Benefits of Donating Blood: Rakt Daan Jivan ka Aham Hissa

Rakt manav sharir ka ek prakar ka taral padarth hai, jo sharir ki koshikao (Cells) ko avashyak poshak tatva aur oxygen pahuchahne ka kaam karta hai aur kharab padarth ko bahar nikalne ka karya karta hai. Rakt ki kami ke karan desh bhar mai har saal laakho logo ki death ho jati hai.

Kai karano se inn dino rakt daan jaruri hota ja raha hai, lekin sabse acchi baat yeh hai ki rakt dene se jarurat mand logo ko jivan daan milta hai, balki raktdata ko swasth laabh bhi prapt hota hai. Aaiye aise jaruratmand logo ko khoon dekar unhe behtar swasth pradan kare aur jane Benefits of Donating Blood.

Rakt mai kai jivan rakshak tatva hote hai jo vibhinn prakar ki bimariyo aur choto ko theek karne mai madadgar hote hai. Kai logo ke liye raktdata unki life line hote hai. Rakt daan karne se kisi ke jivan ko karib se chune ka sundar anubhav prapt hota hai. Yeh wo anubhav hai, jo shabdo mai bayan nahi kiya ja sakta hai.

18 se 60 varsh ki aayu (age) ke swasth vyakti jinka vajan 50 kg se uppar hota hai, wo 450 ml rakt daan kar sakte hai. Purush 3 mahine mai ek baar aur mahilaye 4 mahine mai ek baar rakt daan kar sakti hai.

Shayad aapne pahale kabhi iss baat par dhyan nahi diya hoga ki aapke rakt ki kuch bunde kisi ko jivan de sakti hai. Har dusre second mai duniya bhar mai koi na koi jindagi aur mout se jhujh raha hota hai, aise mai aapka rakt kisi ko jivan daan de sakta hai. Aaiye jante hai iske aneko laabh aur kisi ko de jivan daan.

Benefits of Donating Blood: Janiye Rakt Daan ke Dhero Laabh
Benefits of Donating Blood in Hindi

  • Niyamit antaral par rakt daan karne se sharir mai Iron ki matra santulit rahati hai aur raktdata ko heart attack aur cancer se dur rakhta hai.
  • Blood Donation karna Weight Loss karne wale ke liye bhi faydemand hai. Ek baar rakt daan karne se 650 calorie kharch hoti hai.
  • Blood ko donate karne se Heart Disease ki ashanka 33% kam ho jati hai.
  • Blood Donation karne se Bone Marrow sakriya bana rahta hai, jo rakt nirmann mai sahayak hota hai. Rakt daan karne se sharir mai rakt banane ki prakriya mai tezi bhi aati hai.
  • Isse raktdata vyakti ko vibhinn ango mai cancer ke risk se dur rakhta hai.
  • Yeh cholestrol ko kam karta hai aur rakchap ko niyantrit karta hai.
  • Isse jyada calorie aur fat burn hota hai, aur pure sharir ko fit rakhta hai.
  • Rakt daan karne se na kewal kisi vyakti ka jivan bachta hai, balki rakt data mai nayi koshikao ka srajan karta hai.
  • Isse Iron ka level niyantit rehta hai, jisse rakt gadha banta hai aur usme free radical damage badta hai.

Rakt daan karne se tamam logo ka jivan bachaya ja sakta hai aur unn logo ko jine ki ummid milti hai. Upar aapne jaan hi liya hai Benefits of Donating Blood in Hindi, to aaj se hi swasth rahane ke liye rakt daan jarur kare.

Janiye Kya Aap Blood Donote Karne ke Yogya Hai

Jyadatar log rakt daan isliye nahi karte kyoki unhone rakt daan ke vishay mai apne mann mai galat dharnaye paal rakhi hai. Kuch logo ka to yeh manana hai ki rakt daan karne se Aids ho sakta hai. Rakt daan puri tarah surakshit hota hai, iske liye kitanumukt disposal series ka prayog hota hai. Aaiye jante hai rakt daan se pahale aur baad mai aapko konsi baato ka dhyaan rakhna chahiye:

  • Rakt daan karne wale vyakti ki age 17 saal se adhik honi chahiye.
  • Rakt daan ke liye wahi log yogya hote hai, jinka vajan 45 kg se adhik hota hai.
  • Mahavari ke dour se gujar rahi mahilaye ya bacche ko stanpan karane wali mahilaye rakt daan nahi kar sakti hai.
  • Agar aapne rakt daan ke 48 ghante pahale alochal ka sevan kiya hai to aap rakt daan nahi kar sakte hai.
  • Rakt daan karne wale vyakti ke hemoglobin ka level 12% se adhik hona chahiye.
  • Blood donate karne se pahale smoking na kare.
  • Donation ke baad poshtik bhojan ka sevan kare aur thanda juice piye.

Blood Donation ki Jarurat Kyu Hai?

Blood Donation in Hindi

Ek study ke anusar desh mai har saal 4 crore unit khoon ki avashyakta hoti hai, par mushkil se 40 se 50 laakh unit hi Blood Donation dwara ekatrit ho pata hai.

