Foods to Avoid for Weight Loss: Subah Inn Aaharo Ko Na Le

Ham hamesha se yahi sunte aa rahe hai ki yadi ham vajan kam karna chahte hai to subah ke samay nashta kare. Kyoki subah ke wakt nashta karne se hamare sharir ka metabolism badhta hai aur vajan ko kam hone mai madad milti hai. Wahi khali pet rehne se vajan badhta hai.

Bus yahi soch ke ham subah ke wakt nashta kar rahe hai aur lagatar vyayam ko bhi apni dincharya mai shamil kiya hai. Sab kuch karne ke bawjud bhi aakhir kyu ham extra pounds nahi kam kar pa rahe hai.

Iske piche ka karan aapka aahar ho sakta hai. Ham yeh to jante hai ki subah nashta karna hamare liye faydemand hai. lekin subah ke wakt khai gayi kuch chize hamara vajan ghatane ki bajay badha deti hai, jiske chalte aap apne vajan ghatane ke goal mai kamyab nahi ho pate hai. To aaiye jante hai Foods to Avoid for Weight Loss in Morning.
 

Foods to Avoid for Weight Loss in Morning: Subah ke Samay inse Bache

 
Foods to Avoid for Weight Loss in Morning
 

Coffee

  • Ab tak ham yahi sunte aaye hai ki subah subah coffee pina chahiye. Isse aapko energy milti hai sath hi metabolism badhta hai.
  • Lekin yeh coffee tab tak hi healthy rehti hai jab tab ise aap sadi tarike se piye. Coffee mai thodi si sugar, thoda sa cream, thodi si chocolate bhi yadi milai gayi ho to to yeh calorie se bharpur mug ban jata hai.
  • Aur jab aap ise roj roj lete hai to aap kai calories ko le rahe hote hai, jisse aapka vajan ka ghatna to sapna hi rahega.
  • Isliye yadi aap chahte ki aapka vajan na badhe to ya to coffee na piye ya fir sadi coffee piye.

 

Fast Food

  • Subah ke wakt kaam kaji logo ke paas wakt ki bahut kami hoti hai. Aese mai we aesa breakfast lena pasand karte hai jise unhe banana na pade.
  • Aese cases mai junk food se accha unhe koi option nahi dikhai deta hai.
  • Nashte mai garmagaram samose, cookies sabko bhata bahut hai, lekin ise lene ka matlab yeh ki aap bahut sari calorie le rahe hai. Yeh Worst Breakfast for Weight Loss
  • Yadi aapke pas wakt ki kami hai to aap brown bred mai tomato, cucumber ki slice dalkar vegetable sandwich le sakte hai.

 

Orange Juice

  • Yadi subah ki shuruwat aap santre ke ras ke sath karte hai to aapko lagta hoga ki aapne apni din ki shuruwat bade hi healthy way mai ki ho.
  • Lekin kya aap jante hai ki yeh bahar milne wale juice mai bahut adhik matra mai sugar hoti hai jo aapke swasthya ke liye bilkul bhi acchi nahi hoti hai.
  • Isliye yadi aap vajan ghatana chahte hai to ghar ka bana juice piye. Infact ham to aapko yahi salah denge ki santre ko aese hi khale.
  • Isse aapke pet ko fiber milega aur aapko jald bhukh bhi nahi lagegi.

 

Flavor Wala Dahi

  • Apne din ki shuruwat dahi ke sath karna pehle aapke swasthya ke liye accha mana jata tha. Lekin jabse yeh flavors mai aane laga hai yeh vajan ghatane walo ke liye bilkul bhi accha nahi hai.
  • Yadi aap sada dahi khate hai to yeh aapke liye bahut accha hai kyoki isme calcium, protein aur healthy probiotics milte hai.
  • Bahar milne wale flavored dahi mai bahut sari sugar aur syrup hota hai jisse yeh aapke pachan ke liye sahi nahi hai.
  • Isliye yadi aap dahi khana chahte hai to to bilkul sada dahi khaye.

 

Biscuits

  • Ham mai se adhiktar logo ko subah ki chai ke sath biscuit lene ke aadat hoti hai.
  • Lekin ham aapko bata de ki biscuit maide se bane hote hai aur jo log pet ki charbi ghatana chahte hai unke liye yeh bilkul bhi sahi nahi hai.
  • Isliye yadi aap flat belly pane ki journey par ho to maide ki jagah aate se bane biscuits aapke liye faydemand honge.

 

Ande Se Bana Sandwich

  • Ande ka nashta hamare liye accha hota hai lekin tabhi jab ham ise sahi tarike se le. Ise galat tarike se subah ke nashte mai lene se yeh aapka vajan badha sakta hai.
  • Yadi aap fried anda, bread mai dalkar uss par cheese dalte hai to isse calorie ki matra 300 se 400 ho jayegi.
  • Wahi protein ki baat kare to bahut kam milega kyoki anda to ek sandwich mai ek hi hai.
  • Yadi aap ande ko apne nashte mai shamil karna chahte hai to use boil kar ke khaye.

 
Upar aapne jana Foods to Avoid for Weight Loss in Morning. Hamne hamesha se yahi suna hai ki subah ka nashta raja jaisa karna hai, iska matlab yeh nahi ki hame acchi acchi chize khana hai balki iska matlab yeh ki hame pet bhar khana hai, santulit khana hai aur swasthvardhak khana hai.

Loading...

You may also like...