Blood Cancer in Hindi: Jane Iske Lakshan, Karan aur Upchar
Manushya mai kai tarah ka cancer hota hai. Jaise muh ka cancer, phepde ka cancer aadi. Usi tarah rakt ka cancer bhi, cancer ka hi ek roop hai. Yeh cancer rakt aur lasika pranali mai hota hai. Blood cancer mai rakt koshikaye aniyantrit hokar vradhhi karne lagti hai. Aur inka aakar badne lagta hai. Jiski wajah se sharir ki pratirodhak shamta khatam ho jati hai. Aur sharir sankraman ke prati lad nahi pata hai.
Blood cancer kisi bhi umra ke vyakti ko ho sakta hai. Blood cancer hone ke kai karan ho sakte hai. Yadi kisi karanvash blood cancer se pidit vyakti ke khun ko kisi swasth vyakti ko de diya to swasth vyakti bhi iss rog se pidit ho jata hai.
Blood cancer hone ke bad cancer koshikaye swasth blood banne mai rukawat paida karti hai. Blood cancer teen prakar ke hote hai. Leukemia, Lymphoma aur multiple myeloma. Leukemia cancer ka ek prakar hai jo khun banne ki prakriya par prabhav dalta hai. Wahi Leukemia ka prabhav khun banne ke sath sath lymphatic system aur bone marrow system par bhi padta hai. Leukemia ke karan vyakti ke sharir mai khun ki kami hone lagti hai.
Cancer ki sari bimariyo mai blood cancer ka pratishat 2% hota hai. Baccho ki tulana mai blood cancer yuvao mai hone ki adhik sambhavana hoti hai. Leukemia ka agar samay par illaj nahi karwaya jaye to vyakti sirf 4 saal hi jivit reh sakta hai. Aur samay par iss bimari ka pata chalne par vyakti swasth bhi ho sakta hai. Aaiye aur vistar se jane Blood Cancer in Hindi.
Blood Cancer in Hindi: Rakt Karkat Ke Mahatvpurn Tathyo Ko Jane
Blood Cancer Causes in Hindi: Janiye Iske Mukhya Karan
Blood cancer khun ya fir bone marrow mai hota hai. Cancer koshikaye khun mai dheere dheere badti jati hai. Ye cancer koshikaye kabhi samapat nahi hoti hai. Balki samay ke sath aur bhi vikral roop leti jati hai.
Blood cancer teen prakar ke hote hai. -1. Leukemia 2. Lymphoma 3. Multiple Myeloma!
Cancer kisi bhi aayu mai ho sakta hai, parantu 30 ki umra mai iske hone ka khatra jyada hota hai. Janiye iske karano ke bare mai:-
Chemical Ke Sampark mai Aane Se
Iss aadhunik yug mai mashino ne jaha kai kaam ko aasan bana diya hai. Wahi inse nikalne wale hanikark chemicals vatavaran ko dushit kar rahe hai. Kai bar paani mai kitanuo ko marne ki dwai dali jati hai jisse pani nitrate yukt ho jata hai aur isse rakt ka cancer hone ki sambhavna bad jati hai. Cigarette aur petrol ke dhuye se bhi blood cancer ho sakta hai.
You May Also Like:- Bone Cancer in Hindi: Janiye Iske Prakar, lakshan Aur Upchar
Chemotherapy
Chemotherapy karwane se blood cancer hone ki sambhavana aur adhik badh jati hai. Lever cancer ya breast cancer hone par chemotherapy karwane se blood cancer hone ka khatra badh jata hai. Kyuki chemotherapy ki dawai cancer koshikao aur dusri koshikao mai antar nahi kar pate hai.
Aanuvashik Karan
Anuvanshikta ke chalte bhi is blood cancer se grasit hone ka khatra badh jata hai. Yadi kisi ko ghar mai cancer hai to uske aane vali pidhi ko bhi blood cancer ho sakta hai. Blood cancer sharir mai dheere dheere kai salo tak failta hai.
Radiation Kirno Ke Karan
X-Ray ya kisi aur radiation kirno ke sampark mai aane se blood cancer ka khatra bad jata hai. City scan ya radiation therapy se bhi blood cancer hone ka khatra rehta hai. Kyuki radiation se niklne wali kirne rakt koshikao ko samapt kar deti hai. Aur isi wajah se blood cancer ho jata hai.
Blood Cancer Symptoms: Janiye Iske lakshan
Bado ki tulna mai yeh bimari baccho mai jayada hone ki sambhavna hoti hai. Iske shuruvati lakshan hai bhukar aana, chakkar aana, Khun ki ulti hona aadi. Yeh bimari dheere dheere ya fir teji se bhi bad sakti hai. khun ka test karwa kar aap is bimari ke bare mai pata kar sakte hai.
