Artificial Sweeteners Bhi Hai Vajan Badhane mai Jimmedar
Jab aap rakt sharkara kam karna chahte hai to aese mai artificial sweetener lena aapke liye faydemand ho sakta hai. lekin yadi aap vajan kam karne ke soch rahe hai to ham aapko bata de ki yeh aapka vajan badha sakti hai.
Aesa kaha jata hai ki katrim shakkar aapki mitha khane ki iccha ko pura karti hai, wo bhi aapki calorie ko badhaye bina.
Par haal hi mai kuch giye gaye sodho mai yeh baat samne aayi hai ki artificial sugar aapko aesa koi bhi fayda nahi deti hai jisse ki aapko vajan ghatane mai madad mile.
Shakkar ko lene se vajan badhta hai aur isi ke vikalp ke liye artificial sweetener hai. To aakhir kyu ise lene se bhi vajan badhta hai. Aaiye jante hai Why Artificial Sweeteners Prevent Weight Loss.
Artificial Sweeteners Prevent Weight Loss: Vajan Ghatne Se Roke
Aap Jyada Calorie Lete Hai
- Yadi ham aapko chocolate pastry dete hai to aap ise kam se kam khayenge yeh sochkar ki isse aapka vajan badh jayega.
- Wahi yadi ham aapko artificial sweetener se bani chocolate pastry dete hai to aap ise jyada khayenge yeh sochkar ki isse aap mitha nahi kha rahe hai.
- Lekin aap yeh nahi jante hai ki bhale hi aap sugar free chize le rahe hai tab bhi aapko bahut sari calorie mil rahi hai carbohydrate aur protein ke roop mai hai.
- Kuch sodho mai bhi yeh baat samne aayi hai ki artificial sweetener se bane aahar aur shakkar se bane aahar mai saman matra mai calorie hoti hai.
- ki yadi aap artificial sweetener istemal bhi kar rahe hai to aapko vajan kam karne mai koi bhi madad nahi milegi.
Artificial Sweetener Aapki Bhukh Badhata Hai
- Kuch sodho mai yeh baat samne aai hai ki mitha khana aapki bhukh ko badhata hai bhale hi aapne mithe mai sugar se bani chiz li ho ya artificial sugar se bani.
- Katrim sweetener ka taste bhi mitha hota hai isliye jab bhi aap ise khate hai to aapko mitha khane ki iccha hone lagti hai aur aap dhire dhire aur mitha khane lag jate hai.
- Jin logo ki sugar badhi hui hai ya fir kahe ki koi madhumeh ka marij hai unhe ise khane se fayda jarur milta hai. Lekin yadi aap lagatar iska istemal karte hai to vajan ghatane ka sapna to fir bhul hi jaye.
- Isliye aap prakratik shakkar se bane chizo jaise ki shahad ka istemal kare. Isse aap jyada mitha khane se bhi bach jayenge.
Vasa Se Bharpur Chize
- Artificial sweeteners jyadatar carbohydrate wale aahar mai istemal ki jati hai jaise ki cake, ice cream aadi.
- Isse bane aahar mai zero calorie hoti hai iska matlab yeh nahi hai ki isme carbohydrate calorie bhi nahi hoti hai.
- Carbohydrate se bharpur aahar insulin ko protsahit karte hai, jo ki koshikao ka urja dene wala ek mahatvapurn hormone hai.
- Artificial Sweeteners and Weight Gain ek dusre ke sath chalte hai. Jitna jyada aap katrim sweeter lete hai utna jyada hi vajan badhne ki sambhavna badhti hai.
Iske Prakar
Aspartame Sweetener: Yeh sabse jyada bikne wala sweetener hai lekin jab ise lene wale log par sodh kiya gaya to parinaam aascharya janak de. Chini ke jagah par istemal kiye jane par bhi isse madhumeh, cancer jaisi chize samne aai hai.
Yeh sweetener ka rang to chini ki tarah hi hota hai, lekin uski mithas chini se jyada hoti hai. Sath hi pakane par iski mithas chali jati hai.
Sucrose Artificial Sweetener: Aapne table sugar ka naam to suna hi hoga. Darahsal wo hi sucrose artificial sweetener hoti hai. Ganne aur chukundar se taiyar ki gaye iss sweetener ke ek chote se chammach mai 16 calories hoti hai.
Acche swasthya ke liye mahilao ko 6 choti chammach aur purusho ko 7 choti chammach se jyada sucrose nahi lena chahiye. Iske bawjud bhi bajar mai milne wali soda bottles mai 11 chammach tak sucrose hota hai. Aese mai vajan ka badhna to tay hi hai.
Sucralose: Yadi aapka rog pratirodhak tantra bahut hi kamjor hai to aapko sucralose ko lene se bachna hi chahiye. Kyoki ise lene se faydemand bacteria bhi nasht ho jate hai. Ham aapko bata de ki yeh sucrose ki tulna mai 600 guna jyada mithi hoti hai. Adhik tapman par bhi iski mithas barkarar rehti hai, yahi wajah hai ki iska istemal baking mai kiya jata hai.
Upar aapne jana Why Artificial Sweeteners Prevent Weight Loss. Ab to aap jaan hi chuke hai ki artificial sweetener aapke vajan ko kis tarah prabhavit karta hai. Isliye yadi aapko lagta hai ki aapka waist line badh gayi hai to sugar sadi hi le aur iski matra kam kar de, sath hi vyayam ko apni dincharya mai jagah de sakte hai.