Glowing Skin Tips in Hindi, 10 Tips Chamakdar Twacha ke Liye
Glowing Skin Tips in Hindi – Aksar log iss baat ko lekar duvidha mai rahte hai ki, aakhir ek chamakdar twacha kese hasil kar sakte hai. Halaki perfect twacha pana aasan nahi hota hai.
Lekin fir bhi kuch upay aise bhi hote hai jinke chalte aap apna yeh sapna pura kar sakte ho. Jisse aap apni khubsoorti mai chaar-chand laga sakege.
Aisi twacha jisme blood cell nahi hote hai. Iss type ki twacha ke liye aap rozana niche bataye gaye 10 tariko se ek sundar twacha paa sakte hai.
To fir aaiye ajmaye inn tariko ko aur paiye sundar twacha kuch hi dino mai vo bhi bas kuch aasan se tariko se. Lekin yaad rakhiye yeh tarike tabhi kaam aayge jab aap smoking nahi karenge.
Vese chamakdar twacha aksar har ladki ka sapna hota hai. Kai ladkiya ki itni saaf twacha hoti hai ki aksar unhe dekhne vale log chouk jate hai. Aapko lagta hoga ki yeh twacha unko virasat mai mili hai. Lekin aisa nahi hai kisi bhi ladki ki twacha aasani se chamakdar ban sakti hai par agar uss par lagatar dhyan diya jaye to.
To kyo na aap acche skin tips ko apna kar apni khubsoorti ko barkarar rakhe. Inn tips mai diet, moisturizing and hydrating sabhi shami hote hai. To kyo parlor mai apne paise ko kharab kare. Bas inn tariko se apni skin ko swasth banaiye vo bina kisi side effect ke.
Glowing Skin Tips in Hindi – Chamakdar Twacha Pana Huya Aasan
Nicche hum kuch steps mai ek acchi twacha ka raaz bataya hai, jinn steps ko apna kar aap ek sundar ladki banane ka sapna pura kar sakte hai.
Step 1 – Aahar Ho Sahi
Glowing Skin Tips in Hindi mai yeh step bahut aham bhumika nibhata hai. Khubsoorat twacha ke liye aapko sehatmand aahar lena chahiye. Aisa aahar jisme Vitamin B, C, E aur K ki prachur matra ho. Yeh sabhi aapki twacha ko chamakne mai madadgar hote . Vitamin B twacha, nakhun aur baalo ka aadhar hota hai. Yeh aapko oatmeal, anda, chawal aur kele aadi se mil sakta hai.
- Vitamin C aapki twacha ko cancer se bachata hai. Yeh aapko khatte phalo mai milta hai. Nimbu, santre, kinu, angur, gobhi aur hare pattedar sabjiya mai yeh paya jata hai.
- Vitamin E aapki twacha ko suraj ki hanikarak kirno se bachata hai. Yeh olive, palak, nuts, beejo aur vanspati telo mai milta hai.
- Vitamin A twacha ki koshikao ko repair karta hai. Vitamin A phalo aur sabjiyo mai bharpur matra mai hota hai.
- Vitamin K aankho ke niche kale ghere ko dur karne mai bhi madad karta hai. Vitamin K hari pattedar sabjiyo, dairy product aur meat mai milta hai.
You may also like:- Vitamin E se Banaye Apni Sehat ko Faydemand
Step 2 – Adhik Dudh ka Sevan
Aapko apne aahar mai sabjiya, nuts, chawal aur ande aadi mai milta hai. Isse aapki twacha ko chamak milti hai. Iske saath hi aapko dudh ka sevan bhi adhik karna chahiye. Isse aapki twacha ko chamak milti hai.
