Secret of Weight Loss in Hindi: Janiye Vajan Ghatane Ke Tarike
Kya aap abhi bhi vjana ghatane ki tricks talash rahe hai? Aapne internet par vajan ghatane ke lakho tarike dekhe honge. Kahi aapko vajan ghatane ke liye special exercise karne ki salah di gayi hogi to kahi aapko vajah ghtane ke liye special Weight Loss Diet programs ko follow karne ke liye sujhav diye honge. Aur wahi yadi aapne yog se judi websites ko search kiya hoga to aapko vajan ko ghatane ke liye yog karne ki salah mili hogi.
Aur sahi bhi hai yog aapke sharir ko fit rakhne ke liye jaruri bhi hai. Lekin yeh sab janne ke bad bhi yadi aap is article ko padh rahe hai matlab ki aapko abhi bhi koi proper solution nahi mila hai.
To ham aapko batana chahte hai ki upar jo bhi tarike aapne padhe wo sabhi vajan ghatane mai madadgar hai lekin ek baar vajan badhne ke baad ise ghatana itna aasan nahi hai. Vajan ko ghatane ke liye aapko ek bade package ki jarurar padhti hai jisme dieting, vyayam, yoga sab kuch shamil ho.
Isliye yadi aapka vajan jarurat se jyada badh gaya ho to aapko ghabrane ki jarurat nahi hai ham aapko Secret of Weight Loss in Hindi bata rahe hai.
Secret of Weight Loss in Hindi: Inn Tariko Se Ghataye Vajan
To jab aapne vajan ghatane ka soch hi liya hai to ham aapko aaj vajan ghatane ke sare mukhya tariko ke bare mai batayenge. Aaiye jane weight loss tips in hindi mai.
Subah Jaldi Uthna
Aapke sare plan tabhi safal ho sakte hai jab aapke paas subah ke wakt accha samay ho. Isliye sabse pehle to aapko subah jaldi uthne ki aadat dalni hogi, taki subah ke samay aap apne vyayam aur nashte ke liye paryapt samay nikal sake. Kyoki jo log let uthte hai unhe rojmara ke karya karne mai itna let ho jata hai ki unke liye vyayam ke liye samay hi nahi rehta hai aur wo roj yahi kehte rah jate hai ki ham kal se vyayam shuru karenge.
Subah uthne ke liye aapko paryarpt samay to mil hi jata hai lekin iske atirikt aapko subah ke wakt tazi oxygen bhi milti hai. Acchi matra mai oxygen milne ke karan aapka sharir swasth hota hai.
Vyayam or Yog Ko Apnana
Dusre chran mai ham aapko yeh batana chahte hai ki aapko yadi vajan gahatana hai to aapko subah sham vyayam karna hoga. Vyayam karne se aapke sharir ki atirikt charbi kam hoti hai jisse vajan aur motapa dono dhire dhire kam hone lagta hai.
Yoga: Vajan ghatane ke liye yog sabse karagar aur saral tarika hai. Iski khasiyat yeh hai ki ise har urma ke log kar sakte hai aur isme kisi tarah ka kharch bhi nahi lagta hai. Vajan gahatne ke liye vaise to kai tarah ke yog aasan ko apnaya jata hai.
Bhujangasana– Iss aasan mai aapke sharir ki aakrati phan uthye huye ek sarp ki tarah ho jati hai. Isliye ise Bhujangasana kaha jata hai. Isse pet ki charbi ghatti hai sahi hi yeh ridh ki haddiyo ko bhi majboot banata hai. Isse kabj dur hota hai sath hi peeth ki haddiyo mai rehne wali tamam bimariyo ko dur karne mai bhi yeh madadgar hai.
Iske atrikt chakrasana, dhanurasana, paschimottanasana, balasana aadi aasan ko karne se bhi aapke sharir ka vajan kam hota hai.
Anya Vyayam:Yog karna har kisi ko nahi aata aur ise galat tarike se karne par sharir par galat asar padhta hai. Isliye aap chahe to vyayam ko bhi apna sakte hai. Vyayam mai aap crunches, Aerobics, Jumping, cycling, running aadi kar sakte hai. Yadi iss tarah ke vyayam karne par aap ko koi pareshani hoti hai to aap sadharantah tehal bhi sakte hai.
Paidal Chalna: Subah Sham Paidal chalna bhi aapke sharir ke vajan ko aur badhne se rokta hai. Rojana aap apni chahalkadmi ko 30 minute de sakte hai. Aap dhire chalna chahte hai ya tez yeh aapki choice hai. Dono hi aapke liye faydemand hai.
Lekin sham ka samay aap khana khana khane ke aadhe ghante bad chale. Aur iss wakt aapke chalne ki gati dhimi ho is baat ka bhi khayal rakhe.
You May Also Like:-Ramdev Baba Yoga for Weight Loss – Swasth Jeevan Ke Liye
Vajan Ghatane ke Liye Pey Padharth
Aapne hamesha suna hoga ki vajan ko ghatane ke liye bharpur pani pina chahiye aur yeh sahi bhi hai. Lekin keval pani pee lene se vajan nahi ghtta hai. Vajan ghatane ke liye aapko aur bhi kai Weight Loss Drinks ko apanana hoga aaiye jane wo kya hai?
