Swimming ke Douran Twacha Par Tanning Dur Karne ke Upay

Tairaki karna swasth ke liye accha mana jata hai. Lekin swimming ke jitney fayde hai to kuch nuksaan bhi hai. Tairaki se aapko kai swasth samasyaye bhi ho sakti  hai, itna hi nahi tairaki ke douran aapko sabse adhik samasya hoti hai tanning ki. To aaiye swimming ke douran tanning ko dur karne ke liye kuch behatrin upay ko jane aur jane Swimmers Skin Care Tips.

Tanning se aapki twacha kharab ho sakti hai. Haalaki tanning ke karan kai aur bhi ho sakte hai, lekin mukhya karano mai tairaki ko hi mana jata hai. Tairaki ke douran twacha par tanning na ho iske liye aapko kuch upay apnane honge.

Aamtour par tanning ka matlab hai twacha ka kinhi karano se dark hona. Yani aapki twacha ka gora rang kala pad jana. Kai baar tanning tez dhoop ke karan hi pad jati hai, jise aap sun burn bhi kehte hai. Haalaki surn burn se twacha jalti hai aur ekdam laal ho jati hai, isme kai baar rashes ya laaldane bhi ho jate hai, lekin tanning mai twacha din-pratidin kali padti jati hai.

Tanning kisi bhi umra mai ho sakti hai aur iske hone ke karan bhi alag-alag ho sakte hai. Tanning aamtour par niyamit roop se swimming karne aur tez dhoop mai nikalne se hoti hai.

You may also like:- Beauty Tips in Hindi: 5 Minutes Me Paiye Damakti Twacha

Swimmers Skin Care Tips : Tanning se Bachne ke Aasan Upay

  • Tanning se bachne ke liye jaruri hai ki aap apni twacha ki sahi se dekhbhal kare.
  • Aapko chahiye ki aap jab bhi swimming karne jaye to body par acchi tarah se moisturizer lagaye.
  • Jab swimming karke bahar aaye to aapko acchi tarah se saaf pani se nahana chahiye aur twacha par tanning ko dur karne ke liye moisturizer lagana chahiye. Ise aapki twacha swasth aur tanning mukt rahegi.
  • Tanning ko dur karne ke liye aap sun screen ka lotion ka istemaal nahi kar kar sakte hai kyuki isse aapko koi laabh nahi hoga.

Swimmers Skin Care Tips

  • Tanning se bachne ke liye aapko swimming pool se aane ke baad to nahana jaruri hi hai, iske liye aapko swimming pool mai jane se pehle bhi nahana jaruri hai.
  • Tanning se bachne ke liye aapko akhrot ki giri ka powder aur chawal ka aata le aur isme muli ka ras, chach aur kuch gulabjal ki bunde milakar paste bana le. Iss paste ko twacha ki uss jagah par lagaye jaha aapko tanning huya hai, iske baad paste sukhne par thande pani se ise dhoye. Iss prakriya ko niyamit roop se dohraye. Aap payege ki tanning kam ho gaya hai aur aapki twacha pehle se adhik nikhar pane lagi hai.
  • Dhoop mai nikalne se pehle apni twacha ko puri tarah se dhak kar nikale. Jab bhi bahar ja rahe ho to apne aapko cover kare aur swimming pool se aane ke baad tayar hokar jab bahar jaye to puri tarah se cover ho jaye.
  • Darasal swimming pool ko saaf karne ke liye usme kai chemical milaye jate hai jo ki humari twacha ke liye nuksaan dayak hote hai. Aapko chahiye ki swimming pool mai bahut adhik der tak na rahe aur dhyan rakhe ki swimming pool ki samay-samay par safai hoti rahe jisse aapki twacha ko kisi tarah ki koi pareshani na ho aur aap swasth bhi rahe.

Upar aapne jane Swimmers Skin Care Tips. To agar aap bhi tanning ke karan apne chehre ko sahi tarike se nikhar nahi pa rahe hai to apnaiye humare yeh tips aur dikhiye sundar.

Loading...

You may also like...