Iron Deficiency Symptoms: Mahilao me Milne Wale Lakshan

Sharir me agar Iron Deficiency Symptoms ho to use pehchanana koi kathin kaam nahi hai, ye aasani se dikh jate hai. Kai baar bina kaam kiye hue bhi thakan lagne ki vajah se hume pata chal jata hai ki sharir me Hemoglobin ki kami ho rahi hai.

Iron ki kami ki vajah se hume anemia bhi ho jata hai. Anemia ki bimari adhikansh baccho ya phir mahilao me dekhi jati hai kyuki mahilaye aksar khane pine par dhyan nahi deti aur Premenstrual ke karan unme kamjori aa jati hai.

Magar Iron ki kami se aap acche aur posthik aahar kha kar bhi bach sakti hai. Iske alawa Iron tablets jo ki doctor dwara di gai ho, use bhi niyamit roop se lene se sharir me Iron ki kami dur hoti hai. Aaiye jante hai Iron Deficiency Symptoms kya kya hai.

You may also like: Healthy Habits for Life: Janiye Swasth Rahne Ka Raaz

Iron Deficiency Symptoms: Mahilao me Iron ki kami ke Lakshan

1) Aakhon ke Samne Andhera Aana

Iron ki kami ki vajah se aakho ke samne andhera chha jata hai aur hume chakkar aane lagte hai.

2) Thakan (Fatigue)

Din bhar bina kaam kiye thakan mahsoos hoti hai. 8 ghante ki neend puri karne ke baad bhi agar aapko thakan ka ehsaas ho to samajh jaiye ki aap me Iron ki kami hai.

Iron Deficiency Symptoms

3) Twacha me Pilapan

Iron ki kami seedhe chehre par dikhti hai kyuki khoon ki kami se sharir me pilapan aa jata hai.

4) Sar Dard

Sar Dard sabse bada Iron Deficiency Symptoms hai. Jab sharir me Iron ki kami ho jati hai tab dimag me khoon ki purti nahi ho pati hai jisse hamesha sar dard hote rehta hai.

5) Kamjor Nakhun

Yadi aapme Iron ki kami hai to sabse pehle nakhun pile dikhenge aur uske baad kamjor ho kar tutne lagenge.

6) Dil ki Dhadkan ka Tez Hona

Jesa ki sharir me khoon ki kami hai, to heart ko pure sharir me khoon pahuchane ke liye jyada mehnat karni padegi. Aise me dil ki dhadkane tez ho jati hai.

7) Aniyamit Period

Jab khoon me kami se Hemoglobin banta hai to sharir jyada se jyada khoon ko bacha kar rakhne ki koshish karta hai. To aise me ya thik se mahavari nahi hoga ya phir ho sakta hai ki Iron ki kami se period miss ho jaye.

8) Saans Lene me Taklif

Hemoglobin oxygen ko khoon ke saath pure sharir me le jata hai. Lekin jab khoon me Iron hi kum banega to saans lene me pareshani hogi.

Aaj aapne jana Iron Deficiency Symptoms jo ki mahilao me hone wali ek problem hai. To aaiye iss pareshani ko dur karne ke liye rahiye fit aur bachiye inn sab lakshano se.

See more details of Iron Deficiency from Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...