Home Remedies for Stammering: Haklane ke Gharelu Nuskhe
Stuttering ya Haklakar bolna ya atak-atak kar bolna, yeh tino problem ek hi wajah se hoti hai aur wo hai vaak shakti mai gadbadi. Stammering ki problem mai bolne wala, bole hue shabdo ko dohrata hai yaa unhe lamba karke bolta hai. Haklane wala ya totala kar bolne wala, bolte-bolte ruk sakta hai.
Stammering ki problem mostly baccho mai dekhi jati hai. Parents apne baccho ki stammering ki problem se pareshan ho jate hai aur tension mai aa jaate hai. Bacche bhi iss problem ki wajah se apna self confidence kho dete hai.
You may also like:- Home Remedies for Hiccups: Hichki Rokne ke Upay
Hum aapko batane jaa rahe hai kuch Home Remedies for Stammering:-
Symptoms of Stammering: Haklane ke Lakshan aur Indication
- Kisi word ya sentence ko start karne mai problem hona, kuch shabdo ko bolne se pahle hichkichahat mahsoos karna, apni baat tez gati se bolna.
- Bolte samay tez gati se aakhe bhichna, pairo ka jameen par thapthapana,jabde ka hilna etc.
- Kuch aawaz nikalne se pahle ‘oooh’ jaisa vismaybodhak shabd ka baar baar istemaal karna.
Gharelu Nuskhe for Stammering: Haklana, Totala Bolne ke Upchar
Green Coriander
Hara dhaniya aur amaltash ke gude ko pani mai pisskar usi pani se 21 din tak lagatar kulle karne se jibh patli ho jati hai aur Stuttering (Stammering) dur ho jati hai.
Green Amla (Myrobalan)
Ek green amla bacche ko roz khilane se haklane ki samasya ko dur kiya ja sakta hai.
Makkhan + Black Pepper
Subah makkhan mai kali mirch ka churna milakar khane se kuch hi dino mai haklana dur ho jata hai.
Cow Ghee
Cow ke ghee se stammering ki problem jaldi thik ho jati hai.
Badam (Almond)
Gali hui badam ko subah makkhan ke saath khaye, isse thode hi dino mai haklahat dur ho jayegi.
Brahmi Oil
Gungune brahmi oil se sar par 30 se 40 minute tak malish kare. Uske baad gungune pani se nahale. Isse stammering ki problem kaafi had tak thik ho jaati hai.
Agar aapke bacche ki stammering ki problem 5 years se continuously chal rahi hai, to aapko avashyakta hai kisi visheshagya ki salah lene ki. Inn home remedies of stammering ke through bhi aapko haklane ki problem se kaafi had tak nijaat milega.
Get more details about Stuttering from Home Remedies.