Flat Tummy Tips in Hindi: Pet Kam Karne ke Tarike

Physical fitness ke liye sabse badha hai bahar ki aur nikalta pet. Aaj ke dor me adhikansh log isi se pareshan rehte hai. Jo log sapat pet ki kalpana karte hai aur uske liye prayaasrat rehte hai unhe sapat pet pane ke liye na to dieting ki jarurat hoti hai aur na hi bahut jyada tanav lene ki. To aaiye jante hai Flat Tummy Tips aur karte hai apne badte pet ko kam.

Logo ko sehatmand aur fit rakhne ke liye aahar ki aham bhumika hoti hai. Vyast dincharya ke karan logo ki sharirik gatividhi din pratidin kam hoti ha rahi hai jiski vajah se li gayi calorie fat me tabdil hokar aapke pet ke aas-pas ke hisso me nazar aane lagti hai.

Aksar log vajan kam karne me lage rehte hai. Lekin sabse adhik samasya aati hai wo hai pet ke aaspas ki charbi ko hatana. Kya aap jante hai kuch log mote nahi hote hai lekin unke pet ke aaspaas kafi charbi jam jati hai. Pet par jama fat na sirf aapki sehat bigadta hai balki yeh aapke look ko bhi kharab karta hai. Janiye humare saath pet par jami charbi ko kam karne ke aasan va asarkari upayo ke bare me aur farq dekhiye.

Flat Tummy Tips: Dur Kijiye Unchahe Motape ko Inn Upay ke Saath

Flat Tummy Tips in Hindi

You may also like: Weight Loss Tips in Hindi: Vajan Kam Karne ke Upay

1) Khane ke Baad Pani Pine se Bache

Pet nikalne ki mukhya vajah me se ek hai pani pina. Khane ke last me pani pina uchit nahi, balki ek ghante baad pani pina chahiye. Agar aapko jyada pyaas lag rahi hai to khane ke baad bas ek cup halka gunguna pani piye aur baaki ka pani baad me piye.

2) Shahad Hai Faydemand

Humko pata hai Shahad motapa kam karne ke liye bahut faydemand hota hai. Rozana iska sevan kare aur jaldi positive asar dekhiye.

3) Khan-Pan ka Khayal Rakhe

Yadi aap junk food khate hai ya phir aapko oily khana bahut pasand hai to ab inse parhej karna shuru kar de. Khane me khaastor par samanya aate ki jagah jau aur chane ke aate ko milakar roti khaye, isse aap jald hi slim trim hogi.

4) Thoda-Thoda Karke Khaye

Flat Tummy Tips ki baat kare to iska dhyan aapko jarur se rakhna padega, nahi to aapka pet aur bhi jyada bad jayga. Roz din me 3 time khane ki jagah thoda-thoda karke khaye. Har 2 ghante me kuch na kuch khate rahe. Isse sharir ka metabolism to thik rehta hi hai saath hi urja ka level bhi bana rehta hai. Khane me protein ki matra badaye. Ye pachne me jyada samay lete hai aur pet der tak bhara rehta hai. Ande ka safed bhaag, fat free dudh aur dahi, grilled fish aur sabjiya aapko slim aur fir banaygi.

5) Neend Puri Kare

Yadi aapki neend puri nahi ho rahi hai to tanav badne wale hormone release hote hai jo aapko khane ke liye prerit karte hai jisse pet ki charbi badti hai. Raat me 6 se 7 ghante sone wale log me pet ka fat kam hota hai.

6) Yogasana aur Ball Exercise Kare

Roz subah ke time yogasana kare ya phir jamin par paet ke bal let jaye. Aab haato par exercise wali body ball ko le kar apne dono haato pairo ko upar uthaye. Iss kriya ko lagatar 12 baar kare. Aisa karne se pet me jama fat kuch dino me kam ho jayga.

7) Sugar Level Kam Kare

Pet ko sapat banane ke liye yeh bhi bahut Jaruri hai ki kam lsugar level le, bahut kam log jante hai ki sugar jyada lene se fat badta hai aur tummy bahar nikalti hai. Isliye aap kam sugar le aur swasth rahe.

Keval 7 Din me Kam kare apni Tummy aur Dikhiye Fit

Pet Kam Karne ke Tarike

Buzy dincharya ki vajah se aapko shayad gym jane ka samay nahi milta hoga. Sapat pet ke liye aap vyayam kar sakte hai yani pet ko sapat karne ke liye kiye jane wale vyayam. Yu to vajan kam karne, vajan badane ke liye bhi kai vyayam hai lekin iske alag sapat pet ke liye alag vyayam hota hai. Ab aap chinta mat kijiye aur kare 7 dino me apni tummy ka size kam. Aaiye jante hai Pet Kam Karne ke Tarike aur rehte hai fit.

Step 1: Agar aapko ek hi samay me apni charbi kam karke muscles banana hai, to hafte me 3 din bina ruke lagatar pool up, pushups aur skipping kare. Iss work out se aapko andar cool 500 se 600 tak ki calorie burn hogi.

Step 2: Aapko hafte me 3 baar abdominal mashpeshiyo ka vyayam karna padega. Isse crunches aur pairo ki stretching ko 20 baar lagatar karna hoga. Iske alawa push ups direction me 30 se 60 seconds keliye plank bhi kare.

Step 3: Aisa aahar khaye jisme chini ki matra kam ho. Khane ki aadato me sudhar laa kar keval phal, sabjiya, saabut se bana bread, chicken, fidh aur low fat milk aadi ka sevan kare.

Step 4: Pani khoob piye aur jitna ho sake sodium ki matra kam se kam graham kare. Iska yeh matlab hai ki aapko namak par kuch dino ke liye rok lagani hogi, jiske liye bhojan me anya masale daliye aur swad badaiye.

Step 5: Jitna ho sake tension free rahe, tanav aur chinta karne se sharir me kuch tarah ke hormone, jese cortisol bad jata hai. Iss hormone se pet ki aur charbi badti hai isliye humesha cool aur fit rehne ki koshish kare.

Upar aapne jane Flat Tummy Tips. To agar aap bhi pareshan hai apne badte huye pet se to kijiye isko kam aur dikhiye fit.

Pet Kam Karne ke Tarike ki adhik jankari ke liye click kare yaha par Weight Loss.

Loading...

You may also like...