Home Remedies for Smelly Feet: Dur Kijiye Pairo ki Gandh

Badbudar pair hum se se bahut logo ki samasya hai. Iska bahut tariko se ilaj karne ke baad bhi yeh badbu reh jati hai. Yeh ek bekar stithi hai jisse ki aap apne jute kahi kholne me bhi asahaj mahsoos karte hai.

Aaiye aisi sharmindagi ko dur karne ke liye hum laye hai Home Remedies for Smelly Feet, aur bhagate hai apne pairo ki badbu ko dur.

Unn logo ke pairo me durgandh aana ek aam samasya hai jo din bhar apne ghar ke bahar rehte hai. Durgandh ka sabse bada karan hai pasina hona.

Manav ke pairo me 2,50,000 sweat gland hote hai jinhe saans lene ke liye hawa ki jarurat padti hai, yadi yeh granthi nahi ho to paryapt hawa nhi mil pati hai aur yehi gandh ka karan banti hai.

Humare pairo me bahut si pasine ki granthi hoti hai au rinse aane wala pasina pairo me bacteria se mil jata hai jo ki badbu ko bada deta hai.

Pairo se aur juto se iss badbu ko dur rakhne ke liye hum laye hai kuch Gharelu Nuskhe, jiske madad se aap iss badbu ko dur rakh sakte hai aur good feel kar sakte hai.

Home Remedies for Smelly Feet: Ghar Par Pairon ki Badbu Dur Kare

Kya aapke pairo badbu aati hai? Kya pairon ki badbu ke karan log aapke paas baithne se katrate hai, agar haa to ghabraye nahi. Iss samasya se nijaat pana ab mushkil ka kaam nahi hai. Yaha hum aapko Home Remedies for Smelly Feet ke kuch aasan upay batayge, jiske madad se aapko iss durgandh se chutkara mil jayga.

You may also like: Beauty Tips in Hindi: Pairo ki Sundarta ko Badhane ke liye

Pasine aur badbu ko dur karne ke liye apnaiye kuch aasan upay aur iss samasya se rahat paiye.

Home Remedies for Smelly Feet-Pairo ki Gandh

  • Baking Soda:

    Yeh bhi bacteria ko marta hai aur pasine ko rokta hai. Aadhi bhari huyi balti me 1tbps baking soda milaye. Isme apne pair rakhkar 20 minute tak bhigoye. Week me kam se kam 2 baar sone se pahale yeh avashya kare. Aap apne pairo par socks pahanane se pahale bhi baking soda chidak sakte hai.

  • Sendha Namak:

    Yeh pairo me chipe huye bacteria ko khatam karta hai. Yeh toxic padarth ko dur karne me madadgar hai. Gungune pani me 2 tbps sendha namak milaye aur isme apne pairo ko 15 minute tak bhigoye. Aap ise bhi pairo par chidak sakte hai aur pairo ko bhi iss pani se dho sakte hai.

  • Black Tea:

    Isme tannic acid ki adhikta hoti hai jisse yeh rom chidro ko band karta hai aur pasina nahi nikal pata hai. Gadhi black tea banakar ek balti pani me dale aur isme 1 tbps namak milaye. Isme lagbhag 1 ghante tak apne pair bhigoye. Yeh badbudar pairo ke liye ek karagar Gharelu Upay hai.

  • Sirka:

    Yeh ek prakar ka acid hai aur bacteria ko badne se rokta hai. Yeh pasine ki badbu ko rokta hai. Ek cup sirka ko aadhi balti gungune pani me dale aur isme apne pairo ko rakhe. Inhe 15 minute tak isme rakhe, 2 week tak sone se pahale yeh rozana kare.

  • Adrak:

    Adrak ko pani me aadha ghante tak ubale taki uske tatva pani me na mil jaye. Aadhi balti pani me iss ghol ko dale. Apne pairo ko isme aadha ghante tak bhigoye, isse aapko pasine se aane wali badbu se rahat milegi. Pairo ki durgandh rokne ke liye yeh sadharan tarika hai.

