Bael Fruit Benefits in Hindi: Garmiyo Mai Laabhkari Hai Bilva
Bael ek aushadhiya gun wala phal hai jisko hum Bilva, Aegle Marmelos, Wood Apple ke naam se bhi jana jata hai. Ye phal hard, woody aur taste me mitha lagta hai. Isme protein, beta-carotene, vitamin, thiamine, riboflavin jese poshak tatva moujud hote hai. Ye sehat ke liye bahut hi faydemand phal hai. Aaiye jante hai iske Bael Fruit Benefits in Hindi.
Bael Fruit garmi se rahat dene wale kuch mukhya phalo me aata hai aur garmi me chuki humare sharir me dehydration ka khatra sardi ke mukable kahi adhik hota hai isliye yeh jaruri bhi hota hai ki badalte mousam ke anusar hum apni khanpan ki aadato me bhi kuch jaruri badlav kar le.
Garmiyo me humare sharir ko pani ki jarurat jyada hoti hai kyuki humare sharir se kafi matra me pani aur taral humare sharer se pasine ke roop me bahar nikalta hai aur yeh humare sharer se toxic padartho ko bahar nikalne ka hi ek jariya hai.
Isliye garmi me ek fayda yeh bhi hai ki hume garmi me thandi chize pasand aati hai isliye hum phalo ke juice aur anya taral padarth ke madhyam se apne sharer ko sabhi tarah ke poshak tatvo ki apurti kar sakte hai.
Bael Fruit Benefits in Hindi: Swasth Rahane ke Liye Khaye Ye Phal
Aaiye niche jante hai Bael Fruit Benefits aur banate hai apne sharir ko swasth aur tarotaaza. Adhik jankari ke liye niche diye swasth laabho ko jarur pade:
- Garmi me hum loo (Sun Stroke) ke prabhav me aa jate hai to Bael (Aegle Marmelos) ka sharbat banakar pine se laabh hota hai. Iss se humare sharir ke taapman ko bhi niyantrir karne me aasani hoti hai.
- Piliya rog hone par ayurveda ke anusar bael phal aur pisi huyi kai mirch pilakar pine se bada laabh hota hai. Isko subah-sham dono samay pina chahiye.
- Muh me chale hone ki dasha me bhi agar aap bael ko ubal kar uss se kulle karte hai to muh ke chale me laabh hota hai.
- Moch ya andruni chot hone par bael leaves ko pis kar gud me pakaye aur pultis banakar prabhavit ang par lagane se 3-4 din me badalte rahe. Isse andruni chot me badi rahat milti hai.
- Agar purana anvarog hai to aadhe kacche bael ke phal ka pratidin sevan kare. Isse jadi hi aapko purane rog se chutkara mil jayga.
- Yeh phal supachya hota hai, jo urja se bharpur bhi hota hai isliye iska sevan diarrhea me bhi laabhprad hota hai aur ayurveda ke anusar pake huye phal ke sevan se cough se bhi chutkara milta hai.
You may also like: Kokum Benefits in Hindi: Dhero Guno se Bharpur ye Phal
Bael Juice Benefits: Garmiyo ke Dino me Faydemand Hai Bael Ras
-
Heart Disease:
Ek glass roz Bael ke juice banaye aur usme ghee ko milaye. Iss mishran ko apni daily diet me jarur shamil kare. Iss mishran ko pine se dil ki bimari aur attack dur hota hai aur isse aap swasth reh sakte hai.
-
Cholestrol ko Control Kare:
Bael Fruit Benefits in Hindi ki baat kare to ye cholesterol ke level ko kam karne ke liye sabse jyada faydemand hai. Bael juice se aap apne sharir ke cholesterol ko kam kar sakte hai. Iss ras se hum triglycerides, serum and tissue lipid profiles ko bhi control kar sakte hai.
-
Roganurodhi Sampatti:
Bael juice antimicrobial properties (Roganurodhi Sampatti) ka aham gun hai. Nikala huya ras fungal aur virus sankraman ko niyantrit karne ke liye prayog kiya jata hai. Yeh ras me cuminaldehyde and eugenol shamil hota hai.
-
Anti-Inflammatory Properties:
Bael juice me Anti-Inflammatory gun hote hai jo histamine prerit sankuchan ko kam karne ke liye upyog kiya jata hai. Iss ras ko pine se sujan kam hoti hai aur isse positive result bhi milta hai.
-
Kabj ki Samasya Dur Kare:
Bael phal ka ras pine se kabj aur pet dard ki samasya dur hoti hai. Iska sevan aapki sehat ke liye faydemand hota hai. Garmi ke 2-3 mahine tak roz iska sevan karne se aapki health thik rehti hai. Intestine se toxic padarth ko hatane ke liye iss ras me kuch kali mirch aur namak mila kar piye. Isse aapko kafi fayda milega.
-
Tarotaaza Rakhe:
Iss ras ka niyamit roop se sevan karne se aap fresh mahsoos karte hai aur acidity ki samasya bhi nahi hoti hai. Iss juice ko khana khan eke pahale pina chahiye, isse sharir ki heat kam hoti hai. Garmiyo ke dino me iska ras sehat ke liye faydemand hota hai.
-
Skin Rash Dur Kare:
Yadi aap skin rashes se pareshan hai to iss juice ko roz din me 2 baar piye. Isse aapki skin rash ki samasya se nijaat milega aur khubsoorat twacha prapt hogi.
-
Breast Milk Badaye:
Wood apple juice ko adrak aur jaggery (Gud) mila kar pine se stan me dudh ki matra badti hai. Ye infant mothers ke liye kafi asardar rehta hai.
-
Blood ko Saaf Rakhe:
50 gm pulp juice ko garam pani aur shahad ke saath mila kar pine se sharir ka blood saaf hota hai.
-
Diabetes ko Control Kare:
Iss ras me laxative ki matra adhik payi jati hai jisse blood sugar level control me rehta hai. Yeh pancreas ko uttejit karta hai aur sugar level ko niyantrir rakhta hai jisse diabetes ki samasya nahi hoti hai.
To yeh hai Bael Fruit Benefits in Hindi, jiske prayog se aap apni garmi ko sulabh bana sakta hai aur iska niyamit sevan karne se aap apne sharir ko swasth bana sakte hai.
Bael Fruit se sambhandhit jankari ke liye yaha jaye Food.