Liposuction: Motapa Kam Karne ke Liye Adhunik Surgery
Motape ko kam karne ke liye aaj kal log bina kuch soche samjhe Liposuction ki aur kadam badate huye nazar aa rahe hai. Yeh surgery America aurt Britain mai samanya tour par hone wala cosmetic operation hai.
Yeh surgery USA ke famous celebrities dwara chalan mai aai thi aur ab yeh duniya ke kone-kone mai ki jane lagi hai. Aaiye jante hai Liposuction Side Effects aur uske baare mai kuch jaruri baate.
Liposuction ko Lipoplasty ke naam se bhi jana jata hai. Iss surgery ke kuch acche prabhav bhi hai to kuch bure prabhav bhi hai. Isliye agar aap bhi apna dream figure pane ke liye iss surgery ka sahara lena chahti hai.
Aniyamit dincharya aur jivanshaily ke karan bado ke saath bacche bhi tezi se motape ke shikar ho rahe hai. Charbi badne ka karan fast food ka sevan aur vyayam ka abhav hai. Fast food khane ke baad jiss anupat mai mehnat karni chahiye, wah hum nahi karte hai, jiska parinam yeh hota hai ki humare sharir par charbi bad jati hai. To aaiye jante hai iss surgery ke baare mai adhik jankari.
Liposuction Kya Hai?? Janiye Iske Baare Mai Sahi Jankari
Kam samay mai motapa kam karne ki taknik Liposuction. Isme sharir ke vibhinn hisso se atirikt fat ko bahar nikalkar sharir ko sudol banaya jata hai. Iss taknik mai jangho, kulho, pet, gardan, kodhi, chati aur kamar par se charbi ko kam kiya jata hai.
Liposuction Process: Janiye Iske Puri Prakriya
Iss prakriya mai chikitsak sharir ke chupe hui jagah mai chote chidra banakar adhunik upkarano ki madad se atirikt fat ko bahar nikal dete hai. Aapke sharir ki charbi ko kam hone mai kitna waqt lagega, yeh iss baat par nirbhar karta hai ki aap kitne mote hai.
Liposuction Karane se Pahale Inn Baato ko Khayal Rakhe
Yeh ek shalya chikitsa hai. Ise karane ke liye plastic surgen se paramash kar lena uchit rehta hai. Liposuction karane se pahale yeh jankari kar le ki yeh aapke sharir ke liye faydemand rahega ya nahi. Aisa na ho ki aapko isse koi fayda na ho balki aapke liye pareshani bad jaye.
Kesa Hota Hai Iska Upchar: Janiye Iske Upchar ki Sahi Jankari
Liposuction mai surgery karne se pahale vyakti ke sharir ki janch ki jati hai. Blood Pressure aur Sugar level ke normal rahane par hi operation kiya jata hai, jisse sambandhit vyakti ko koi pareshani na ho. Isme ek suction machine ke jariya joda jata hai.
You may also like:- Janiye Kuch Simple Step mai How to Reduce Face Fat
Sharir ke jiss hisse se fat nikalni hai, waha chuoe sthano mai chote-chote chidra banaye jate hai. Inn chidro ke madhyam se atirikt charbi ko kam kiya jata hai. Iss treatment ki khaas baat yeh hai ki isme koi taka (Stitch) nahi aata hai.
Kese Kare Iss Surgery ko Karane ke Baad Dekhbhaal
Liposuction Surgery karane ke baad kai baar chidro se khoon ka risaav bhi hota hai, lekin aisa hone par gharbane ki jarurat nahi hoti hai. Yeh pareshani kuch samay paschat khud hi thik ho jati hai. Iss surgery ke jariye sharir ko sudol banane ke baad niyamit vyayam bahut jaruri hota hai. Saath hi aapko apne khaan-pan par bhi niyantran rakhna chahiye.
Liposuction Side Effects: Iss Bimari Se Hone Wale Nuksaan
-
Nishaan Pad Jata Hai:
Surgery karwane par twacha par gahare nishaan pad jate hai. Yrh nishaan usi jagah par padte hai jaha se charbi ko nikalne ke liye pipe ko andar dala jata hai. Wese to yeh nishaan aakar mai chota hota hai lekin phir bhi yeh gahra hota hai. Yeh bahut jaruri hai ki agar aap iss surgery se gujare hai to aapko suraj ki kirano se bachna hoga warna sharir par tanning ki wajah se yeh nishaan aur bhi dark ho jayega.
-
Sujan aur Chhot:
Surgery ke baad aap dekhege ki jiss jagah par tanke lagaye gaye hai waha par chhot ke nishaan, sujan aur twacha mai badlav aa chuka hoga. Yeh jyada khatarnak nahi hote kyuki yeh kewal kuch dino ya phir hafto ke liye hi sharir par rehte hai.
-
Gadde Padna:
Agar doctor unexperienced hai to wah yeh galti kar sakta hai jisse sharir par dimple pad sakte hai. Iss gadde ko baad mai thik karne ke liye wah non surgical liposuction vidhi apnate hai jisse patient ko dubara ghav ki pareshani na jhelna pade.
Upar aapne jane Liposuction Side Effects, uski prakriya, uski dekhbaal se judi kuch jaruri baate. To agar aap bhi iss surgery ko karwana chahte hai aur apna motapa kam karna chahte hai inn baato ko avashya pade.
Liposuction se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Weight Loss.