Blood Cancer Ke Lakshan in Hindi mai bataye to, yadi aapko blood cancer hai to haddiyo aur jodo mai dard hone lagta hai. Aapko bar bar sankaraman hota hai, raat ko pasina aata hai aur vajan kam hona bhi blood cancer ka mukhya lakshan hai.
Khun ki koshikao ke teji se nasht ho jane ke karan anemia rog ho sakta hai. Jisse lever mai sujan aa jati hai. Pidit vyakti ka vajan kam hone lagta hai. Agar aise lakshan aapko dikhai dete hai to rogi ko turant doctor ke pass leke jana chahiye.
Blood Cancer Treatment in Hindi: Rakt Karkat Ka Illaj
Blood cancer kaise hota hai ye to pata abhi tak nahi chal paya kintu ye kin kin karno se ho sakta hai. Uska jarur pata chal gaya hai. Leukemia blood cancer 4 prakar ka hota hai. Jaise Acute lymphocytic leukemia, Chronic lymphocytic leukemia, Acute myeloid leukemia chronic myeloid leukemia. Blood cancer ka illaj uske prakar par bhi nirbhar karta hai. Blood cancer Ka illaj karte samay ye bhi dhyaan rakhna jaruri hai ki pidit vyakti ki umar kya hai.
Biological Therapy
Blood cancer se pidit vyakti jab dawai leta hai to use biological therapy kehte hai. Iss therapy ko karne se sharir ki rog pratirodhak shamta bad jati hai. Iss therapy ke andar maans mai dava ko series ke jariye sharir mai pahuchaya jata hai. Ye khun mai leukemia koshikao ki gati ko dheema kar deta hai. Pidit vyakti ke rog pratirodhak tantra ko shakti deti hai. Yadi aapne is dava ke sath koi aur bhi dawai li hogi to iske dushparinam ho sakte hai.
Stem Cell Transplant
Blood cancer ka illaj stem cell transplant ke dwara bhi kiya ja sakta hai. Iss therapy mai aapko high dose dawai di jati hai. In high dose dawai ki wajah se leukemia koshikaye aur bone marrow dono prabhavit hoti hai. High dose chemotherapy aur radiation therapy lene ke lambe samay bad aapko swasth koshikaye milti hai. Stem cell transplant se nayi koshikao ko banaya jata hai.
You May Also Like:- Symptoms of Pancreatic Cancer: Jane Iss Bimari Ke Lakshan
Yog Ke Dwara Kare Illaj
Shuruwati dour mai aapko pata chalta hai ki aapko cancer hai to aapko anulom vilom ka abhyas din mai 3 se 4 bar karna chahiye. Aur raat ko sote samay bhi kam se kam 5 minute tak anulom vilom ka abhyas kare. Iske alava aapko Kapalbhati, bhastrika, nadi shodan pranayam aur 5 minute ke dhyaan ko apni dincharya mai shamil kare.
Jitna adhik ho sake swasth aur sada bhojan ka sevan kare. Apne bhojan mai tulsi, neem ki patti, gehu, jwaar, ya aleovera ke sath milakar sevan kare. Tulsi aur neem ka sevan jari rakhe. Kyuki ye chemotherapy jaisa asar karta hai. Dhyan rakhe vayu pradushan se dur rahe aur saaf pani ko piye. Aap kisi yog guru se yoga ki aur bhi kriyao ke bare mai jan sakte hai.
Cancer se Bachav Ke Liye Rakhe inn Baato Ka Khayal
- Cancer se bachav ke liye kuch baato ka khas dhyan rakhna chahiye. Taki cancer jaisi bimari ka aapko samana na karna pade.
- Dhumrapan karne se bache ya dhumrapan karne wale ke sampark main na aaye.
- Jis tel ya ghee ka istemal aap kuch khadya padharth talne ke liye kar chuke hai unhe wapis upyog mai naa le.
- Guthkha, pan-masala, tambaku, sharab ka sevan na kare.
- Dushit pani ke sevan se bhi cancer ho sakta hai.
- Aluminum aur plastic ke bartan mai bahut adhik sevan karne se bhi cancer hone ka khatra hota hai.
- Dant, maldwar, kan, aankh yani sharir ki acchi tarah saaf safai rakhne se bhi cancer ho sakta hai.
- Apni shamata se jyada kaam karne aur aaram ko na karne se bhi cancer ho sakta hai.
- Basi bhojan ya kai dino tak fridge mai rakhe khadya padartho ka sevan karne se bhi cancer hone ki sambhavna bad jati hai.
Upar aapne jana Blood Cancer in Hindi, iske prakar, iske lakshan aur anya baato ke bare mai. Iss samasya se bachne ke liye uchit khanpan aur vyayam ko kare. Tatha uprokt koi bhi lakshan dikhai dene par bina der kiye chikitsak ko dikhaye.