur blackheads hatane ke liye dudh aur tamatar sabse behtar hai. Ek chammach tamatar ke ras ko do chammach dudh ke sath milaye. Fir iss mishran ko 10 se 15 minute tak apne chehre par lagaye. Isse twacha oil free hogi aur blackheads bhi dur honge.
  4. Aap shayad nahi jante honge lekin aapko khane mai pasand aane wali chocolate se aap chehre ki chamak bhi bada sakte hai. Iske liye cocoa powder le aur usme shahad aur avocado ka paste banakar dale. Iss mishran ko sharir ke hisso par 20 minute lagakar rakhe. Yeh ek behatar Home Remedies for Younger Looking Skin hai.

 

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

You may also like...