Bridal Makeup Tips in Hindi: Dulhan ki Sundarta ko Nikhare
Har ladki ki tamanna hoti hai ki wah apni shadi mai khubsoorat dikhe aur dulhan ki asli khubsurti nikharta hai Bridal Makeup Tips in Hindi.
Aamtor par shadi mai khubsoorat aur sabse alag dikhne ki chahat mai dulhan ke chehre par makeup ki itni moti parat chadha di jati hai ki dulhan ka chehra makeup se safed lagne lagta hai.
Isliye dhyan de ki dulhan ko aisa makeup kiya jaaye jo uski sundarta ko nikhare na ki uska look hi badal daale.
Bridal Makeup Dulhan ki twacha aur makeup ke anuroop hona chahiye. Dulhan ka makeup khaskar thik prakar se ho uske liye aapko kuch vishesh chizo ka dhyan rakhna chahiye. Aaye hum aapko batate hai Dulhan ki sundarta ke liye khas Bridal Makeup Tips.
Bridal Beauty Makeup Tips in Hindi: Anmol Sondarya Prasadhan
Makeup Se Pehle
Bridal Booking 4-5 hafte pehle karaye taki soundarya visheshagya aapki twacha anuroop jankariya de sake. Makeup se pahle face treatment aur twacha ki grooming awashya kare. Makeup se pahle apne face par baraf laga sakte hai jisse ki makeup tika rahata hai.
Raat aur Din Ke Samaye
Makeup sundarta ko nikharne ke liye kare na ki apni vastvikta dabane ke liye. Agar aapki shadi din ke samay hai to makeup thoda halka aur raat mai hai to makeup thoda gehra rakhe.
Dressup ke Anusar Makeup
Dressup aur skin tone ke anusar makeup prarambh kare. Bridal Makeup Tips mai dress ka rang, design aur matching jewellery ka talmel hona bahut jaruri hai.
- Eye makeup karte samaye apni aakho par foundation lagaye. Isse aankhe sundar dikhengi. Eyebrows ka makeup pura makeup hone ke bad kare. Palko par transparent maskara lagane se aapki aankhe attractive lagengi.
- Aap chahe to eye lens ka istemal bhi kar sakti hai. Isse aapki aankhe aur bhi adhik aakarshit lagengi.
Face Makeup
- Shadi ke wakt kaafi thakan ho jati hai jiske chalte chehre par thakan dikhti hai. Aese mai instant hydration ke liye face mist jarur rakhe aur kuch kuch der mai spray kare.
- Apne face aur neck ke liye sade compact powder ki jagah loose shimmer powder lagaye. Sath hi yadi aapko chick bones ko highlighted dikhana chahte hai to dark bronzer ka prayog kare.
Lip Makeup
Lipstick ka color dress up ke anusar hi prayog mai le. Lip makeup ke liye lipstick ke pahle lip base lagaye, fir liner lagakar shade ko fill kare. Uske bad shiner, lipstick ya lip gloss ka istemal kare.
- Yadi sham ki shadi hai to coral lip ka prayog karna aapke liye accha hai.
- Agar aap chahti hai ki aap apni shadi mai beautiful ke sath bold bhi lage to red lipstick ka chuav kare.
- Yadi aapke honth mote hai to outline thode andar ki taraf lagaye wahi yadi honth patle hai to outline bahar ki taraf lagaye.
Ek Najar Iss Par Bhi
Thand Ke Dino mai | Red Lipstick, Terracotta Cheeks |
Smokey Eyes Ke Liye | Shimmer Grey Eye shadow, Peach Color Blush |
Fresh Look Ke Liye | Pink Blush, Shimmer Gold Eye Shadow |
Romantic Look Ke Liye | Glossy Lips, Pink Blush, Purple Eye Shadow |