Step 3 – Sunscreen Lagaye
Sunscreen lagaye bina ghar se bahar na nikale. Iske saath hi sar par topi jarur lagaye sirf phalo aur sabjiyo se hi kaam nahi chlata hai. Aapki kuch savdhaniya bhi bartani hogi. Aapko hamesha yeh baat yaad rakhni hai ki, aapki cream 30 se 40 SPF ki honi chahiye. Behtar hoga ki aap water proof sunscreen lagaye. Ek saath bahut jyada cream na lagaye. Adhik dhup ke samay suraj ki roshani mai jane se bache. Isse aapki twacha par kafi kharab asar padta hai.
Step 4 – Apni Twacha ko Pahchane
Apni twacha ke prakaar ko pahchane. Dekhiye aapki twacha kis type ki hai jese oily, rukhi ya sensitive hai. Iske liye aap internet se kitabo tatha Doctor ki madad le sakte hai. Har prakaar ki twacha ko alag-alag prakaar ki dekhbhal ki jarurat hoti hai. Aapko usi hisab se apni twach ki dekhbhal karan chahiye. To hum bol sakte hai ki,yeh step ek acchi Glowing Skin Tips in Hindi mese ek hai.
Agar nayi cream tatha kisi bhi cheez aapki twacha par rashes pad jate hai to aapki skin bahut sensitive hoti hai. Agar aapki twacha par oily chamak. Ya vo bahut dal najr aa rahi hai . Saath hi sabse dhyan rakhne ki baat hai ki agar aapko aye din pimple hote hai to iska artha hai aapki twacha oily hai.
Saath hi sabse badi baat hai ki agar aapko har time cream lagne ki jarurat hoti hai, iska matlab hai ki aapki skin rukhi hai.
Step 5 – Toner ka Use Kare
Toner ka istemaal karna koi bahut jaruri nahi hai. Iss baat ko hamesha khayal rakhe ki, aap chemical yukt padarth ka use na kare.
Step 6 – Jyada Cream Na Lagaye
Apni twacha ko din mai 2 se 3 baar jarur dhoiye. Saath hi skin par jyada cream na lagaye. Isse aapko skin bahut jyada oily najar aayegi.
Glowing Skin Tips in Hindi – Swasth Twacha Pane ka Raaz
Step 7 – Pani Hai Anmol
Pani ek bahut aacha cleanser hai. Vishekar oily skin ke liye yeh kafi madadgar hota hai. Garam pani oily twacha ke liye faydemand hota hai. Vahi gunguna pani har prakaar ki twacha ke liye laabhkari hota hai. Nahane ke baad cream jarur lagaye. Subah sham apna chehre jarur dhoye. Aap Chahe to din mai bhi apna chehra dho sakte hai. Lekin dhyan rahe ki chehre ko ddhone se pahle apne haatho ko jarur saaf kar le.
Step 8 – Apni Twacha Mask Lagaye
Week mai ek baar apni twacha par mask jarur lagaiye. Iske liye aap apne chehre par aacha sa home made mask bnakar lagaiye aur steam le. Lekin dhyan rahe ki, chemical yukt products ka use na kare. Agar aapki skin sensitive hai to chehre par dahi nahi lagana chahiye.
Step 9 – Week Mai 2 Baar Scrubbing
Skin ko week mai do baar rab jarur kare. Isse aapke chehre ki dead skin cell bahar nikal jati hai. Saath hi acne ki shikayat bhi khatam ho jati hai. Bahut jyada sakhta haatho se apni skin ko na ragde. Isse twacha ka natural oil khatam ho jata hai.
Step 10 – Organic Food
Glowing Skin Tips in Hindi ki baate to yeh tarika sabse pahle aata hai. Aapki twacha ke liye accha hoga ki aap organic food ka sevan hi kare. Khoob sara pani pijiye jisse aapke sharir ki saari gandagi bahar nikal jayegi aur aapki skin chamakdar aur safed ban jayegi.
Inn 10 upay se aap apni skin ko apna kar aap sundar dikh sakti hai. To bas der kis baat ki aaj se hi inn tariko se apni skin ko khubsoorat banaiye aur hamesha sundar rahiye.