Nimbu Pani: Nimbu pani bhi vajan ghatane ke liye behtarin tarika hai. Iske liye rojana khali pet ek glass gungune pani mai nimbu aur shahad milaye aur iss pani ko khali pet pee jaye. Isse aapke vajan ko kam hone mai madad milegi.
Vegetable Juice: Yadi aap chahe to vegetable juice ka sevan bhi kar sakte hai. Yeh bhi vajan ko ghatane ke liye sahayak hai. Darahsal mix vegetable juice mai antioxidant moujud hota hai. Jisse aapko bahut fayda milta hai. Lekin accha parinam pane ke liye iska niyamit sevan kare.
Chukandar: Yadi aap vajan ghatane ke sath sath apne chehre par chamak bhi lana chahte hai to chukandar ka sevan start karne mai bilkul bhi der naa kare. Iska sevan karne ke liye thoda sa hara dhaniya, ek chhota sa beet root aur 1 cup kata huwa palak aur ek chammach sea salt ko mix kake juice bana lijiye. Ab ise chhan kar sevan kijiye. Aap chahe to ise tasty banane ke liye isme nimbu ka 2 chammach ras bhi mila sakte hai.
Weight Loss Foods
Vajan ghatane ke liye jitney pey padharth jaruri hote hai utne hi khadya padhart bhi jaruri hote hai. To aaiye jante hai aese koun se aahar hai jinko khane se vajan kam hota hai.
Moong Dal: Moong ki dal sehat ki dhrasti se behad hi faydemand hoti hai. Yeh ek aesi chiz hai jo har ghar mai banti hai. Isme kai vitamin jaise Vitamin A, B aur C tatha calcium, iron aur potassium paya jata hai.
Coffee: Coffee ka naam sunte hi aapko aashcharya ho raha hoga lekin ham aapko bata de ki coffee ka sevan bhi aapke vajan ko badhane mai sahayak hai.
Iska sevan vajan kum karne, tatha behtar swasth pane ki drashti se laabhdayak hota hai. Isliye ab se roj subah apne din ki shuruwat ek cup coffee ke sath kare. Yeh na keval aapko sfurti se bhar degi balki isme moujud caffeine hame urja bhi dete hai. Lekin ek baat ka khayal rahe ki yadi aap wakai apna vajan kam karna chahte hai to coffee mai creams ka istemal naa kare aur chini ki matra bhi behad kam hona chahiye.
Seb: “Eating an apple a day keeps the doctor away” Yeh kahavat aapne nahi suni ho aesa to ho hi nahi sakta. Accha swasthya pane ke liye seb ka sevan behad jaruri hai. Ham aapko batana chahte hai ki swasthya accha karne ke liye hi nahi balki vajan ko ghatane ke liye bhi seb ka sevan faydemand hai.
You may also like:-Weight Loss Foods, Vajan Kam Karne Ke Liye Khadya Padarth
Anya Tarike Inhe Bhi Jane:-
- Nirantata Banaye Rakhe: Vajan Ghatane ke liye naa keval wakt par vyayam karne balki passions ki bhi jarurat hoti hai. Aapko iss baat ka khayal rakhna hoga ki jab thoda thoda karke aap vajan ghatayenge to accha amount mai weight loss kar lenge.
- Sabjiyo aur phalo mai calorie kam hoti hai, Isliye inka sevan adhik matra mai kare. Kela aur chiku na khaye. In sabhi se motapa badhta hai. Pudine ki chai banakar pine se motapa kam hota hai.
- Fat ke alawa noodles, pizza, burger jaise refind carbohydrate aapke sharir ke liye behad hanikar hai. Vajan ghatane ke liye sharab ka sevan naa kare. Kyoki Sharab mai protein aur glucose ki tulna mai doguni calorie hoti hai.
- Kam nind aapko jyada bhukh ka ehsas dilate hai. Nind naa puri hone ke karan Harmon sahi tarah se kaam nahi kar pate hai. Jiske phalswarup hame jaldi bhukh lagti rehti hai. Jyada khane se pachan ki dar ghat jati hai. Isliye vajan ghatane ke liye jaruri hai aap acchi nind le.
- Aapko shayad iss bare mai jankari naa ho. Lekin atyadhik tanav vajan badhane wale sabse pramukh mansik karano mai se ek hai. Vajan ghatane ke liye yeh behad jaruri hai ki aap kam se kam tavan le. Tanav wale hormones hamari bhukh aur khane ke vyavahar mai parivartan late hai. Jyada tavan aapko samay par bhukh lagne ka ehsas dilata hai. Natijan aap anaavyashak chize bhi kha lete hai.
Upar aapne jana Secret of Weight Loss in Hindi. Yadi aap bhi apna vajan ghatana chahte hai to upar diye gaye sare tariko ko apnaye.