Til ka Tel: Bimariyo ke Liye Faydemand Til ka Tel

Til ka Tel – Hamare gharo me lagbhag har tarah ke tel use kiye jate hai. Chahe vah khane ka tel ho ya sar me lagane ka jese sarso, neem, til, olive oil, soya bin, mugfali, nariyal tel aadi telo me bahut se gun paye jate hai. Inme se Til ka Tel bhi bahut swsthvardhak hota hai.

South India me Sesame Oil khana pakene ke tel ke roop me istemaal kiye jane ke saath hi iska paryog aksar chine, koriya aur kuch had tak southeast asian me bhojan me swad badane ke liye bhi kya jata hai.

Sardiyo ke mosam me til ke tel ki massage karne se thand se bachav hota hai. Yeh tel ka kadha banakar khansi me peene se jama hua cough nikal jata hai. Isi tarah se agar kisi ko bicchu kat le to til ke patte ko piskar dank vale isthan par lagane par jahar utar jata hai. In sab ke alwa til ka laddu bhi banaya jata hai, ise khane se sharir me takat milti hai.

Sesame Oil Benefits: Aapke Liye Til ka Tel ke Bemisaal Laabh

Poshak tatavo se bharpur Sesame Oil ka use alternative medicine, traditional massage aur modern favorite treatment ke liye kiya jata hai. Indian Medical Systems ka manana hai ki, Til ka Tel tanav se sambhandhit lakshano ko shant karta hai. Iss tel me mojoud oxidation inhibitors rakt chap ko control karta hai.

Iske alawa Hindu dharma me, Sesame Oil ko mandiro me devtao ke samne rakhe diye me prog kiya jata hai. Saath hi South India me vishesh roop se, mandir me patharo ke devtao par til ka tel lagaya jata hai. Iska prog keval kale granite se bani dev pratima par kiya jata hai. To chaliye jante hai, Til ka Tel.

Til ka Tel

You may also like: Essential Oil Benefits: Kuch Avashayak Tel ke Fayde

Bhartiya khanpan me til ka bahut mahatva hai. Sardiyo ke mausam me til khane se sharir ko urja milti hai aur sharir sakiye rahta hai. Til me kai prakaar ke protein, calcium, B complex aur carbohydrate aadi tatav paye jate hai. Til ka sevan karne se tanav dur ho jate hai saath mansik durbalta bhi dur ho jati hai.

Iske alawa prachin samay me khubsoorat banaye rakhne ke liye bhi til ka prayog kiya jata hai. Til 3 prakaar ke hote hai kale, safed aur laal.

Til ka Tel ke Benefits: Sesame Oil ke Gunvardhak Laabh

Antioxidant

Til ka Tel antioxidant se bharpur hota hai.
• Virus, aging aur bacteria se jitney bhi nuksan sharir ke bloodstream ke andar pahuch jate hai, yeh usko sabhi ko khatam karta hai.

Hangover se Bachata

• Sesame me sisemin namak tatav paya jata hai, jo ki liver me hone vali bimari se bacahta hai.
• Jo ki jayada sharab peene ke karan ho jati hai.

Diabetes

• 2011 me Sesame Oil Benefits par ki gai ek study ke mutabik batata gaya hai ki til ka tel diabetes patient Ke liye bahut faydemnad hota hai.
• Saath hi ye un patient ke liye laabhkari hai, jo ki Type2 diabetes se pidit hai.

Sesame Oil Benefits

Twacha ki Dekh Bhaal

• Isme Vitamin E aur Vitamin B paya jata hai jo ki twacha ko jawa aur chamkdaar banata hai.
• Saath hi aapki skin ko glow hamesha badta hai.

Gathiya

• Jin logo gathiya rog hai, unko is oil se malish karni chahiye.
• isse sujan kam ho jati hai aur dard hamesha ke liye kahtam ho jata hai.

