Ayurvedic Treatment for Weight Gain: Vajan Badhane Ke Upay

Aapne hamesha se logo ko motapa kam karne ke Vishay mai charcha karte hue dekha hoga. Yaha tak ki internet par bhi hame vajan ghatane ke dhero articles milenge. Lekin kya aap jante hai ki kuch log itne patle hote hai ki unhe vajan badhane ke bare mai janna hota hai. Vaise to market mai vajan badhane ke liye kai tarah ki dawaiya moujud hai.

Lekin behatar hoga ki vajan badhane ke liye aayurvedic nushko ka ismtemaal kiya jaye. Isse vajan to badhega hi saath mai aapko kisi tarah ke side effect ka dar bhi nahi rahega. To aaiye jante hai Ayurvedic Treatment for Weight Gain in Hindi, vajan badhane ke kuch prabhavi nuskhe.

Sabse pehle to aapko yeh baat samajhna hogi ki vajan badhane ka koi shortcut nahi hota hai.  Jab aap aayurvedic tarike se apne vajan ko badhate hai to usme samay lagta hai. Isliye aap thoda sanyam rakhe aur bajar mai milne wali dawaiyo ka sevan naa kare. Aesa ho bhi sakta hai ki baajar mai milne wali dawaiyo se aapko turant parinam mile. Lekin isse kai tarah ke dushprabhav bhi ho sakte hai. Isliye inn dawaiyo ke lubhavne vigyapano ke zhase mai na aaye.

Inn Tariko Se Badhaye Apna Vajan

Ayurvedic Treatment for Weight Gain in Hindi

 

 

Vyayam Kare

Kuch logo ko yeh galat fehmi rehti hai ki agar unhe mota hona hai to unhe vyayam nahi karna chahiye. Yaha tak ki kuch log to vajan badhane ke chahat mai khana khane ke turant bad let jate hai. Balki aesa karna bilkul galat hai. Vajan badhane ke iss race mai sabse pehle to aapka fit rehna jaruri hai. Aap vajan badhana chahte hai. Iska arth yeh nahi ki aap physically bilkul bhi sakiray nahi rahe.  Vyayam aur exercise to aapko karna hi hogi. Vajan badhane ke liye sabse badhiya upay hai ki aap high calorie ka khana naa khaye. Aap unn khadya padharto ka sevan kare jinme calorie ki matra adhik ho. Lekin iska matalb yeh nahi ki aap junk food adhik matra mai khane lage. Balki aapko healthy aur high calorie bhojan ko prathmikta deni hai. Agar aap vajan healthy roop se badhana chahte hai to aapko subah ka nasta heavy karna hoga. Chavanpras vajan bhadhane ke liye aaurvedic aushdhi hai. Yeh lagbhag sabhi ke liye aamtour par healthy rehta hai. Isse na sirf sharirik urja badhti hai balki metabolism bhi majbut rehta hai.

Ye Aushdhiya Vajan Badhane Mai Madadgar


Ashwagandha

Yeh ek aesa rasayan hai jo aapki rog-pratirodhak shamta ko majbut karta hai. Ise khane se bhook badhti hai. Aur pachan kriya acchi hoti hai. Yeh tanav bhi samaapt karta hai. Ise Dudh(Milk) ya pani ke saath lene se jyada fayda pahuchta hai.

Aap Yeh Bhi Pad Sakte hai:- Flat Tummy Tips in Hindi -पेट अंदर करने के आसान उपाय

Shatavari Kalpa

Shatavari Kalpa lene se na keval aankho ki muscles acchi rehti hai. Balki isse vajan bhi badhta hai.

Vasant Kusumakar Ras

Yeh bhi vajan prabandhan mai madad karta hai. Isse khane se bhook badhti hai. Aur pachan kriya acchi hoti hai. Yeh tanav bhi samapt karta hai.

Adrak

Adrak swad mai atyadhik tej hota hai. Yeh behad aasani se sabji market mai mil jata hai. Iska prayog bhi pachan kriya ko thik karne ke liye kiya jata hai. Sukhe adrak ko gud ke saath milakar khane se thand aur pet mai dard jaise samsyao se chutkara milta hai. Adrak khane se rakt sanchar bhi badhta hai. Adrak ka prayog bhuk na lagna, apch, pet fulna aur milti mai kiya jata hai. Thand se bachav ke liye adrak bahut labhdayak hai.

You May Also Like:- Benefits of Ginger: Adrak ke Fayde Aapki Health ke Liye

Kirat

Vajan badhane ke liye yeh bahut hi acchi ausadhi hai. Khane mai iska swad kadwa hota hai. Iska sevan karne se bhook badhti hai. Iske alawa pet ki samsya jaise apach ya anya vikar isse samapt hote hai. Kirat ka prayog chhoti aanta ke enzymo mai strav, gastric strav aur pitta ki samasya ke liye prayog kiya jata hai.

Chyawanprash

Chyawanprash mai kai jadi butiyo ka mishran hota hai. Yeh sharir ke liye bahut hi faydemand herbal tonic hai. Iska sevan har umra ke log kar sakte hai. Ise har roj khane se sharir ko urja milti hai aur metabolism mai sudhar hota hai. Dudh ke saath iska sevan karne se sharir ko takat milti hai, aur vajan badhta hai.

Vajan Badhane ke Anya Tips

  1. Vajan badhane ke liye aapko niyamit tour se vyayam aur sair ki aavyashakta hai. Taki aap extra calorie burn kar sake aur santulit roop se apna vajan badha sake.
  2. Vajan Badhane ke liye aapko nasta heavy karna hoga aur dinner halka.
  3. Yadi aapko vakai mai apne vajan ko badhana hai to aapko high calorie, vasayukt bhojan aur protein, mineral ki matra apne khane mai badhani hogi.
  4. Aapko bhook nahi bhi lagti ho fir bhi aapko din mai har do-tin ghante ke antaral mai bhojan karna chahiye.
  5. Aapko adhik se adhik dale, chaval aur khir ka sevan karna chahiye.
  6. Vajan badhane mai hari sabjiya khana bahut labhdayak hota hai. Isse aapki sehat bhi bani rehti hai aur aap aasani se vajan badha sakte hai.



Loading...

You may also like...