Mosambi Juice: Charhare Sharir aur Lehrate Baalo Ke Liye
Ham sabhi ko mosambi juice accha lagta hai, kyoki ise pite hi ham tajgi ka anubhav karte hai. Iska khatta mitha swad sabhi ko khub bhata hai. Garmi ke dino ke liye to yeh bahut hi accha hai. Isme cold drinks jaise chizo wale nuksan nahi hote, aur faydo ki baat kare to uski fehrist bahut lambi hoti hai.
Mosambi juice ko sweet lime fruit bhi kaha jaata hai. Yeh dikhne mai aur swad mai thoda thoda santre ki tarah hi hota. Lekin iska swad santre se thoda halka hota hai. Aur iske andar ka hissa bhi thoda thos hota hai.
Mosambi ki baat kare to isme santre se bhi adhik gun hote hai. Aapne bhale hi iska istemal garmi dur karne ya fir chehre par chamak lane ke liye kiya hoga. Lekin ham aapko batana chahte hai ki yeh sharir ka motapa ghatane aur baalo ko sundar banane mai bhi fayemand hai. Aaiye jante hai Mosambi Juice Benefits aapke sharir aur baalo ke liye.
Mosambi Juice Benefits – Sharir Ke Liye Kai Tarah Se Faydemand
Mosambi Juice for Weight Loss : Vajan Ghatane Ke Liye
Kya aapne kabhi socha hai ki aap tasty chizo ka luft utha kar bhi apna vajan ghata sakte hai? Jee haa mosambi ka juice naa keval swadhist pey padarth hai balki yeh vajan ghatane mai bhi madad karta hai. Yeh phal vitamin c aur kai nutrients se bharpur hai jo aapko prabhavi tariko se vajan kam karne mai madad karega.
- Mosambi vajan ghatane mai madadgar Mosambi ke ras ko yadi gungune pani aur shahad ke sath liya jaye to isse aapko sharir ke kuch kilo kam karne mai madad milti hai.
- Mosambi ka juice pine se cholesterol level bhi thik hota hai sath hi sath yeh raktchaap ko niyantrit rakhne mai bhi madadgar hai.
- Mosambi ke juice mai calorie ki matra bahut kam hoti hai. 1 cup mosambi ke juice mai keval 80calorie hoti hai, isliye ise aap subah ka ek accha nashta maan sakte hai. To jab bhi aapka man kare aap bina vajan badhne ki tension kare ise din mai do se teen bar pee sakte hai.
- Isme moujud vitamin c aapko sardi jukham se to bachata hi hai sath hi sath isme aapke sharir ki atirikt charbi ko jalane ke bhi gun hote hai.
- Isse aapka vajan isliye bhi jaldi ghatta hai kyoki yeh aapke sharir se sare vishakt padarth nikal deti hai. Jisse aapke sharir ke ang sucharu roop se karya karte hai aur aapka moptapa nahi badhta.
- Yadi aap ise subah ke wakt lete hai to isse aapka metabolism thik tarike se kaam karta hai. Jiske chalte sharir par atirikt charbi jamne ka tension nahi rehta hai.
Mosambi Juice mai Moujud Nutrients aur Minerals
Carbohydrate | 3% |
Vitamin C | 83% |
Calories | 2% |
Magnesium | 3% |
Copper | 2% |
Thiamin | 6% |
Protein | 1% |
Dietary Fiber | 1% |
Phosphorus | 2% |
Mosambi Juice for Hair Growth: Baalo Ke Liye
Bahut se log yeh to jante hai ki mosambi ke juice se swasthya ko fayda milta hai, lekin bahut kam log jante hai ki isme moujud tatva baalo ke liye bhi bahut faydemand hote hai. Ham aapko bata de ki iska istemal baalo ke kai sare products mai bhi kiya jata hai. Aaiye dekhte hai baalo ke liye Sweet Lime Juice Benefits kya hai:-
- Ham baalo ko saaf karne ke liye shampoo ka istemal karte hai. Baalo ko acche se dhone par bhi iska kuch rasayan baalo par reh jata hai. Yadi baalo ko dhone ke bad mosambi juice se dho liya jaye to wo chemical nikal jate hai.
- Yadi aap chahte hai ki aapke baalo mai chamak aa jaye aur wo mulayam ho jaye to mosambi juice se bana hair pack aapki madad kar sakta hai. Iske liye aapko thoda sa dahi lena hai, fir usme mosambi juice dale. 1 ghanta laga rehne de, fir baalo ko acchi tarah shampoo kar le.
- Jin logo ko safed baalo ki samasya hai unke liye to yeh bahut hi faydemand hai. Mehndi mai mosambi ke ras ko milakar lagane se baalo ko bahut accha rang milta hai. Isme moujud copper baalo ko kala shade dene mai madad karta hai.
Upar aapne jana Mosambi Juice Ke Fayde Baalo aur vajan ghatane ke liye. Iske alawa bhi mosambi juice kai faydo se bharpur hai. Yeh piliya mai faydemand hai, isse twacha acchi hoti hai, isse rog pratirodhak kshamta badhti hai aadi. Isliye rojana ek glass mosambi ka juice peena faydemand hai.
Lekin hamesha iske fresh juice ka hi istemal kare. Aur 2 glass se jyada iska prayog na kare. Nahi to yeh nuksandeh ho sakta hai.