Makeup Allergy se Bachne ke Aasan Tarike

Kya aap ki twacha sensitive hai? Kya hair color lagate hi aap chikna shuru kar dete hai. Yeh sanket makeup ke ho sakte hai. Kai logo ko aankho me kajal aur chehre par cream lagane se bhi allergy shuru ho jati hai.

Allergy tab hoti hai, jab aapki twacha us cheez ko sahan nahi kar pati hai aur react karna shuru kar deti hai. Iske alawa sharir ka immune system bhi kamjor ho jata hai. Jyadatar logo ko cosmetic ki khusboo aur usme mojud rasayan se allergy hoti hai. Lekin dariye nahi chaliye aaj hum aapko batate hai Makeup Allergy se bachne ke tarike.

Hair dry, body cleanser, mascara, eye shadow, moisturizers, shampoo, lipstick, nail polish, sun scream lotion aur deo me kafi sare chemical hote hai, jo twacha ko nuksaan karte hai.

Aaj hum aapko kuch aise tips batayenge jinse aap iss allergy se bach sakte hai. Vese aapne Makeup Tips and Tricks ke bare me to kahi jagah pada hai. Lekin hum aapko kuch alag baate batayenge.

Makeup Allergy se Dur Rakhe Apni Skin ko

Makup na Lagaye

• Agar aapko Cosmetics se reaction hota hai to, bina makeup ke bhi bahar nikal sakti hai.
• Aap chahe to aankho par kajal laga kar alag sa look pa sakti hai.

Makeup Allergy

You may also like: Masoor Dal for Skin: Lentil ke Fayde Aapki Twacha ke Liye

Patch Test

• Koi bhi makeup product kharidne se pahle ek patch test jarur ka le.
• Is test ko karne ke liye makeup product ko apne kan ke piche vale hisse par jara sa laga kar dekhe. Phir 48 se 72 ghante ka intzaar kare.
• Yadi aapko usse koi jalan ya khujli mahsoos hoti hai, to us product ko na kharide.

Water Proof Product Use Kare

• Agar aap makeup lagate hai to waterproof ya phir chemical free makeup product ko karide aur uska use kare.
• Isse aap Makeup Allergy se aasani se bach sakte hai.

Kapdo par Lagaye Perfume

• Agar aapke sharir par perfume lagane se aapki skin laal pad jati hai ya phir itching hoti hai.
• To hamesha dhyan rahe ki aap perfume ko apne kapde par lagaiye.

Makeup Allergy se Bachne ke Bemisaal Upay

Gumraha Na Ho

• Yadi makeup product par skin specialist dwara parikshan kiya hua mark laga ho to isse gumraha na ho.
• Kyoki iss baat se yeh sabit nahi hota hai ki, is product se aapko koi allergy nahi hogi. Yah sirf ek tarika hota hai, jisse kisi product ki sell badti hai.

Makeup Tool Saaf Kare

• Apne makeup tool ko hamesha saaf rakhe.
• Agar aapka makeup brush ya tool ganda hai aur aapne use kar liya hai to aapko reaction ho sakta hai.

Kajal Lagane ka Tarika

• Agar aapki aankh itni sensitive hai ki jara sa bhi kajal lagane se aankho me pani aane lagata hai to accha hai ki ise use na kare.
• Yadi lagana hai to dhyan rakhe ki, aap kajal ya mascara ko bahut jyada aankho ke andar tak na lagaye.

Upar aapne jane Makeup Allergy se bachne ke kuch aasan tarike jisse ki aap apni skin ko kisi bhi infection se bacha sakte hai.

Get more details about Makeup from Beauty Tips in Hindi.

Loading...

You may also like...