Sex Health Benefits: Janiye Bemisal Sambhog Ke Fayde

Sex jo hamare rishte ko majbhut banata hai. Saath hi hamare jivan ka anandmand hissa hota hai. Lekin kya aap yeh baat jante hai ki, sex humare swasth ke liye bhi bahut beneficial hota hai? To chaliye aaj hum batate hai Sex Health Benefits.

Jaha do log sambhog ke dwara ek dusre se jud jate hai. Vahi ye aapko healthy rahne me help karta hai. To hum bol sakte hai ki sex aapko mentally aur physically dono roop se healthy rakhta hai.

Sex Health Benefits: Sambhog Ke Swasth Rahne Ke Raaz

You may also like: Premarital Sex: Samay Se Pahle Sambhog Ke Nuksaan

Tanav Mitane Vali Dawa

Sex nimn rakt chap se dimag aur sharir ka tanav mitane me help karta hai. Niyamit sex karne se aapka sharir tanavpund situation ka behtar samna karne lagta hai.Ye aapka blood pressure badne nahi deta. Tanav ka samna karne ke liye sex kriya (youni me ling ka pravesh) ka pravesh jaruri nahi hota. Dusri sex gatividhiya bhi madgaar hoti hai. Manviy sharir ka nikat sparsh bahut araamdai hota hai. Jo surksah ki anubhuti deta hai. Saath hi aapki roj marha ki jindgi ki stithiyo ko behtar tarike se samna karne me help karta hai.

Ek Vyayam Ke Roop Me Kaam Karta Hai

Sex ek vyayam ki tarah kaam karta hai. Kyoki sex ke dowran aapki sabhi maspeshiya khulti hai aur khichti hai. Sambhog aapki atirikt calories jalane me bhi help karta hai. Puri shamta se ki gai sex kriya utni hi calories jalti hai jitni ki aap gym me 15 minutes treadmill chalne par burn karte ho.

Heart Health Ke Liye LaabhKari Hota Hai

Sex blood circulation ko sudharta hai aur cholesterol ka level bhi theek rakhta hai. Sambhog ke douran Heart tej gati se dhadakta hai aur jayada matra me rakt ko pump karta hai. Jisse rakt sanchar tej hota hai. Week me ek bar sex karne se heart attack ki bimari se pidit hone ka khatra kam hota hai.

Sex Health Benefits

Sex Health Benefits: Sambhog Se Hone Vale Swasth Laabh

Feelgood Ka Ahsaas Karata Hai

Sex aapke atmavishvaas ko bhi badata hai. Ek study se pata chala hai ki, ek shaadishuda joda ya ek dusre ke prati vafadar jods ek healthy life jeete hai. Aapsi vafadari me aapko bhavnatmak suraksha ka ahsaas hota hai. Saath hi sambhog ke douran aapko apne saathi ke prati apne mahatvapurna hone ka ahsaas dilata hai.

Immune System Ko Strong Banata Hai

Sambhog aapke immune system ko strong banata hai, saath kai sankraman bimariyo se bachne me help karta hai. Week me ek se do bar sex karne se jardi khansi jese sankaraman rogo se chutkara milta hai.

Dard Nivark ke Roop Me Kaam Karta Hai

Sex Painkiller ke roop me kaam karta hai. Sex oxytocin hormone ko star badata hai jisse happy hormone relies hota hai. Jo aapko kisi dard se chutkar dilvata hai.

Watch Video of Sex Health Benefits Here

Uppar humne aapko Sex Health Benefits ke bemisal fayde bataye hai. To aaj se hi apnaiye sambhog ki iss prakriya ko aur rahiye happy aur Swastha.

Get more details about Sex Health Benefits from Sex & Love.

Loading...

You may also like...