Har 2 second mai kisi na kisi ko rakt ki jarurat hoti hai aur aise mai har din 38000 raktdatao (Blood Donor) ki jarurat hai, lekin raktdaan ko lekar samaj mai faili bharntiyo aur jagrukata ke abhav mai log blood donate karne ke liye aage nahi aate hai. Par janiye Benefits of Donating Blood aur kiye rakt daan.

  • Rakt jivan rakshak hai. Ab tak kisi aisi machine ka shodh nahi laga hai jo ki rakt tayar kar sake. Kisi raktdata dwara blood donation karne par hi rakt ki kami ya jarurat ko pura kiya ja sakta hai.
  • Har saal crore logo ko rakt ki jarurat hoti hai, par laakho nasib walo ko hi rakt mil pata hai.
  • Sickle cell ke marij ko kai baar Blood Donation ki jarurat padti hai.
  • Akele ek caar accident mai hi 100 unit rakt ki jarurat pad sakti hai.
  • Ek baar blood donate karne ke baad aap 3 logo ki jindagi bacha sakte hai.
  • Agar aap 18 years ke ho chuke hai, to aap har 90 days baad rakt daan kar sakte hai.
  • Bharat mai sirf 7% logo ka Blood group ‘O Negative’ hai. Iss group ko universal donor bhi kahate hai. Kisi bhi blood group ke logo ko O Negative blood group ka rakt diya ja sakta hai.
  • Bharat mai sirf 0.4% logo ka blood group ‘AB’ hota hai. Iss blood group ke plasma ka upyog kisi bhi blood group ke logo ko emergency mai laga sakte hai.
  • Kai prakar ke operation, emergency ya bimari mai Blood Transfusion ki jarurat padti hai. Agar paryapt matra mai samay par rakt na mile to rogi vyakti ko kafi taklif ho sakti hai aur unki mout bhi ho sakti hai.

You may also like:- Eating for Your Blood Type, Sahi Aahar Se Paiye Acchi Sehat

Blood Donation Kese Kiya Jata Hai?

Ek average vyakti ke sharir mai 10 unit (5-6 liter) rakt moujud hota hai. Blood Donation ke samay sirf 1 unit hi liya jata hai. Rakt Daan ki prakriya kafi saral hai aur isme darne ki jara bhi jarurat nahi hai. Aaiye jante hai iski sahi prakriya:

  • Sabse pahale aapka registration hota hai. Aapka naam, age, address, aadi chize puchi jati hai.
  • Aapki medical history li jati hai.
  • Aapka Mini-physical parikshan kiya jata hai jisme aapka blood pressure, pulse, weight, temprature ke baad blood group aur hemoglobin ka test kiya jata hai.
  • Blood Donation karne yogya paye jane par aapko rakt daan kaskh mai table par litaya jata hai. Aapke haath mai ek sui (sterile needle) 1 unit khoon liya jata hai.
  • Blood donation karne ke baad ek baar phir aapka checkup hota hai.

Blood Donation Kon Nahi Kar Sakta Hai?

  • Pichle donation ke samay kafi chakkar aana ya thakawat mahsoos hona.
  • Agar aapne baar-baar blood donate kiya ho.
  • Masik raktsrav ke samay Blood Donation se parhej kare.
  • Aap ko koi drug addiction ho to aap blood nahi donate kar sakte hai.
  • Aap HIV Positive hai ya aap mai AIDS ke lakshan moujud hai.

Agar aap inn sab bimari se grasit hai to bhi aap kuch samay ke liye rakt daan nahi kar sakte hai. Aaiye jante hai kon si aisi bimari hai jinke hone se aap blood nahi donate kar sakte hai:-

Disease Postpone Blood Donation Period
Jaundice 1 year
Malaria 3 months
Dog Bite / Rabies Vaccination 1 year
Abortion 3 months
History of Blood Transfusion 6 months
Minor surgery 3 months
Pregnancy – Till Duration of Pregnancy 1 year
Major Surgery 6 months
Breast feeding 1 year after delivery
 Immunization – Typhoid, Diptheria, Tetanus  15 days
 Immunoglobulin Injections  12 months
 Tatoo / Ear Piercing  6 months
 Dental extraction  72 hours
 Tuberculosis (TB) After 2 years
 Chicken Pox  After 1 year
 Respiratory Tract Infection  After Recovery

Inn bimari se grasit log bhi khoon donate nahi kar sakte hai:-

  • Cancer
  • Heart Disease
  • Epilepsy (Mirgi)
  • Madhumeh ke marij ko insulin ke injection le rahe hai
  • Infectious Hepatitis (Sankramak Piliya)
  • Leprosy
  • Chronic Nephritis
  • Liver ki bimari
  • Aids rogi

Upar aapne jane Benefits of Donating Blood. To agar aap swasth hai aur kisi aur ko jivan daan dena chahte hai to har 9 mahine mai ek baar blood jarur donate kare. Isse aapko bhi bahut fayda hoga aur jarurat mand ko bhi bahut fayda milega.

Khoon donate se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...