Acute Lymphocytic Leukemia in Hindi: Rakt cancer ka ek Prakar
Acute lymphocytic leukemia, rakt ke cancer ka ek prakar hai. Ise acute lymphoblastic leukemia ke naam se bhi jana jata hai. Yeh samasya khanskar baccho mai hoti hai kintu yeh bado ko bhi prabhavit karti hai.
Yadi ham iss cancer ki baat kare to iski shuruwat safed rakt koshikao (While Blood Cells) se hoti hai. Yeh cancer bone marrow (asthi majja), jaha par naye rakt koshikao ka nirman hota hai waha attack karta hai.
Anya shabdo mai kahe to Acute lymphoblastic leukaemia (ALL) se grast marij ke bone marrow mai bahut sare immature safed rakt koshikao ka nirman hone lagta hai, jiske chalte naye rakt koshikao ka nirman badhit ho jata hai.
Leukaemia koshikaye rakt par bahut jaldi aakraman karti hai aur sharir ke anya bhago jaise liver, central nervous system aadi mai failti hai. Iss sharir ke inn hisso mai bhi cancer hone ki sambhavana badh jati hai. Kintu wo caner leukemia nahi hota hai.
Iss bimari ke naam ko hi yadi aap gaur se dekhe to isme ‘acute’ shabd ka istemal kiya hai. Jiska arth tivra hota hai. Yane leukemia bahut teji se pragati karta hai. Yadi iska illaj nahi kiya jaye to yeh bimari bahut hi ghatak ho sakti hai. Isse bachne ke liye iske lakshano aur karano ko janna jaruti hai, isliye aaj ke lekh mai ham aapko vistar se Acute lymphocytic leukemia ke bare mai bata rahe hai.
Acute lymphocytic leukemia (ALL) in Hindi: Lakshan, Karan, Nidan
Acute lymphocytic leukemia Symptoms: Iske Lakshan Pehchane
- Pidit vyakti mai samanya thakan hamesha bani rehti hai.
- Isse grasit vyakti ko sankraman ke karan pet mai sujan aa jati hai.
- Vyakti ke sharir ka tapman bad jata hai vajan kam hone lagta hai.
- Vyakti ko saans lene aur chhodne mai pareshani hoti hai.
- Masude, naak, mal tatha mutra aadi mai se khun nikalna shuru ho jata hai.
- Kai bar pidit vyakti ko khade khade ya baithe baithe chakkar aane lagte hai.
- Sharir mai lagatar sankraman bana rehta hai aur sharir mai sujan aa jati hai.
- Laal rakt kanikaye kam hone lag jati hai jisse vyakti anemia ka shikar ho jata hai.
- Kam platelets ke karan thodi si chhot lagne par bhi bahut khun behne lagta hai.
- Kabhi kabhi asamanya koshikaye jodo tatha haddiyo mai dard utpanna kar deti hai.
- Badi hui koshikaye shwas nali par dabav banati hai jisse saans lene mai takleef tatha khasi ki samasya ho jati hai.
- Iss bimari ke hone par chhati mai dard, aur liver mai sujan hone ke karan pet mai pareshani hone lagti hai.
Causes of Acute lymphocytic leukemia: Jane Karan
Iss bimari ke hone ka exact karan ka pata abhi tak nahi chal paya hai, kintu kuch aese lakshan hai jinko dekhkar anuman lagaya gaya hai ki iske karan Acute lymphocytic leukemia bimari hoti hai. Abhi bhi iss bimari ka satik karan janne ke liye vegyanik sodh kar rahe hai.
- Jab kisi cancer ke upchar ke douran ya kisi anya karanwash aapka sharir kisi hanikarak kirno ke sampark mai aata hai to aapko yeh cancer ho sakta hai.
- Kuch chemotherapy upchar aur kuch hanikark rasayan jaise ki benzene, pesticides aadi bhi iss bimari ke hone ka karan bante hai.
- Jab aapke sharir ki rog pratirodhak shamata kamjoor ho jati aur kai tarah ke sankraman aapke sharir ko gher lete hai to aap iss bimari se grasit ho sakte hai.
- Kai logo mai anuvanshik vikar ke karan down syndrome aur fanconi anemia samanya na hokar asamanya rup se vikas karne lagte hai to ALL (Acute lymphocytic leukemia) ho jata hai.
Jane Acute lymphocytic leukemia Treatment Ke Bare mai
Acute lymphocytic leukemia mai safed rakt kanikaye bahut teji se badhti hai, isliye iska upchar bhi jaldi hi karwana chahiye. Lekin iske kai prakar hote hai uske aadhar par hi iska illaj kiya jata hai. Iske alawa iska upchar karne ke liye kai chize jaise vyakti ke anuvanshik lakshan, leukemia koshikaye, vyakti ki umra aur swasth ko aadi ko dhyan mai rakha jata hai. Chaliye jante hai Treatment of Acute lymphocytic leukemia kaise hota hai:-
- Kai logo ko radiotherapy dwara cancer prabhavit shetra par war kiya jata hai.
- Chemotherapy ki dava injection mai dalkar naso ke dwara sharir mai pahuchai jati hai.
- Isko kai alag alag tarike se sharir mai pahuchaya jata hai aur koshikao ko khatam kiya jata hai.
- Kai bar doctor tablet ke rup mai dawa dete hai jise aapko muh mai rakh kar nigalna hota hai.
- Kai bar manspeshiyo mai chemotherapy ko diya jata hai aur cancer koshikao ko mara jata hai.
- Iska treatment 2 ya 3 saal ya aur kitne saal chalega yeh vyakti ke protocol par nirbhar karta hai.
Upar aapne jana Acute lymphocytic leukemia Disease in Hindi. Uprokt jakari mai aapko bataya gaya hai ki iss cancer ke lakshan kya hai aur isse nijat kaise paya ja sakta hai. Yadi aapko ya aapke kisi apne ko yeh bimari hai to yeh jankari aapki madad kar sakti hai.