  • Zinc Ka Sevan:

    Jo log apne aahar me zinc ko shamil nahi karte hai unhe pasine ki samasya jyada hoti hai. Isliye apne aahar me zinc wali chizo ko shamil kare jese palak, nuts, beans, mushroom aadi. Iske niyamit sevan se aap pasine ki badbu se bach sakte hai.

  • Sabun Ka Prayog Kare:

    Yeh aapke pairo ki durgandh ko dur bhagane ka ek accha tarika hai. Din me 2 se 3 baar apne pairo ko jivanurodhi sabun aur garm pani se dhoye. Yeh badbu paida karne wale jivanuo ko paida hone se rokta hai.

  • Foot Scrub:

    Pairo ke badbu ki samasya se bachne ke liye aap scrub ki madad bhi le sakte hai. Adrak , muli aur nimbu ko milakar banaye gaye foot scrub ko pairo par accha se lagaye aur halke haato se massage kare aur phir dho le. Iss scrub ko week me 2 baar pairo par jarur lagaye.

  • Nimbu ka Prayog Kare:

    Humesha ke liye pair ki gandh se chutkara pana hai to roz apne pairo par nimbu ragde. Yeh fungal infection aur gandh ko dur karta hai aur swacchata banaye rakhta hai. Ye badbu dur karne ke liye sabse accha upay hai.

Garmiyo me Badbudar Pairo se Nijaat Pane ke Aasan Tarike

Home Remedies for Smelly Feet

  • Aushadhiya aur Sugandhit Powder Istemaal Kare: Pairo ki badbu ko dur rakhne ke liye accha aushadhiya powder istemaal kare. Medical stores par bahut se anti-fungal aur anti-septic body powder uplabdh hai. Aap iss tarah ke powder laye aur raat ko sote samay aur socks pahanane se pahale ise juto me chidak de.
  • Swacchta Banaye Rakhe: Yeh bhi bahut jaruri hai kyuki badbudar pairo ka sabse bada karan hai bacteria. Office se aane ke baad aur sone se pahale apne pairo ko dhoye jisse ki yeh bacteria jyada nahi failega aur pairo ki badbu dur rahegi.
  • Suti Socks Pahane: Suti socks se pairo ko hawa milti hai aur yeh name ko bhi sukha deta hai. Dusra, suti socks pasine ko sokhti hai pairo ki badbu paida karne wale bacteria ki vraddhi ko rokti hai. Pairo aur juto se badbu hatane ka yeh sabse accha tarika hai.
  • Durgandh Nashak Pad (Wipes) Istemaal Kare: Iss tarah ke pad (Wipes) charcoal ya anya name sokhne wale padartho se bane hote hai jisse ki yeh pasine ko sokh leti hai. Ye bazaar me aasani se uplabdh haiaur yeh jute mai aapke socks ke niche rahati hai. Yeh pure pasine ko sokh leti hai aur isse badbu paida nahi hoti hai.
  • Apne Jute Saaf Rakhe: Home Remedies for Smelly Feet ki baat kare to saaf saafai sabse accha tarika hai iss badbu ko rakne ka. Aap apne juto ko dhoye aur unhe dhoop me sukhaye. Isse badbu paida karne wale bacteria nasth ho jate hai. Suraj ki roshani me sterilization prabav hota hai jisse ki sukhkar fungal aur bacteria khatam ho jate hai.
  • Leather ke Jute Na Pahane: Leather ke juto me hawa paas hone ki jagah nahi hoti hai jisse ki nami andar hi bani rahati hai. Aisa juta pahane jisme hawa ke aane jane ki jagah ho. Badbu paida karne wale bacteria aur pasine ko dur rakhne ke liye yeh behad jaruri hai.

Home Remedies for Smelly Feet ko apnakar aap apne pairo se aane wali durgandh ko rok sakte hai yaad rakhiye pairo ki badbu logo ko aapse dur kar sakti hai. Isliye iss badbu ko apne se dur karne ke liye apnaiye gharelu nuskhe aur swacch rahiye.

Get more details about Smelly Feet from Home Remedies.

Loading...

You may also like...