Janiye Best Skin Whitening Tips Aur Badhaye Apni Skin ka Glow

Aaj har koi sundar, fair aur chamakti hui skin hone ki khwahish karta hai. Lekin is dod bhag bhari zindagi me time hi kaha h, jo apni twacha ka acche se khayal rakh sake. Kai bar hum sochkar bhi apni skin care ke liye time nahi nikal pate.

Aaj yaha aap janege kuch ese easy Skin Whitening Tips jo aapki twacha ko de sakte hai gora nikhar wo bhi bina jyada time diye. Ye tips bilkul natural hai aur aap ise ghar par hi azama sakte hai.

Skin Whitening Tips

Home Made Packs for Skin Whitening – Ab Parlour ki Jarurat nahi

In Natural Skin Whitening herbs ka use aapki twacha ko ek adbhut nikhar deta hai aur kale dhabbo ko kum karne me bhi help karta hai. To ab aap ready ho jao skin whitening  ke liye.

You may also like:- Find the Most Effective and Natural Ways for Underarm Whitening

1.Lemon (Nimboo) – Ye ek natural bleaching agent hai, iska use karke aap chemical bleaching se bach sakte hai. Roz rat ko sone se pehle bas kuch nimboo ki boonde hath me lekar apne chehare pe acchi tarah laga le aur 10 minute bad simple pani se face wash karke so jaye. Aap kuch hi din me dekhenge ke aapki skin fair ho gayi hai aur kale spots bhi kum ho gaye hai.

2.Turmeric (Haldi) – Iska regular use aapki skin ko sone sa nikhar de sakta hai. Bas aapko chahiye ke roz nahane se pehle 5 min ke liye iska paste apne face par laga le. Iska paste banane ke liye, ek chammach haldi le aur usme kuch boonde rose water ki milaye, aap chahe to dudh bhi mila sakte hai. Ab ye paste roz lagaye, kuch hi weeks me aapki skin uski khoi hui rangat fir se pa sakegi.

3.Raw Milk (Kaccha Dudh)– Ye best skin softener hai aur winter me iska use bahut hi effective hai. Ye aapke skin tone ko badi hi aasani se halka karne me help karta hai aur uski shine bhi badhata hai. Aap har din subah ya sham kacche dudh se apani twacha ki 2 minute tak malish kare aur chahe to 15 minute bad twacha ko wash kar le ya fir ese hi rehane de. Is se aapki twacha sara milk absorb kar legi aur kuch hi dino me light aur soft ho jayegi.

4.Honey (Sahad) – Shahad sabse accha moisturizer hai. Ye twacha ki uneven-ness ko bhar kar flawless glow deta hai. Aur twacha ko gora banata hai. Aap chahe to shahad me haldi bhi mila sakte hai, is pack ko 20 minute tak apne face par laga kar rakhe aur fir sade pani se face wash kar le. Yad rahe original shahad ka hi use kare, iske results jyada effective honge.

Kai log apani twacha pe cosmetics ka use karne se darte hai, lekin in gharelu Skin whitening Tips ka use aapko kisi bhi chemical ko apne face pe lagane se rokega aur aap payenge gora nikhar wo bhi kuch minutes me.

Get more details about Skin whitening Tips from Beauty.

Loading...

You may also like...