Bioresonance Therapy in Hindi: Jane Iski Vidhi Aur Labh

Bioresonance Therapy (BRT) sharir ke parikshan ka dard rahit aur twarit tarika hai. Yeh sharir mai mojud vikratiyo ka pata lagane mai madad karta hai. Bioresonance Therapy in Hindi sabhi prakar ke rogo mai, safalta-purvak ilaj ki sambhavnaye pradan karta hai.

Yeh therapy kai bimariyo, vishesh roop se allergy aur purane rogo ko asani se thik kar rahi hai, jo paramparik chikitsa padhati ke jariye bhi thik nahi ho pa rahi thi. Yeh prakraiya, rogi ki halat ka nirdharan karne ke alawa bimari ke karan ki pehchan karne aur uske vikas ke purvanuman lagane ke liye anumati deta hai.

Bioresonance Therapy, eastern energy medicine, homeopathy aur quantum physics ka concept istemaal karte hai, jo sharir ki swa niyamak pranali (self regulatory system) ko madad karta hai. Yeh sharir ke ghav ko bharne mai sahayata kar, pratiraksha pranali aur koshikao ke bich sanketo ko prerit karta hai.

Bioresonance Therapy in Hindi: Vidhi aur Nidan

 

Bioresonance Therapy

 

Bioresonance Therapy Vidhi

Aaiye jante hai kis prakar se machine ke jariye humare aantrik sharir ke vikaro ki jankari pradanhoti hai. Jane Bioresonance Therapy Method Hindi mai.

  1. Rogi ke hath mai kalam ke saman ek moti electrode rod di jati hai.
  2. Chikitsak hath ke kuch binduo par dabav dalte hai.
  3. Chikitsak samanya sanketo ka vishleshan karte hai.
  4. Rogi ki shikayato ko hal ke karne liye data tayar karte hai.
  5. Yadi aap kisi vishith rog se pidit hai to, usse judi dawao aur addahyan ki jankari lete hai.
  6. Sharir ke ango ko chinhit kar, unka upchar shuru kiya jata hai.
  7. Dawao ke prabhav ki nigrani ki jati hai, taki dawa aur therapy asar ko jacha ja sake.

 

Bioresonance Therapy in Hindi: Nidan aur Labh

Yeh vidhi sharir ki koshikao par vidhut chumbkiya shetra banata hai. Iss chiktsa ka yantra sharir ki koshikao ki ek vishesh bioelectric gatividhi banata hai. Bioresonance Testing yantra manav ango aur masthishk sanrachna ke sakriyan mai pratikriya ke siddhant par banaya gaya hai. Iss vidhi se aap sharir ke utko aur koshikao ke parivartan par apne sharir ke vikas ka palan karne ke liye, rog ki pragti ko niyantrit karne ke liye anumati pradan karta hai.

Bioresonance ka computer nidan jaise X-ray, ultrasound aur city scan ke roop mai paramparagat tariko se hasil nahi kiya ja sakta hai. Yeh sabhi upkaran rog ke prarambhik charno ke doran sharir ke antrik vikaro ki jankari pradan karta hai.

 

You May Also Like: Anemia in Hindi: Jane Rakthinta ke Lakshan aur Mukhya Karan

 

Bioresonance Therapy Benefits:

Iss therapy ke jariye samay ko nasht kiye bina, sharir ke vikaro ki jankari prapt kar sakte hai. Aaiye jante hai Bioresonance Therapy Benefits-

  1. Aantrik vikratiyo ko darshata hai.
  2. Pratiraksha pranali ka mulyankan karta hai.
  3. Sankraman, virus aur bacteria ka pata lagata hai.
  4. Dawao aur unke prabhav ka mulyankan karta hai.
  5. Puri tarah se surakshit prakriya hai.
  6. Samay ki bachat karta hai.

 

Bioresonance Therapy Kaha Kaha Labhdayak Hai

Alcohol, Nicotine, chemical aur kisi bhi prakar ke vyasano ko door karta hai.

  1. Food, alcohol, chemicals, metals ya pravaran se sambandhit jaise grass, petrol se hone wali allergy aur savedanshilta se mukti dilate hai.
  2. Asthma, adhik bukhar, Skin problems ko rokta hai.
  3. Harmon’s se sambandhit shikayate jaise adhik vajan, menstrual and menopausal ke muddo par yeh asar karak hai.
  4. Psycho-immunology: Purane bhavnatmak, mansik aur sharirik aaghat ya tanaw ki samasya ko khatam kar deta hai.
  5. Internal organ diseases aur Eczema / neurodermatitis ko thik karta hai.
  6. Arthritis, migraine aur aantrik sports chot ko thik karne mai sahayak.
  7. Daant aur jabdo se sambandhi ya kisi bhi tarah ke dard ke liye yeh ek prakratik upchar ki tarah hai.

Bioresonance Therapy in Hindi ek bahut hi acchi prakratik upchar therapy hai. Yeh ek khas tarah ki upchar prakriya hai jo chikitsa ke shetra mai ek nayi khoj hai. Iske jariye kisi bhi prakar ki sharirik aur mansik samasya se chutkara paya ja sakta hai.

Loading...

You may also like...