Mokhik Swasth

• Yeh oil danto ki sadan aur madsudo se khun ko rokata hai.
• Saath hi masudo aur jabdo ko maboot banana ke liye kaam aata hai.
• Saridi Jukham seene me jamav aur sinuses ki problem ko dur karna hai to is oil ko bas sunge le aur phir aap sardi jukham se mukt ho jaye.

Dandruff

• Is oil ko baalo me niyamit soor se lagane par dandruff khatam ho jati hai.
• Sar ki scalp ka infection bhi hamesha keliye hat jata hai.

Sodium me Kami Laye

• Ek study me bayat gaya hai ki sesame oil ka sevan karne se na keval blood pressure kam hota hai.balki yeh sharir me sodium ki matra ko bhi kam karne me asardaar hota hai.
• To jo log sodium ki matra ko kam karna chahte hai, unhe iska use karna chahiye.

Calcium

• Yeh tel haddiyo ko majboot banata hai. Isse sardar bhag jata hai.
• Iske use se PMS syndrome jesi bimariya bhi dur ho jati hai.

Tanav se Mukti

• Agar aap is oil ko niymit upyog karenge to aapka tanav, thakan , neend na aana jese pareshaniya theek ho jayegi.
• To Tension hone par iss tel se malish kare.

Cancer se bachata Hai

• Isme antioxidant tatha praktik padarth hote hai, jo ki cancer virodhi hota hai.
• Isme sharir me cancer cell ki growth nahi ho pati hai.

Malish Ke Liye Useful

• Til tel ko aasani se twacha me sama jane vala mana jata hai.
• Isse shishu ki malish karne se bacche ki growth hoti aur use takat milti hai.

Piles me Laabhkari

Til Ka Tel Benefits ki baat kare to yeh iska bahut dada fayda hai ki, niyamit roop se iska sevan karne se purana piles bhi theek ho jata hai.
• Piles ki problem hone par partidin 2 chammach kale til kopowder khaye aur uske baad thanda pani pijiye. Isse apko jaldi hi aaram milenga.

Blood Ciculation

• Til Tel gada hone ke karan isse malish karne par yeh tel twacha me aasani se mil jata hai.
• Jisse yeh twacha ko andar se poshan milta hai. Til Se bane tel se niyamit malish krane se blood circulation ki prakiya sahi ho jati hai aur mart koshikayo ki marmat bhi hoti hai.

Sesame Oil Benefits: Til ke Tel ke Anya Fayde

Til ka Tel

Kabj

• Kabj ke liye til ka tel bahut faydemand hota hai. Constipation hone par 50 gram til bhunkar pis lijiye phir isme chini milaiye aur iska sevan kijiye.
• Isse aap jaldi hi Kabj ki problem se nijat pa skate hai.

Pet Dard me Faydemand

• Pet dard hone par ek chammach kale til ko kha kar upar se gunguna pani lijiye.
• Aisa karne par aap ko jaldi hi pet dard se aaram mil jayga.

Kan me Dard Hone Par

• Sesame Oil me lahsun ki kaliyo ki teen se char kaliyo bhun lijiye. Phir is tel ki 2 se 3 bunde kan me daliye.
• Isse aapka kan dard jaldi se khatam ho jayaga.

Muh ke Chale Hone Par

• Muh ke Chale se nijat pane ke liye, til ke tel me thoda sa sendha namak mila kar muh ke chalo me lagaiye. Isse muh ke chale theek ho jayenge.
• Yeh bahut hi faydemand dawa hai jo ki is problem se aaram pane ke liye fyademand hota hai.

Fathi Hui Addiya

• Fatti hui aidiya par garam tel me sendha namak milaiye aur phir usme thoda sa mom garam karke milaiye.
• Ab is paste ko apni adiyo par lagaiye. Isse aap ki fatti huye addiya jaldi hi theek ho jayegi.

Upar apne jana Til ka Tel ke Benefits. To bas der kis baat ki aaj se hi is oil ka use kare aur swasth rahe.

Loading...

You may also like...