Guidance for Eyebrow Waxing – Janiye Iska Aasan Tarika

Eyebrow Shaping ab sirf women ka hi concern nahi raha hai, men bhi apani personality ko aur bhi jyada groom karne ke liye eyebrows ko shape dene lage hai. Bahut purane time se brows ko face ke hisab se kai tarah ki methods use karke shape diya jata raha hai.

Purane time me plucker hota tha, jiski help se single hair ko pull karke nikala jata tha aur eyebrows ko shape diya jata tha, halaki aaj bhi plucker ko kuch extra bache hue hair nikalne ke liye use karte hai.

Eyebrow threading, aaj ke time me use hone wala sabse common tarika he. Lagbhag har ladki aur ladka iss method ko follow karte hai, kyuki ye har method se sasta padta hai. Lekin in dono hi methods ke kuch drawbacks hai, jo Eyebrow Waxing ki method dur karti hai.

You may also like:- Come and Find the Best Tips for Painless Waxing at Home

Janiye Eyebrow Waxing Ghar par Karne ki Steps

Waxing mainly unke liye bahut fayademand hai, jinke hairs mote aur kadak hote hai. Is type ke hairs ko plucker ya threading karke nikalana bahut taklif deta hai. Isiliye kuch log waxing ko apanate hai. Parlor me jakar waxing karna bahut kharchila hota hai, isiliye aaj hum janege ki kese kare ghar par eyebrow waxing.

Eyebrow ke liye market me pre-made cold wax stripes bhi milti hai lekin cream wax ka use karna jyada behatar hoga kyuki ye smooth result deta hai, aap ise wax pot me garam kar sakte hai.

Eyebrow Waxing

  • Apani eyebrow ka shape decide kare aur use kajal pencil ya liner ka use karke mark kar le.
  • Ab apani eyebrow ko brush kare aur agar koi hair jyada bada dikhe to use seizer se trim kar de.
  • Ab eyebrow ke aas pas acche se powder laga le.
  • Ab gently aur hair growth ki direction me wax ko apply kare, dhyan rakhe ki jyada thick na apply kare.
  • Ab cotton stripe ko wax ke upar apply kare aur haath se firmly press kare aur hair growth ki opposite direction me stripe ko pull kar le.

Eyebrow Waxing ek semi permanent hair removal tip hai, isme baalo ki re growth me time lagta hai aur aapko kai weeks tak shaping ki jarurat nahi padati.

Agar aapki skin sensitive hai, to kisi beautician se pehale salah le aur janane ki koshish kare ki aapki skin waxing karne layak hai ya nahi.

Waxing karte time dhyan rakhe wax jyada garam na ho aur jaha hair remove karana ho wahi wax lagye. Agar aapne pehale kabhi hath ya per ki waxing ki ho to hi eyebrow waxing ko try kare ya fir kisi ka guidance le aur beautiful rahe!

Get more details about Eyebrow Waxing from Beauty.

Loading...

You may also like...